part 73

434 19 0
                                    

Main turk bhada phone pura nahi aata tha, toh usne turk phone coat ki jeb mein rakh diya aur kalij ki zanjir ko ek kandhe se guzar kar doosre pehlu mein daal kar pari pann ke saath fraq ki belt se nathi kar liya. Sunehri sakoon ke kaam mein sunehri sitaron wala press chhip sa gaya tha. Kam az kam ab koi uska press cheen toh nahi sakta tha na. Musar Abdullah ka pata uske paas tha. Haal se unka number lekar unko phone bhi kar diya tha. Jab se woh turki aayi thi, unke ghar palat kar nahi gayi thi.

Ab use lazmi jana chahiye tha. Gaur saal mein woh darmiyani raaste wali nishist par bethi thi. Raaste ke is taraf mutaasim aur uske saath latif betha tha. Haya ke baayein janib khidki ke saath wali nisht par ek turk ladki bethi thi.

"Tumhara fleetila falasteen kab pahunchega Muatasim? Woh siyah coat ki jebon mein haath daale iski taraf gardan mor kar usse mukhatib thi."

"June mein pahunch jayega."

"Israeli use dakhil hone denge na?"

"Umeed toh hai kyunke yeh fleetila turki ka hai, aur ismein bohot se mumalik ke wafad bhi hain." Jawab Latif ne diya tha.

"Aur agar Israeliyon ne aisa na hone diya toh? Aakhir bani Israel se kisi bhi cheez ki tawaqo ki jasakti hai."

"Toh phir yeh yaad rakhna ke jitne bani Israel woh hain, utne hum bhi hain. Woh samne dekho! Woh Israeli embassy hai! Muatasim ke ishaare par dono ne gardan na unchi kar ke wandscreen ke paar dekha, jahan ek jhande wali imarat dikhayi de rahi thi.

"Agar fleetila Ghaza nahi pahuncha toh mein wada karta hoon ke yeh embassy dobara Istanbul mein nazar nahi aayegi." Main tumhare saath hoon. Latif ne uske shaane par haath rakha.

"Me too!" Haya ne foran kaha."Mein bhi!" Paas bethi turk ladki ne foran ungli oopar ki. Woh be ikhtiyar hans di.

"Waise Muatasim Italia ko agwa kar nazayaz manasib rahega nahi?" Latif ki baat par sab hans pare thay. Usay yaad tha, DJ ko unki tali se dosti kitni buri lagti thi.

Ta qasam iskwayar par maghrib utar rahi thi aur har taraf andhera sa chha raha tha. Iskwayar ki batiyan ek ek kar ke jalne lagti thi.

"Tum ne kidhar jana hai, hum tumhein chhod dete hain. Akeli mat jao." Woh dono bus se utar kar uske liye rukhe khade thay.

"Turkon ke saath reh kar tum bhi turk ban gaye ho. Un par khuloos turkon se raasta poocho to manzil tak pahuncha kar aate hain."

"Madam! Aap ko pata hona chahiye ke un par khuloos turkon ke is mulk mein har saal takreeban paanch sau ladkiyan agwa kar ke aage bech di jati hain aur yeh turki ka sab se munafa bakhsh karobar hai."

"Acha ab darao to mat. Mujhe thori door hi jana hai." Woh teeno sarak ke kinaray sath sath hi chalne lage thay.

"Tum apni aunty ke ghar ja rahi ho?"

"Haan mujhe abhi apni host aunty ke ghar bhi jana hai. Kuch din baad mein jab wapas aaungi toh iss puzzle box ka hal dhoondenge."

Woh teeno baatein karte hue thandi hawa mein sath chal rahe thay. Maksima Azadi un ke peechay reh gaya tha.

Lounge mein so gawarit ki chhayi thi. Mrs. Abdullah aur unki surkh balon wali beti Mehru maghmoor hi samne sofay par bethi thi. Haya ke sofay se zara door carpet par Mehru ka sahara liye neem daraz remote pakde TV par cartoon dekh rahi thi.

"Aap ko pata hai, hum dono har hafte aap ki taraf chakkar lagane ka plan banate thay magar har dafa kuch na kuch rok leta, aur ab..." Usne taasuf se sar jhatka."tum mujhe isi roz bata deti toh... kam az kam mein use dekh hi leti. Phir clearance mein tumhari madad karwati. Tum kitni pareshan rahi hogi!"

"Mujhe toh apni aunty ko batane ka bhi hosh nahi tha, aisa achanak dhakka laga ke..." Usne firqah adhoora chhoda aur sar jhuka kar ungli ki poor se aankh ka kinarah poncha. Mehru ne bohot fikr mandi se uski taraf dekha.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now