Chap.16

73 4 0
                                    

Haneen or usama Tab Se Faris ke Gird Baithe the Jab Se voh Aaya Tha
saadi Khamoshi se Gol mez par unke mukhatib Baitha tha

" Mamu kya wo apko Dobara To Nahin Le Jaenge na? "

Haneen ne jhijakte magar kisi Khof ke zere asar bola
French choti aur Mathe per kate hue balon ke sath voh ab ghar ke Libas Mein thi

Faris Halka Sa Muskuraya
Sath hi saadi Ko Dekha Saadi narmi Se Muskura Diya aur FIR dusri Jaanib dekhne Laga

"ab Aap Hamare Sath Rahenge na? "

Usama ne be ikhtaiyar pucha

"Mere Liye Acha Hoga ghar mein Apna Ghar Kholu"

"Kyon Jaate Ho Yahi Raho Na "

Nudrat ne narazgi se Kehte Hue mez per matar keeme Ka Dunga Rakha
Khaana bas lag he chuka tha

"Mujhe bahut se kam karne hain appa Magar Aata Jata rahunga "

Faris ne sanjeedgi bhare magar Sapat Andaaz Mein Kaha

Wo amuman dheema bolta tha
Chote chote fikre bolta tha
Gussa charhne per Awaaz Buland Ho jaati thi

taaza roti lakar nudrat ne Rakhi hi thi Faris hath dhone ke liye Uth Gaya
Libas pehle he tabdeel kar chuka tha
Baal Usi Tarah Poni Mein Makaiya

saadi Ne piche se Awaaz Lagai
" mamu aapko hair cut ki Ashad jarurat hai "

"Nahin mamu is hairstyle mein jyada acche lag rahe hain"

Haneen ne foran mukhalifat ki
sath wo plate se kheere Utha Utha kar kha rahi thi

Usama ne uska hath hataya
To haneen gusse main boli

" KYA HAIII "

" abhi khana shuru nahi hua Tum Kyon kha rahi ho "

"Tumhare Hisse Ka To Nahin kha Rahi zyada Toka mat karo Varna Tumhari Dum bandh Dungi "

"meri koi Tum dum Nahin Hai"
usama gusse se kehta khara hua

"Bas"
saadi ne ek dam sanjeedgi Se Kaha bas ek lafz or wo dono
bikul chup ho gaye

"Kitni dafa kahan hai mat Lara karo-"

Nudrat Ki Baat Ghanti ki awaaz ne Kat di
Usama bhagta Hua Khirki ki taraf Gaya aur Parda Sarka kar dekhne laga

Saadi ne usama ko awaz di

"kaun hai usama? "

Usama ne kuch nahi kaha
bas khara raha

"Bahar Kon aya hai usama "

Phir nudrat ne bola

Osama aaram se palta aur bola

"Phool lai hai "

"Kon phool lai hai "

Nudrat phir boli

"Phopho ..... zumar phopho ayi hai or phool bhi lai hai "

Lamhe ke liye Rah Daari Mein sannata Chha Gaya Jaise Sans Aana bhi band ho gaya ho Nudrat plating Lagati ruk Gai Hani Inka Khira uthata hath ruka shaadi Teji se darvaje ki taraf Gaya Faras Ne Bari Bari Sabko dekha or bola

"Saadi main kamre main hun "

Sath hi Nigahon Se Ishara Kiya Jaise na Milna chahta hai aur na uski aamad ki khabar use ki Jaaye
Saadi ne Samaj kar sar hilaya

Honey in Piche hokar baith Gai Hamen khinch Gai aur Chehre per khafgi chha gayi

Darvaja khula tha zumar ne sar uthaya or ghoongraly bar andhe kachar main the hatho main phoolo ka guldasta tha tabhi wo muskurai naak ki long chamki or aankhe bhi chamki

"Saalgirah Mubarak Ho Saadi "

Phool uski Taraf barhaye
Saadi abhi tak Satya Mein Tha FIR Uske Honth Muskurahat Mein dhalte Gaye Aankhon Mein be panah hairat ubhar ayi

"Thank you thank you thank you phopho aye andar aye na "

kisi masoom Bacche Ki Tarah Khush Hota saadi hata aur use Rasta Diya

Zumar ki Muskurahat madoom hui
Narm se tasurat ke sath mutazabzab
Si andar dakhil hui

Jis ghar mein 4 Sal Tak kadam na Rakha tha vahan Char Kadam bhi Mushkil se par rahe the

"zumar kaisi ho "
Nudrat mutadur se Nihal usse Aakar Mili or boli

" Ao khana lagne he wala hai "

Zumar ne ek Nazar gol mez ko dekha jaha gin kar plates pari thi

Ek family khana khane hi wali thi usne Nahi Mein Sar hilaya
Saadi Ne Israr Kiya

"thoda sa le le"

Magar wo wahan nahi bathi

"Main khana kha chuki hun "

Haneen Ki Aankhon Mein gussa mutazabzub narajagi sab tha barhal
usne uth kar drawing room kam lunch ka darvaza khola

"kaisi ho Haneen"

Haneen Jaise is Sawal per disturb Hui Thi Magar FIR sapat chehre ke sath
" theek "keh kar andar sofe ki taraf Hath Kiya

" bathe "

Ajeeb se tasurat se sath wo tang par Tang Rakhe baith Gai to
usama Aakar Mila
voh Jaise ab Jara khul kar Muskurai
Uska Gal Chumma
chaukhat per Khade Saadi Ki Aankhon Mein taklif Si ubhri

"Kaise ho usama "

Ek Purana Mandir unmen jhilmilaya

* Yaad *

______________________________________

Don't forget to vote lovelies!

Love from Saleena (Sidra).

❣️

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now