23

526 23 12
                                    

All of them come down to hall area what they observe was a family sitting along with a man in his twenties.

"Assalamualaikum Omar yaha kaise aana hua"Aslam asks

"Walaikumassalaam uncle aap se kaam tha isliye aaye"he says

"Oh hamse kaam tha ya pure hamare parivaar tumne toh sabki hazri karadi"Aslam says

"Vo uncle yein baat sabke samne hi ki Jaa sakti hai"Amna(wife of Omar)

"Accha Bhai thike batao kya baat hai"Aslam asks

"Mehak beta idhar aao"Amna speaks

"Mashallah bohot khubsurat ho tum mehak sahi suna Thai nawab haweli ki khubsurat Kali ke bare main"Amna says

Hearing this Hasib didn't like how some one else could praise about his begum even though she was female

"Yein Mera beta aarish hai aap sab jante hai na"Omar speak

"Haa ham sab jante hai tum batao na baat kya hai"jabir asks impatiently

"Accha thike mein sidhe baat pe aati hoo ji mere bete aarish ne aapki beti mehak ko Asad aur hafsha ke nikah Mai dekha aur use pehli Nazar ki muhabbat ho gayi "she says

Hasib was thinking
"Kya bakwas kar rahe hai yein log meri mehak iss ko pasand aa gayi Aaj iss ka qatal  mere haatho hongi pehle iski itni jurat ki usne usse aankh utha kar dekha bachpan se kisi ladke ko paas Tak nahi aane diye aur aaj yein musibat"

"Bhaijaan hum hamre bete ke liye apke ghar ki bacchi mehak ka haath mang rahe hai aapko pata hai Mera beta Jo nikah ke liye bilkul tayaar nahi tha jis waqt usne apki beti ko dekha vo tayaar ho gaya aur upar se usne yein thaan li hi ki sirf mehak hi uski biwi ban sakti hai hum to rishta do saal pehle hi laa dete lekin hamne suna ki tab mehak padh Rahi thi ab jab uski padhai ho gayi hai to hum rishta laaye hai"Amna says

"Bilkul na hai yein rishta ,aap ki himmat bhi kesi Hui aap mehak ke liye rishta layi abhi ke abhi yaha se nikle"saying that hasib grabs mehak's hand pocessively and took her to his room

"Bura mat mano Amna vo hasib aur mehak bohot close hai isliye"says zehra

"Tameez to hai nahi uss laadki ke andar for kiss liye aap yein rishta laye hai mujhe samjh nahi aa raha"wazifa taunts but shuts after getting glare from asra.

"Ji bilkul nahi wazifa bhabhi Maine jitna mehak ko Jana hai vo bohot acchi ladki hai bohot izzat se pesh aayi sab ke saath mene dekha na Puri nikah ke doraan"she replies

"Mujhe bura nahi laga zehra bhabhi main jaanti hu Bina baatain hum rishta le aaye isse aap sab ko shock laga hoga , koi baat nahi aap soch ke aur mehak se pucche ke hame jawab de aur bhabhi Mai umeed karti hu ki jawab hamare haq Mai ho"Amna says

"Thike uncle hum chalte hai ab"Omar says

But aarish gets up and go near Aslam and says

"Main aapko aise hi dado nahi bulata Dil se maanta hu aur aap bhi mujhe apna pota samjhte hai to please mere haq Mai jawab dein"aarish says

"Dado beinteha muhabbat hai mujhe mehak se do saal pehle , pehli baar jab use dekha to Mai apni aankhein haata hi nahi paya itni khubsurat aur jis tareke se vo sab se baat kar Rahi thi vo sab se utni izzat kar Rahi thi saath saath mujhe samjh aa Gaya ki vo ek naram mijaaz ki ladki hai aur bilkul aisi hi ladki ke khwaab Mai edekhe the mujhe kabhi pata nahi thi ki aisi ladki asli duniya Mai ho sakti hai please dado meri help kariyega"aarish says to Aslam.

And the family leaves

"Haye inn logo ko maut se bohot muhabbat he shayad"ayat says

"Bilkul sahi khud maut ke farishte se maut mang rahe he yein log"qais speaks

"Vahi toh vo bhaijaan Jo mehak ko do min kisi ladke ke paas nahi chod te unhone toh aarish Bhai qatal hi kar Dena tha"kainat speaks

"Par uski himmat kaisi Hui ki usne meri behan ko aankh utha ke dekha"ehsan speaks

"Ya Allah ab aap hasib 2.0 na ban Jaye ek ko rakh Kara sambhal na mushkil ho gaya hai dusra free Mai denge to bhi nahi chahiye"huzaifa speaks

"Mai bhaijaan ka zulm kabhi nahi bhoolungi ya Allah University mehak ko do minute akele chod de hum , hum punishments ki barsaat kar dete the agar kisi ladke ne aankh utha kar dekh liya to uska hashro nashr bigaad dete the"kainaat speaks

"Mujhe nahi lagta yein Banda zinda rahega iske baad "qais speaks

"Vahi toh bhaijaan ne mehak ko jeere ki tarah chupa kar rakha tha ab to kisi chor ne Nazar daal di ab vo Banda gaya" huzaifa says

"Sab apne kamre mai Jaye abhi"Aslam says sternly

"Abba Jaan yein rishta iske baare main?"Junaid asks

"Junaid Miya vo tumhari beti hai Mai is pe koi faisla nahi sunaunga dekho yein Puri tarah Mai tum par chod ta hu aarish ko mene bachpan se dekha hai mere dost ka pota hai accha ladka hai unka khud ka karobaar hai hamre jaisa mujhe lagta hai mehak vaha khush rahegi agay isme agar mehak ki marzi Hui toh ham iss baat ko aage badhayenga"Aslam says

"Ji abba Jaan lekin faisla aap hi le aap mujhe se accha jaante he ki kya accha hain aur kya bura , lekin mere liye mere bacchi ki razamandi sab se zaroori cheez hai vo agar iske haq Mai hai toh mujhe koi etraaz nahi"Junaid says

"Ha mujhe bhi yahi lagta hai bhaijaan mashallah se ladka handsome tha aur padha likha khud ka karobaar aur upar se hamari mehak se itna muhabbat karta hai hamri mehak aur uski Jodi bohot jachegi"says raefa.

"Accha thike abb jaye shaam ko faisla karenge aur shaam ko sab mere study room Mai haazir honge aur is cheez pe hum tab baat karenge abhi jaye sab apna apna kaam dekhe"Aslam says

And all of them disperse

So how was the update and in next chapter you will get to know hasib's reaction

As well as do comment whom do u want to see mehak with aarish or hasib and comment on aarish's confession.

THE NAWAB'S ONE AND ONLY BEGUM(On Hold Till June 2025)Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora