His innocence

986 70 53
                                    

Screen focusses on a courtroom with a very tense atmosphere.

The air is so brittle, it could snap.  Nobody's talking. Just waiting.
Everyone can feel the fear, especially ever since Preeta turned the tables after testifying.

The judge hits the gavel to pronounce his verdict.

Judge(announces): Saare sabooton ko madhyanazar rakhte hue.. Karan luthra ko bail pe rihaa kiya jaata hai.. Unhe har 3 din mein police station jaake.. Apni haaziri darj karwaani hogi..

The Luthras were overwhelmed by joy.

Rishab hugs Karan.

Preeta wipes her tears and looks at Sarla who was staring at her angrily.

She looks down. Karan sees this and walks towards her.

Karan (softly) : babydoll...(Preeta looks up at him) tumne mere liye Sarla aunty se jhagda kiya na?

Preeta: Nahi..woh Maa bas thodi gussa hai..Thodi der mein shaant ho jaayengi..

Karan(chuckles): Unhe dekh kar aisa lag nahi raha..Tumhe kya zarurat thi mere liye itni badi kurbaani dene ki..Rishta kya hai hamara?

Preeta(unknowingly) : Sab kuch..(realises) dost ho tum mere..Aur doston ki madad karne ko kurbani nahi kehte..

Rakhi smiles seeing the two. Rishab sighs deeply.

Sarla walks towards them, while Srishti tried to stop her.

She went to Preeta and slapped her.

Sarla(angrily): Mana kiya tha na? Bola tha.. Door rehna.. Fir bhi tune meri baat nahi maani..

The Luthras look at them in shock, while Karan tries to interrupt but Preeta nods in no.

Sarla: Kyun maanegi? Mein waise bhi tere liye maayne nahi rakhti hoon.. Bas bohot hogaya.. Tu ghar chal.. Hum wahaan baat karenge..

She holds her tightly and drags her while she looks at Karan tearfully.

Rakhi pats his back and he hugs her and cries.

Rakhi(cups his face): Ghar chalein?.. Tu freshen up ho ja.. Kuch khaa le.. Baad mein.. Sarla ji ke ghar jaake hum unse baat karenge..

Karan nods and they head home.
........

Arora House

Sarla(angrily) : Kyun kiya tune ye sab?.. Kitni bar maine tujhe mana kiya..Aaj tere liye Maa se zyaada woh ladka Karan zaroori ho gya?

Preeta(tearfully) : Aisa nahi hai maa.. Karan mera sirf dost nahi dost se bhi badhkar hai..Aaj usse meri zarurat thi mai kaise na jaati?

Sarla : Dost?.. Sirf ek dosti ke naate tune apni izzat daav pe lagaadi.. Yeh bhi nahi socha log tere baare me kya bol rahe honge iss wakt.. Aur Prithvi ji? Unke bare mein bhi nhi socha..

Preeta : Prithvi ji mere hone wale pati hai.. Hue nahi h.. Aur main jaanti hoon meri situation samajh jaayenge(🙄)

Sarla : Bas bohot hua..tujhe Karan ko bachana tha na.. Bach gaya woh.. Ab tu yeh ghar aur sheher chod kar chali jaa..

All look at Sarla tearfully and shocked.

Preeta(shocked): Par Maa..

Sarla: Bas aur kuch nahi tu aaj shaam yaha se jaa rahi h.. aur khabardaar ab Karan ko ye bataaya ya usse baat karne ki koshish ki..

Sarla went inside angrily. While Shrishti hugs Preeta consoling her.
.......

Luthra house

Tales of the heart Where stories live. Discover now