part 6

13 1 8
                                    

Tanuja in mind : Udhas toh aaise hokar gaya hai jaise pata nhi kon chod kar bhag gaya ho..🤭

Drishti : tanuja kaam karna hai yaa nhi....

Tanuja : aab...haa...bhul gayi...chal..

And dono apne kaam Mai lag jate hai

Other side

Bedi house

Biji's room

Rishi biji ko bed par beitha deta hai and sabhi wahi par khade tha

Rishi : biji.. khabar dar jo aab aap bed par se hili toh abse aapko Jo chaiye hoga..aap Jon ko bolengi...wo apko lake dega...or agar mujhe pata chala ki aap yaha se hili thi..toh paaka..Mai apko room mai band kar dunga....

Biji : oye...bada aaya mujhe room mai band kar dega...aaise kaise band kar dega...Mai bhi dekhti hu...🤨

Rishi : accha acha...nhi band karunga...par..aap
Aache baccho ki tarah rest karengi..or koi stress nhi lengi...samjhi..or time se dawai..lengi...Mai Jon ko phone karke puchta rahunga....🤨

Biji : Raj ji...tu dekh raha hai..tera beta kaise mujhe dhamki de raha hai...ek tu kya Kum tha...jo aab yeh bhi..mujhe zabardasti dawai khilayega...🤨

Raj : biji...aapko jitna drama karna hai aap karlo..par dawai toh Leni zaruri hai...or aap lengi bhi...tu Rishi chinta na kar..hum sab milkar biji par nazar rakhenge..ki yeh dawai time par le....

Ahana : haa...Mai bhi nazar rakhungi..warna yeh toh khane se rahi...

Biji : haa..haa..sab aab mujhe jaisi buddhi par nazar rakhenge...batao..meri kisi ko padi hi nhi hai..sab mere piche dawai ke liye pade hai warna kon puchta hai iss buddhi ko....

Rano : kya biji...aap fir se drama karne lagi....

Biji : haa..toh drama toh mai kar rahi hu tujhe kyu mirchi lag rahi hai...Jaa Jake apna kaam karna...🤨

Rano : apse bahas karna hi bekar hai...apko toh itna sa bhi fark nhi padne wala...🤨

Biji : Raji..apni biwi ko bol de..ki mera dimag or garam na kare..warna Mahabharat ka yudh chid jayega yaha...🤨

Rishi : mom..biji..dono shant ho jaiye...aaise jhagdiye..mat...warna aap dono ki tabiyat kharab ho jayegi...🤨

Biji rano : theek hai...

Rano : aamm...haa..Mai batana bhul gayi..Rishi..

Rishi : haa...

Rano : aaj sham ko Malaika aane wali hai...Jake
Sham ko usse airport se pick kar Lena..samjha..

Rishi : kya...maine kaha tha na...ki usse yaha mat bulai ye ga..apko samjh nhi aaya tha kya...

Rano : haa..nhi samjh aaya...tu kab tak akele rehne wala hai...aab toh shadi karni padegi tujhe...Teri Naa sun sun ke mai pareshan ho gayi..tere bharose agar beith to na..toh..tu toh khud maane se raha..🤨

Rishi : aap na kabhi nhi sudhar sakti...apko samjhana bekar hai.. kyunki apko samjha nhi aayega...jab maine keh diya tha ki mai abhi shadi nhi karunga...fir bhi apne Malaika ko yaha bula liya...tch...😤

And waha se uthkar chala Jata hai and sabhi rano ki taraf dekhne lagte hai

Rano. : kya aaise kya dekh rahe ho...

Raj. : tujhe itni kya jaldi hai uski shadi ki jo..uski marzi ke bina tune Malika ko yaha bula liya ek bar bhi tune humse puchna theek nhi samjha..

Rano. Dekhiye...Mai usse or aaise nhi rehne de sakti..or aacha hi haina..ki uski Malaika se shaadi ho jaye...waise bhi wo bhout aachi hai...Rishi ka aache se dhyan rakhegi...or kya pata sath mai rehne se pyar bi ho jaye...

Biji : tere muh lagna bekar hai...tujhe Jo karna hai wo kar

destiny - a love 💓Where stories live. Discover now