KPKT 60

1.9K 170 11
                                    

"itni geheri soch, ke humare aane tak ka ehsaas nahi hua" Karishma says while entering the house..

Haseena look to Karishma & gives smile & says- hmm, aaj ke case ke baare mei soch rahe the, ek 7 saal ki bacchi ko chori karna sikha rahi thi woh ladki, 7 saal ki bacchi ke maa-papa uss par aur usske pariwar ke bharose chodkar poora din ghar se bahar rehte the, unnke liye, Gauri ka pariwar unnke pariwar jaisa tha, aur uss ne kya kiya, khud ke online shopping ki laat ke liye ek 7 saal ki masum bacchi ka upyog karti rahi..

Karishma- humein naa iss waqt bas yahi lag raha hai, ke inn sab mei uss Gauri naam ladki ke maa-papa ka galati hai..

Haseena look to Karishma only, & Karishma says with firm tone- ji haan, hum bilkul sahi keh rahe hai, ek 17 saal ki bacchi ghar mei mehngi-mehngi chize laa rahi hai, iss baat ka pushti karna maa-papa ka adhikar hota hai, naa ke uss bacchi ke Khushi mei shamil hona, aur saath mei uss Kalyani verma ka bhi galati hai..

Haseena rise up her eyebrows & says- hum maante hai Gauri ke maa-papa ka galati hai, lekin Kalyani ki kya galati hai..

Karishma- hum maante hai, woh kaam ki wajah se poora din ghar se bahar hoti hai, lekin shaam ko ghar par aane ke baad bhi woh aapne bacchi ko kisi aur ke ghar mei rakhti hai, yeh galat baat hai, agar woh har shaam ko ghar aate hi, aapna jo shaam ka waqt hai, woh agar usski beti riya ko deti aur usse yeh baat samjhti ke kya galat hai aur kya sahi hai toh aaj yeh waqt nahi aata, & she look Haseena only staring her with smile, & she snapping her fingers infront of Haseena's eyes, to break her staring zone..

Haseena says with little irks tone- jallad hai aap..

Karishma give her confused look & says- kis baat ko lekar..

Haseena- yeh sab baatein aapne uss waqt kiu nahi kahi, agar yeh baatein aapne waha par uss Kalyani verma ke samne kahi hoti toh shayad usske dimag mei kuch toh roshni padti..

Karishma gives tight smile & says- hum jab bolna shuru karte hai, toh log samjhte kum hai aur darrte jaada hai, waise hum kis baat ke liye jallad hai..

Haseena- ab sahi baat puchi hai aapne, kuch der pehle aapne ek baat kahi..

Karishma think for a while & say- konsi baat..

Haseena- yahi ke poora din kaam se bahar rehne ke baad, shaam ko ghar par aakar, kuch waqt hi sahi usse aapne bacchi ke saath rehna chahiye..

Karishma says with confusion- haan toh..

Haseena frown her eyes & says- toh! Coco aapko nahi lagta hai, aap abhi poore din ki baat ghar par aakar bol rahi hai, balki humein kuch der hi sahi, ek saath waqt milta hai, poora din hum thana mei, senior-junior ki tarah rehte hai, woh kafi nahi hai aapko, jo ke aap ghar aakar bhi wahi sab kuch bolna shuru kar deti hai, ghar par aane ke baad ek toh aap ammi ke saath lag jaati hai phone pe, yaa phir aisa kuch toh ghar ka kaam hota hai, jo ke usske liye koi aur insan hota hai, lekin woh kaam aap hi karti hai, aur inn sab mei kuch waqt baccha toh, who waqt humare liye hota hai, woh bhi usse mei ek toh aapki tabiyat kharab huyi hoti hai yaa phir aap aag ka babula huye phir rahi hoti hai, akhiar kar kabhi toh humare liye waqt do, jo ke sirf humare liye ho, koi bhi insan itna toh na-samjh nahi hota hai, jo ke samne wale insan ki tapish nahi samjh paa raha hai..

Karishma shook her head in understand way, & Haseena says with more irk way- yeh, yeh baat humein pasand nahi hai, humein na bahot jaada gussa aata hai, hum gussa kabhi karte nahi hai, lekin aap humein gussa deti hai, & she turn her face to other side with irks..

Karishma try to hide her smile & she forward her hand with the fist to Haseena's face, & says- thik hai, ab hum yaad kar lenge, uss mei kya hai, waise gaye the toh yeh lane ke liye, phir socha tha, khaana hone ke baad denge, lekin ab aisa hua nahi hai toh, le lijiye, shayad gussa thik ho jaaye..

Maddamsir: Kabhi Pyar Kabhi TakkrarWhere stories live. Discover now