Episode 2

92 2 0
                                    

Ain ne apni socho ko jhatka,,, Ain beta ap aj Rida k sath shopping pr kyu nhi chali jati jin chizo ki zarurat ho wo le ayga, syyeda ne baat badalne ki koshish ki, ha ha aapi chale na bhut sari shopping krenge, Rida to shopping k naam se hi khush ho gyi,
  ji anty jaisa ap kahe, Ain ne khamoshi se unki baat maan li... Pasand, na-pasand, khushi, marzi ye sab kaha baqi reh gya tha uski zindagi me, Maa Baap na ho to aulad ki har khushi khudkhushi kr leti hai, uski bhi har khushi ne khudkhushi kr li thi...
   Thik hai hum college ke bad shopping pr chalenge ok aapi, Rida ne pucha, Ain muskura di,,, naste k bad sab apne apne kaam me masroof ho gye, Aamir sahab or Ayaan office k liye nikal gye,            
  Rida or Arslaan ladte jhagdte university jane k liye uth gye, Ain ko syyeda apne sath kamre me le ayi,
   mere pas kuch naye suit hai tumhe jo pasand aaye wo tum le lena, syyeda almari khangalne lagi,..
  
     
         Ek car accident me Ansari sahab k intiqal k bad Asiya begam hi Ain ka akhiri sahara thi ya wo dono hi ek dosre ka aakiri sahara thi,, zameen jayedad ki ladai me rishte kaha or kab piche choot jate hai kisi ko khabar hi nhi,, kya insan itna beraham bhi ho skta hai ki apne sage rishto ko bhula de,, lkn Ain or syyeda begam ne itne hi beraham rishto ko dekha tha, apni aankhon ke samne khoon k rishto ka khoon hote hue dekhna bhi kis qadar Aziyat naak hota h,, wo dono us Aziyat se bhi guzri thi,
Baap k marne par koi hath rkhne wala na tha to bin maa baap ki aulad pr kon apna shafqat bhara hath rkhta, or rakh bhi deta agar ladka hota to, ladki thi to khair baat hi khtam.

   
           AAMIR SYED SHAH, Ansari sahab k padosi or or unke sab se jigri dost, sage bhaiyo se bhi zyada mohabbat or khuloos rkhte the, or syyeda, Asiya begam ki humdard or gumgusar,, behno jaisi mohabbat or shafqat,,, KBHI KBHI KHOON K RISHTO SE WO MOHABBAT OR KHULOOS NHI MILTA JO GAIR  BIN MANGE DE JATE HAI..,,
       Ain ko unhone hamesha apni beti ki trah hi samjha, unke 3 bete or ek beti thi, bade dono bete SHAYAN OR AYAAN apni taleem k liye beroon-e-mulq me the, ARSLAAN OR RIDA unke pas hi taleem hasil kr rhe the,, Isiliye Ain Arslaan or Rida k zyada qareeb thi baqi dono beto ko wo sirf chuttiyo me ghar pr dekhti thi,  Wo Rida or Arsalan uske zyada ache dost the, Ansari sahab k intiqal k tareeban 6 mahine bad Aamir sahab business k silsile me dosre shehar muntaqil hone lage, bhut israr k bawajood Asiya begam unke sath chalne ko tyyar nhi hui,....
       "Hum ap dono ko yha akela chor kar kaise chale jaye, ap dono tanha kaise rahengi,, syyeda ne ek bar phir unhe sath chalne par zor diya,
   hme kya taqleef honi yha, hum bhut araam se hai, Asiya begam ne phr unhe mana kiya, lkn,,, syyeda un dono ke liye waqai pareshan thi, koi naate rishtedar bhi to aisa nhi ki unse kisi trah ki koi ummeed ya sahara ho, syyeda ne kuch mayoosi se kaha,
   Allah kafi hai hamare liye anty , Ain ne syyeda k gale me bazo hamail karte hue mohabbat se kaha, Asiya muskura di.. Tum dono bhut ziddi ho, syyeda ne kuch khafgi se Ain ki sar pr chapat lgayi, bhut shukriya anty, Ain ne shararti andaz me kha to tino hans padi...

        Agli qist In Sha Allah jald hi publish hogi.. Shukriya.. Keep supporting..❤️

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Feb 25, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

MERE HUMSAFAR MERE REHNUNA Where stories live. Discover now