Last part 141

1.1K 41 28
                                    

Jihaan jhuk kar button dabate hue DVD ki plate bahar nikali. Dafaatar Remote uske haath se phisal pada. Marble ke farsh par remote gira tha. Chand lamhe mazeed guzre.

Meri madad karein. Mujhe akela na chhodiye!

Jihaan remote utha kar phir seedha hua. Kash remote toot jaata magar woh nahi toota tha.

Har cheez uske khilaf ja rahi thi.

Jihaan ne khali sanchay mein CD rakhi aur use waapas dhakela.

Mujhe in logon ke samne ruswa na karein!

Screen par menu likha araha tha. Juhaan ne zara peechay ho kar remote se play ka button dabaya.

Mujhe ruswa na karna! Please... help me... please!

Haya ne aankhein band kar li. Shayad CD na lagay woh andar phans jaaye. Shayad... magar chand hi lamhon baad

Use gaane ki tone sunai di thi.

Sheela ki musiqi.

Uske qadmo tale se zameen sarkne lagi thi. Sar se aasman batne laga tha. Use laga woh abhi gir jaye gi. Woh abhi

Mar jaye gi.

Video lag chuki thi. Sab dekh rahe the.

Woh khwab nahi tha. Haqeeqat thi. Woh ek baar phir ruswa hone ja rahi thi.

Saari riayat, saari itaat sab bekaar gaya tha.

Ruswai, gunaah. Woh uska peechha kabhi nahi chhorenge. Woh qabr tak uske peechhe aayein ge.

Usne apni surkh hoti band aankhein kholin. Launch ka manzar dhoond la raha tha. Usne aba ke chehre ki dekhna chaha jo

Bohat shock se screen ko dekh rahe the. Usne apne baap ko sar bazaar be izat kar diya tha.

Usne Rohail ka chehra dekhna chaha jaise samajh na aaraha ho ke yeh kya ho raha hai.

Usne taya aba ke chehre ko dekhna chaha. Ghez o ghazab gussa peshani ki tan nahi surkh parhta chehra. Usne Saaima

Tai aur Amma ka chehra dekha. Hukka bukka.Gaana isi tarah chal raha tha.

Usne Natasha ke chehre ko dekha. Woh bade sitaishi andaaz mein screen ko dekhti excited si aage ho kar baithi thi. Cook ka can bhi isi tarah uske haath mein tha.

Uski nigaahen Natasha se hoti hui Jihaan ke chehre pe padi. Jihaan woh waheed shakhs tha jo TV nahi dekh raha tha. Woh sirf chhiti hui nazron se Walid ko dekh raha tha. Aur Walid... tab usne dekha.

Walid ka chehra safed pada hua tha. Itna safed jaise kisi ne paint kar diya ho. Issi pal usne eram ko dekha. Uska chehra bhi

Itnahi safed -

Yeh kya?

Ek dum se Haya ne gardan ghuma kar screen ko dekha.

Naqaab tale uske hont zara se khulay. Aankhon ki patliyan be yaqeeni se phaili.

Use laga woh kabhi saans nahi le sake gi.

Gaana bhi wahi tha, music bhi wahi tha, CD bhi wahi thi magar manzar... nahin yeh shareefon ka mujra

nahi tha. Nahin. Yeh uski video to nahin thi. Yeh to...

Eram aur Walid...

Woh tasveer ka ek slideshow tha. Ek ek kar ke badi badi tasveeren screen pe ubhrti aur chalti jaati thi. Eram aur Walid

ki tasveeren. Akhate kisi restaurant mein kisi shopping area ya kisi park mein. Saari photos selfie photos thi. Jaise

Walid ke saath ho kar eram ne baazu barha kar khud hi mobile se khinchi ho. Aur us lehaaz se woh dono bohot qareeb qareeb khade the.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Där berättelser lever. Upptäck nu