part 132

464 18 2
                                    

             Kapadokia(Cappadocia)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

             Kapadokia(Cappadocia)

"Kaun sa hotel? Jitni tezi se us ne poocha tha us se zyada tezi se Haya ke labon se nikla. Yeh upar wala. Us ne be sakhita jaan chhurane ke liye counter par rakhe guide book lete ki taraf ishara kiya. Jahan pehle safha pe teen hotels ki tasveerain aur maloomat darj thi. Itne faslay se us se hotel ka naam to para hi nahi gaya magar woh sab ghair iradi tor par hua tha.

Charon larkon ne be ikhtiyar guide book ke safhay ko dekha. Upar wale hotel ki tasveer pe nigaah dali aur phir be sakhita counter wale ke dant andar hue, ticket lagakar khara ladka seedha hua. Doosre ne foran jaise shan se qameez ki

nadeeda sluti theek ki.

Aap... aap Molot Bay ke mehman hain? Pehle kyun nahi bataya. Please baithen. Counter wala gar bara kar wazahat karta tezi se bahar aaya tha. Haya ne ruk kar un ko dekha. Baqi teenon larkay salaam jhaad kar foran idhar se rafu

chakkar ho gaye thay.

Main ne Molot Bay ko abhi adha ghanta pehle bazaar mein dekha tha. Woh idhar hi hain, main unhein phone karta hoon. Woh jaldi se apna mobile nikaal kar number dial karne laga. Haya aur Bahare ne ek doosre ko dekha, phir Haya ne kursi

dobarah khinchi.

Molot Bay aa rahe hain aap ko lene. Phone band kar ke woh mustaidi se menu card le aaya. Aap order kar den, main

le ata hoon.

Is ke janay ke baad be cheeni bethi Bahare gul ne us ka haath hilaya.

Haya! Molot Bay kaun hain aur hum un ke sath kyun ja rahe hain?

Mujhe nahi pata, mujhe kuch sochne do.

Hum aise hi un ke sath nahi chale jayen ge. Aaishay gul kehti hain achhi ladkiyan har jagah...

Tum do minute ke liye Aaishay gul ka lecture bhool nahi sakti? Ab hamein kahin to rehna hai na. Agar nahi ache lage yeh

Molot Bay to nahi jayenge un ke sath.

Bahare ne khafgi se munh mein kuch badbada kar rukh pher liya.

Woh khud bhi zara muztarib thi. Pata nahi kaun thay woh sahib aur kyun un ko lene a rahe thay. Aise to woh nahi

jayen ge un ke sath. Koi marzi ke baghair to nahi le kar ja saktana?

"Molot Bay aaye. Bimushkil pandrah bees minute guzre thay ke counter wale ladke ne sada algaai to be ikhtiyar un

donon ne mud kar dekha.

Samne se ek adheer umar, gore se Turki sahib chalay arahe thay. Daraaz qad, be had smart, sar ke baal maathe se zara kam, chehre pe narm si muskurahat, nafees se paint shirt mein malboos. Magar woh shahana thay. Ek

qadre pista qad anti un ke ek taraf thay. Doosri janib ek lamba patla salard ka unnis bees saal ka aur us ke sath usi umar ki larki jis ke baal kandhon se kaafi neeche tak aate siyah aur lehr dar thay. Us ne kaperi ke upar dheeli shirt pehn rakhi thi aur ek moti, safed ghane balon wali Irani billi baazuo mein uthaye hue thi. Larki ne door se unhein haath hilaya.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now