| • Kuch Ankahi Baatein • |

116 24 44
                                    


POEM 1: Kuch Ankahi Baatein


"Kuch ankahi baatein Hai,
Kuch Pehli mulaqaatein Hai.
Kuch Teri aadtein Hai,
Kuch Dard mein beeti hui raatein Hai.
Kuch uss diary ke phate hue panne Hai,
Kuch unmein likhavtein hai.
Kuch ankahi baatein Hai,
Kuch Dard mein beeti hui raatein Hai.


Kuch khaayi hui kasmein Hai,
Toh kuch tooti hui rasmein hai
Kuch jhoothe vaade Hai,
Kuch humaare nakaamyab iraade Hai.
Kuch tumhaare dikhaave the,
Kuch humaare pachtaave hain.
Kuch ankahi baatein Hai,
Kuch Dard mein beeti hui raatein Hai.


Kuch unn aakhon ke aansun hai,
Kuch un palkon mein gham ka khazaana hai
Kuch un yaadon ki chehak hai,
Aur kuch us kalam mein basse jazbaaton ka afsana hai
Na ruke voh, na rok paaye hum,
Pehle toh gayak the,
Ab kahi likhari na ban jaaye hum
Kuch ankahi baatein Hai,
Kuch Dard mein beeti hui raatein Hai."



About the poem above, it is nothing but a late night 1 am thought.

Also, I'd really like if you'll give this one a chance. Maybe you'll find something you can relate to?

Thank you 。⁠◕⁠‿⁠◕⁠。

𝑨𝒏𝒌𝒂𝒉𝒊 𝑩𝒂𝒂𝒕𝒆𝒊𝒏Where stories live. Discover now