part 106

358 19 0
                                    

Wahan ek mashroob milta tha, Airan naam ka, bilkul lassi ki tarah tha. Itna mazedaar ke uski koi had nahin. Main recipe laayi hoon. Kabhi mil kar banayenge."

Lounge mein rakha landline phone bajne laga to Abba ne haath badha kar receiver uthaya. Hayaanay gardan utha kar unko dekha. Lounge aur kitchen ki darmiyani deewar oopar se adhi khuli thi, so woh unko ba aasani dekh sakti thi.

"Haan Sabina! Kaisi ho?" Woh ab muskurakar baat karne lage thay. Uska dil zor se dhadka. Lamhe bhar ko use top qaisi aur Airan bhool gaya. Woh bilkul chup si ho gayi, zardust royi se haath chalanay lagi. Sama'at idhar hi lagi thi.

"Kya... Kab?" Abba ke tasurat badle. Woh ek dum seedhay ho kar bethe. Usne chhuri gaajar mein lagi chhod di aur pareshani se Abba ko dekha. Kahin kuch ghalat tha. Inna lillahi wa inna ilayhi raji'un! Woh bohot dukh se keh rahe thay. Fatima bhi jaise ghar agar bahar gayi. Tab tak Abba phone rakh chuke thay.

"Kya hua?" Fatima pareshani se poochh rahi thay. Haya usi tarah mujasama banay khadi, saans rokay unko dekh rahi thi.

"Sikander ka intiqal ho gaya hai."

Abba ke alfaaz ne poore lounge ko sakhtay mein daal diya. Malal bhare sakhtay hain. Hairat, shak, dukh, woh mili juli kafiyat mein ghiri khadi thi.

"Woh log ek, do roz mein baadi le kar arahe hain. Main Furqan bhai ko bata doon?" Abba tasaff se kehte phone utha kar number milane lage.

"Ek lamhe, bas ek lamhe insaan se uski shanakht cheen kar use baadi bana deta hai."

Uske andar kahin bohot se anso gire thay. Be ikhtiyar usay DJ yaad aayi thi.

Suleman Sahab ke bungalow pe footgi wale ghar ki so guwariyat chai thi. Lounge mein kyunat laga kar mardon ke bethne ka intizam kiya gaya tha. Jabke khawateen andar lounge mein thi, jahan furniture hata kar chaandniyaan bichha di gayi thi darmiyan mein.Khajoor ki gathliyon ka dheer tha. Rishtedaar khawateen sada huliyon mein thay, magar Abida beechi, Saharish aur Sana bilkul saafed, naye libas pehn kar aayi thay. Pata nahin yeh rawaj kahan se chal nikle thay. Usne albatta chocolaty rang ki lambi qameez, chhuri daar ke saath pehn rakhi thi. Hum rang do pata theek se sar pe liye, gathliyan padhte woh laashoori tor pe aisi jagah baithi thi, jahan se khidki ke bahar lawn saaf nazar aata magar bahar walon ko andar nazar nahin aata tha ke dopahar ka waqt tha aur khidkiyon ke sheeshay bahar se reflekt karte thay.

Lawn mein khandaan ke mard jama thay. Abba, Tayya aur kuch cousins albatta nahin thay. Woh log phupho aur mait ko lene airport gaye thay. Aaj teen roz baad Sikander uncle ki body clearance hasil kar ke apne mulk lai jaa rahi thi. Aur woh sirf yeh soch rahi thi ke woh jihan ka samna kaise karegi?

Kheir akhfat usay honi chahiye, nah ke Haya ko. Wohi qasurwar tha, wohi Pasha ka saathi tha aur itni mazboot to woh thi hi ke apne tasurat chehre pe nahin anay degi. Jo bhi hoga, dekha jayega. Uske bawajood jab bahar shor samcha aur woh log pahunch gaye to uska dil itni zor se dhadakne laga ke woh khud hairat zada rah gayi.

Itnay baras baad phupho aayi thay, woh bhi taboot ke saath. Lounge ke darwaze par khawateen unse milte hue ro rahi thi. Unchaiyan, buland siskiyan. Woh door draz ki rishtedaar auratein jo har shadi mein sab ki taraf se gati aur har footgi mein sab ki taraf se roti thay, sab se aage thay.

Phupho bohot nadhal lag rahi thi. Bhigi aankhon ke saath Fatima se mil rahi thi. Woh sabhi khade ho chuke thay. Ladke taboot andar la rahe thay. Haya zara ek taraf ho gayi. Aur dopatay ka pallu zara tar cha kar ke chehre pe dal kar, haath se pakar liya. Dopata peshani se kafi aage tha aur yun taricha kar ke dalne se gaal, hont, naak sab chup gaya tha. Yeh uska ghair mehsoos sa naqab tha. Ab agar woh naqab karti hi thi to munafiqat kaisi ke bahar ke mardon se kare aur cousins se nah kare? Ek faisla kiya hai to usay sahi se nibhaye bhi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now