ℂ𝕙𝕒𝕡𝕥𝕖𝕣 𝕋𝕨𝕠

336 25 7
                                    

Geet's POV:-

The next morning I woke up due to my mumma's scolding.

"Uth ja gadhi, kab Tak soyegi?? Sasural jaake aise hi padi rahegi kya?? Jaldi uthneki aadat daal. Waha tujhe kaun uthane aayega?? Ek to alarm tujhe sunai deta nahi, upar se uthane aao to 5 min , 5 min kehke wapas ek ghanta so jati hai. Kitna soyegi Geet!!! Yaha teri maa tere piche apna gala phaad rahi hai fir bhi koi sharam nahi aarahi tujhe!!!" She shouted, throwing water on my head.

"Uth gayi mai!! Bass karo!! Aur nahi sunna. Kyu piche padi ho mumma. Sone deti thodi der aur. Neend aarahi hai abhi bhi." I replied, abruptly getting up from the bed.

"Geet Beta, who's going to wake you up in your sasural?? Mumma pyaar se utha Rahi hai, to uth ja. Aur kal se tu roj subah 5 baje uthegi aur mujhe kaam mai madat karegi. No nakhre!" Mumma said, gently caressing my hair.

"Aise pyaar se uthate hai mumma? Paani daalke?? Aur mujhe uthaneka bolo, to Rishi utha dega. Vaise bhi wo khadoos subah jaldi uthta hi hoga. Subah subah uthke bada sa bartan bharke karele ka juice Jo Pina hota hai use. Ek smile tak nahi de sakta, itna kadva insaan hai!!" I exclaimed, resting my head on her lap.

"Oyee, uth!! Aur pati ka naam na liya kar. Pati parmeshwar hota hai beta. Rishi Ji bola kar. Aur kya kadva insaan?! Accha ladka hai, khush rakhega tujhe." She said, gently smacking my cheeks.

"Chii, kaise lagega wo Mumma!! 'Rishi Ji, aapke liye paani late hai, pi lijiye.' Yuck. Mai use itne respect se pukar hi nahi paungi. Muh dikha to bhi gaaliya yaad aajati hai. Khadoos kahika!" I huffed, getting up from the bed and moving towards the bathroom.

"Kuch bhi!! Pati parmeshwar hota hai beta. Unhe aise khadoos nahi kehte, aur kar lega baat wo tujhse, kardega ek smile. Abhi nahi to badmei kabhi. You both were basically inseparable when you were kids. We used to visit each other's houses a lot. You both used to play around the whole house and when we had to leave, you both would throw tantrums saying you didn't want to leave. He's still the same Rishi you spent your childhood with. I am sure you both would adjust with each other." Mumma said, coming behind me.

"Kuch Parmeshwar vagare nahi hai wo. Wo khadoos hi hai, aur mumma aap rehne hi do, wo abhi same Rishi nahi raha hai. Bachpan mai wo khadoos nahi tha, aur karele ka juice pike nahi ghumta tha. Chodo aap, mujhe tayar hone do. Bahar ja rahi hu, Sharu se milne." I said, brushing my teeth.

"Are, pehle batati Sharu se milne ja rahi hai. Kabse mili nahi hu mere bacche ko. Use Aloo parathe banake deti mai. Usse acche lagte hai mere haath ke parathe. Mai ek kaam karti hu, mai parathe banana shuru kar deti hu, tu nahayegi tab tak parathe ban bhi jayenge. Shalini! Aloo parathe ko tayari shuru karo, mai aarahi hu." Mumma excitedly called out to Chachi.

"Are Mumma, sirf Sharu nahi, sabse milne ja rahi hu, kitne parathe banaogi?" Aur hum log vaise bhi bahar khane ja rahe hai, to parathe ka dabba abhi nahi banao. Aap ek kaam karo, mai sabko lunch ke liye leke aati hu gharpe. Tab bana dena. Lassi bhi banana, Sabko acchi lagti aapne banayi hui lassi." I explained, moving to my closet to get an outfit.

"Accha sun, ek kaam kar, aaj hi leke aa unko lunch ke liye. Sabko shaadi ke liye bulana bhi hai, to khaane pe baatchit ho jayegi. Sabke pasand ka khana banati hu mai. Aloo parathe to bana hi Rahi hu Sharu ke liye, Kavya ko Aloo tikki pasand hai, Adisha ko bhujia, Ekansh ko Butter chicken accha lagta hai, Shriya to Rajma chawal khayegi, Amey khayega Chole bhature aur Shiv ke liye Rabdi bana deti hu. Lassi to tayar hai hi, thodi aur banani padegi. Ho jayega lunch Tak sab ready." Mumma said, remembering everyone's favorite dish and making a mental note of preparing everything.

"Mumma! Itna khana nahi banao, aapko takleef hogi. Sab sath mai kyu bana rahe ho aap?" I exclaimed.

"Are, mere bacho ke pasand ka khana banane Mai kaunsi takleef. It's almost been a month since they all came home. I want them all home for lunch. Bahar khakr aaye to dekhna bas, kisiko wapas kuch banake nahi khilaungi." Mumma said, moving out of my room.

The Lovers' Ruse Where stories live. Discover now