part 92

449 29 3
                                    

"Tumhari scalp ki jild ka rang aisa surk bhura sa ho raha hai, chhaale hue thay baalon mein?" Nahin, ek shampooori act kar gaya tha. Bas chand din mein theek ho jayenge."

Usne unse zyada khud ko tasalli di.

Chhoti banate hue baal kheench rahe thay aur sar ki jild dard kar rahi thi, magar woh bardasht karke baithi rahi. Ayesha ne jab woh wax utari thi to uske baalon ko kitna nuqsan hua, kitna nahi, Ayesha ne tafseel kabhi nahi batayi thi.

Use nahi pata tha kabhi woh us sare waqiyay ki tafseel dobara se sunegi.

Usne Anjam Baji ke apartment se nikalne se pehle khud ko aaine mein nahi dekha. Use pata tha, woh French bread mein bohot achi nahi lag rahi hogi.

Hussain aur Momin Gore Shuttle se utar rahe thay jab woh stop par pahunchi.

Motasim se kehna, mujhe isko kuch dikhana hai. Woh narm muskurahat ke saath Hussain se keh kar bus mein chadh gayi. Woh waapas aajaye phir Motasim ke saath mil kar puzzle box ki pehli hal karne ki koshish karegi.

Mar Mar Hotel, Taxim district mein waqea tha. Sheeshon se dhaki buland o bala imarat, goya koi uncha sitaara ho. Andar se bhi wahi chamakta, aankhon ko khirah karta manzar.

Woh pehli heel se pur-eitmaad andaaz mein chalti lobby mein aayi thi. Abba ne bataya tha ke woh lobby mein hi honge aur woh use door se hi nazar aaye thay. Unka iski taraf neem rukh tha. Woh khade kisi se mughawar guftagu thay.

Woh unki taraf barhne hi lagi thi ke nigaah Abba ke saath khade dono afrad par padi. Ek dum se uske paon barf ki sil ban gaye.

Abba ke saath koi aur nahi, unke karobari shareekat daar lughari uncle aur Walid lughari thay.

Goya current kha kar haya mud gayi aur tezi se ek doosri raahdari mein aage barhti chali gayi. Sad shukar ke in mein se kisi ki nazar abhi us par nahi padi thi.

Yeh qabil nafrat shakhs kahan se aagaya? Woh uska samna kaise kare? Woh kya kare? Use kuch samajh mein nahi araha tha. Bas woh bina dekhe ladies rest room ki taraf aagayi.

Wahan aaine se dhaki deewar ke aage qatar mein besan lage thay. Ek taraf bath rooms thay. Ek taraf larki ek besan ke samne khadi aaine mein dekhti lip stick theek kar rahi thi.Hayaa us se faasle par aaine ke aage khadi ho gayi. Apne aks ko dekhte hue usne be ikhtiyar gardan par haath rakha. Jab Walid ne uska dupatta kheenchha tha to uski gardan par ragar aayi thi. Doli ka ghar darwaza tha, uska frying pan magar yahan koi doli nahi tha, jo uske liye aajata. Woh akeli thi. Kis se madad mange, us se jo kisi mushkil mein uske saath nahi hota tha? Magar shayad ab ki baar.

Usne jaldi se mobile par jihan ka number milaya. Taweel ghantiyan jari thi.

"Utha bhi chuko! Woh phone kaam se lagaye kooft zadda si khadi thi. Aaine mein jhalkte uske chehre pe ab tak zakhmoun ke nishan mandmand ho chuke thay.

Paanchvi ghanti par jihan ki khumaar alood awaz gounji.

"Aapka matlooba number is waqt so raha hai. Barah-e-meharbaani, kaafi deer baad rabta karein. Shukriya."

"Jihan! Utho aur meri baat suno!" Woh jhalaayi gayi thi.

"Main bohot thakka hua hoon, mujhe sone do," mein ne restoran...

"Jahannum mein gaya tumhara restoran. Tum abhi ishi waqt mar mar hotel pahunchho. Abba aaye hue hain aur saath unke dost wa ghairah bhi hain, mujhe akeli un se milna acha nahi lag raha." Uski awaaz mein be basi dar aayi thi.

Saath khadi larki ab baalon ko oonche jode mein bandh rahi thi.

"Main nahi araha, mujhe aaram karne do."

"Theek hai. Jahannum mein jao tum aur tumhara restoran. Woh jo logon ne tumhara restoran mein tod phod ki thi na, unho ne bohot acha kiya tha, tum ho hi usi qabil." Usne zor se button daba kar call kaati.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now