chapter 2

37 4 0
                                    

In Moga
(Preet is talking on phone with her best friend amrit (random girl))
Preet : kal ke test ki taiyari ho gyi
Amrit : Kahan yaar , aaj toh maine books khol kar bhi nhi dekhi . Tu bata
Preet :Haan Maine thoda bahut revise Kiya hai par
Amrit : par
Preet : par marks toh mere Kam hi aane hote hai na
Amrit : aisi baat nhi hai tere marks mujhse toh ache hi aate hai
Preet : nhi par mujhe jitne chahiye utne nahi aate na
Amrit : marks ki itni fikar nhi karte
Preet : Haan chal chod aur bata
Amrit : bas sab acha hai aur kya bataun Haan vo ek baat toh main tujhe batana bhool hi gyi
Preet : kya
Amrit : vo kal Karan mere paas Aya tha
Preet : kaun Karan
Amrit : arey wahi apna classmate
Preet : Haan haan , toh
Amrit : vo kal tere baare mein puch raha tha
Preet : mere baare mein ...kya ?
Amrit : yahi ki tera birthday kab aata hai
Preet : mere birthday ke baare mein vo kyun puch raha tha
Amrit : vo mujhe nhi pata
(Nimrat comes there )
Preet : amrit baaki ki baatein hum kal school mein karenge
Amrit : ok , bye
Preet : chal bye . Mumma aap yahan
Nimrat : amrit ka phone tha
Preet : ji... , mumma !
Nimrat : Haan
Preet : kya hua ? Koi tension hai , aap khoyi khoyi si dikh rhi hai
Nimrat : vo actually preet tumhare papa ka phone aaya tha
Preet : Haan toh
Nimrat : unhone bataya ki unka promotion ho gya hai
Preet : arey ye toh bahut khushi ki baat hai aur aap itne pareshaan kyun ho kitne saalon se papa try kar rahe the akhirkar waheguru ne humari sunn li
Nimrat : Haan par
Preet : par
Nimrat : par promotion ke sath sath transfer bhi hua hai .
Preet : what ?
Nimrat : humein parso niklna hai patiala
Preet : eh...eh....ek minute aap ko sunne mein koi galti ho gyi hogi papa ne kuch aur kaha hoga.
Nimrat : nhi beta mujhse koi galti nhi huyi
Preet : par mumma aise kaise hum apna sab kuch chodkar patiala Jaa sakte hain
(Manav comes there)
Manav : papa ka transfer patiala ka hua hai
Nimrat : Haan beta
Manav : arey yeh toh bahut Khushi ki baat hai hum bhi aman ,Vicky , Shaina , Uday ke sath masti karenge , unke sath rahenge . I am very excited
Preet : what excited ? Kya ho gya hai manav tujhe , hum apna ghar , school , friends sab chodkar Jaa rhe hain (In angry tone )
Manav : arey didi vo sab toh vahan bhi hoga ghar hoga , school bhi hoga , friends bhi ban jayenge .
Preet : par sab kuch naya hoga humara Ghar , school , friends...nhi nhi mujhe kahin nhi jana
Nimrat : beta meri baat suno
(Preet gets up from her bed and about to leave but nimrat holds her hand )
Preet : nhi mumma mujhe kuch nhi sunna .
Nimrat : par tum ja Kahan rhi ho
Preet : jahan mere mann ko shanti mile
(She left )
Nimrat : ab kya hoga ?
Manav : chill mumma , di gurudwara gyi hain
Nimrat : arey vo toh main janti hu , main transfer ki baat ko lekar pareshaan hu
(Preet is sitting in gurudwara )
Preet's pov : baba ji aap toh jante ho na mujhe ki main kaisi hu . Mujhe nayi jagah , naye logon se ghulne Milne ki aadat nhi hai . Yahan par sab kuch sahi tha acha ghar ,school , friends everything toh fir yeh transfer kyun .main vahan Jaa kar kaise rahungi , mujhe toh friends banane mein bhi bahut problem hoti hai . Mujhe kuch samjh nhi aa rha hai baba ji .
In evening
(Sarab comes from office and nimrat brings glass of water for him )
Sarab : bachon ko bata diya
Nimrat : ji
Sarab : kya bole vo ?
Nimrat : manav toh khushi khushi maan gya par preet ...
Sarab : preet ?
