Search for Siddharth

765 41 23
                                    

In CID beuro

Daya was roaming to and fro in hell rage

Abhijeet: Daya yaar shant ho ja... Main samajh sakta hun tujh per kya beet rahi hai... Shreya ki ye halat mujhse bhi nahin dekhi ja rahi hai... Per hamen shant dimag se aur samajhdaari se iss case ko handle karna hoga

Daya: Shreya split personality disorder ki shikar hai aur tu chahta Hai Ki main Shanti se lu?

Rajat : per sir Shreya ke gunehgaron Tak pahunchne ke liye hamen hamara dimag shant rakhkar is case ko solve karna hoga.... Hamen Shanti se kam Lena hoga

Pankaj: lekin sir ek baat samajh nahi aa rahi hai ki aakhir ye Siddharth kahan hai?

Daya: Kamal hai... Uski beti gayab hai... Yahan Shreya itne naazuk daur se juj rahi hai aur janab Ka ata-pata  nahin!!

Sachin: ek toh jab tak ACP sir Chitrole se milkar nahi aa jate tab tak hum investigation shuru nahi kar sakte

Rajat: sir Ye Chitrole sir bhi alag sar dard hai

Daya: par hum...yun iss tarah haat par haath rakhkar toh nahi baith sakte n?

Their entered ACP sir with Salunkhe Sir

Abhijeet: Sir kya baat hai ? Kya keh raha tha vo Chitrole ?

ACP: Chitrole ka dimag fir gaya hai...Shreya ko Hirasat mein lene ki baat kar raha hai

Daya: Sir lekin Shreya ki mental health theekh nahi hai...ye DCP sarfira hai kya?

ACP: Daya!! Hum vahi karenge Jo hume karna hai...Shreya ko humare hote huee koi haath bhi nahi lagayega

Salukhe: boss mere khayal se hume ekdam shurvat se shuru karna hoga

Daya: sir sabse pehele ye Siddharth...usse dhundh te hai , jane kaha farar hai?

ACP: Daya...hume jazbati hokar koi bhi kaam nahi karna hai... Mai janta hu ki hum sab Shreya se emotionally jude hue hai par iss case mein Shreya akeli ek victim nahi hai...Uski 1 saal ki beti bhi hai...hume sab se pehle ye pata lagana hoga ki Shreya apne parivar ke saath kaha reheti hai

Tarika: sir meri last time Shreya se jab baat huee thi toh usne bataya tha ki vo Hyderabad mein kisi Homely Colony mein rehti hai

ACP: Hyderabad ki Homely Colony...Homely Colony...issi Colony mein hume humare case ka agla lead milega

Their conversation came to halt when purvi entered

Purvi: sir ...Shreya ko hosh aa gaya...Acchi baat ye hai ki vo filhal apni personality mein he hai

Abhijeet: sir kya Shreya se iss halat mein baat karna sahi hoga

Daya: haa sir Doctor sahab ka kehena hai ki uske dimag par stress nahi padna chahiye...agar humare sawalo se uske dimag par stress pada toh?

ACP: Daya...humare pass koi aur rasta nahi

Daya looked down in disappointment

ACP: Purvi Shreya ko lekar aao

Purvi nodded and quickly moved and the next minute she was with Shreya

Shreya came and the first question she asked was "sir meri beti ka kuch pata chala?"

All exchanged glance

Daya: jald he pata lag jayega Shreya

Abhijeet: haa Shreya hum sab apni puri takat laga denge Diya ko dhundne mein

ACP: par beta uss se pehele hume sab Jan na hai...ki ye sab hua kaise...kisne? Kisne karaya ye sab?

Shreya looked at ACP sir and then looked down... slowly slowly fear replaced her constant expressions

ASHIYANA - A Place where Peace lives ❤️Where stories live. Discover now