Nimrat : aap toh jante hi ho apni beti ko Ki kaisi hai vo , hmm
Sarab : mujhe pata hai par yeh sab jaruri hai . Kahan hai preet , main baat karta hu usse
Nimrat : vo gurudwara gyi hai
(Then preet comes there )
Nimrat : lo aa gyi .
(Sarab turns towards her)
Preet : papa aap aa gye
Sarab : Haan beta , idhar aayo mujhe tumse kuch baat karni hai
Preet : ji
(Then they both sit on the couch )
Sarab : mumma ne aapko bataya hoga mere transfer ke baare mein
Preet : ji bataya
Sarab : toh hum parson Jaa rhe hain . Tum khush to ho ?
(Preet hugs him tightly and starts crying)
Preet : papa mujhe kahin nhi jana . Main vahan nhi Jaa paungi Mera Mann nhi lagega . Mujhe yahin rehna hai apne ghar .
Sarab : main janta hu ki shuruaat mein tumhe thoda mushkil lagega par trust me tumhe vahan Jaa kar acha lagega . Main
Sweety aur Raj veer ji se baat karunga tumhari aur manav ki admission aman , Vicky , Shaina aur Uday ke school mein karwa denge jisse tumhe pareshani nhi aayegi aur naya ghar bhi humein unki colony mein hi mil raha hai tum bache ab kitni masti kar paoge
Preet : par papa yahan ka ghar , yahan ka School , friends
Sarab : arey hum chutiyon mein yahin aayenge tab mil lena karna apne doston se , hmm. Toh main Karu baat Raj veer ji se
Preet : hmm kar lijiye . Kal main School se leaving certificate le aaungi (after saying this she went to her room )
Sarab's pov : main janta hu beta ki tum bilkul bhi khush nhi ho par kya karun ? Yeh meri majboori hai , agar main transfer se mana kar deta hu toh meri job jaa sakti Jo ke tum logon ke future ke liye sahi nhi hai .
(Then he called Raj and told him everything about his transfer )
Raj : arey Tum bilkul bhi chinta mat karo
Shaina ke school ke principal mere bahut ache dost hai main unse admission
Ke baare mein baat kar lunga
Sarab : thanku Raj veer ji
Raj : aur ghar ka bhi ...
Sarab : nhi veer ji vo mujhe company ki taraf se hi mil raha hai aapki colony mein
Raj : arey yeh toh bahut achi baat hai theek hai fir parso milte hai
Sarab : ji
(Then they cut the call and Raj told everything to his family and sweety 's family )
Sweety : arey yeh toh bahut achi baat hai  hum sab sath mein rahenge
Aman : sachi mumma ab preet aur manav humare sath school jayenge
Simran (Raj's wife ) : Haan aur vo yahin humari colony mein hi rahenge
Uday : tab toh bahut maza aayega
Shaina : hum log bahut Masti karenge
Jogi : pehle kya kam karte the (in funny way )
In Moga
(Preet is lost in her thoughts )
Preet's pov : pata nhi par mera Mann kar rha hai ki yeh time yahin ruk jaaye kabhi parson aaye hi na aur mujhe kahin jaana hi na pade
(Then manav comes there )
Manav : didi kya soch rhi ho (while shaking her )
Preet : kuch nhi . So ja chup kar ke
(Then they both slept )
Next day
(Preet went to school and told everything to her best friend amrit )
Amrit : tu mazak kar rahi hai na
Preet : nhi yaar , aaj mera last day hai
(Then peon comes in class and give the certificate to preet )
(All classmates and her friends get shocked )
Amrit : tu sach mein mujhe chodkar Jaa rhi hai ( starts crying )
Preet : dekh to mat varna mera jaana aur bhi mushkil ho jayega
( Amrit controls her tears ,later everyone  meets preet and said goodbye to her )
Amrit : apna dhyan rakhna aur mujhe call karti rehna naye friends ke chakkar mein mujhe mat bhool jaana
Preet : pagal hai tujhe kyun bhulungi main tu toh meri jaan hai
(They both hug tightly and crying )

( Tell me guys how was the chapter ? )

parvarish Where stories live. Discover now