chapter 3

34 4 0
                                    

In patiala
(The car comes in front of the colony and preet and her family comes out of the car )
Sarabjeet : finally hum pahunch gye
Nimrat : colony toh bhaut sundar lag rhi hai kyun preet
Preet :😒
Manav : haan mumma aur khelne ke liye bhi jagah kitni hai
(Then jogi , sweety , Raj , simran comes there and greets them )
Sweety to preet : arey preet tum kitni patli ho gyi ho kuch khaya Piya Karo
Nimrat : arey didi aap toh jante hi ho aaj kal ke bacche kahan sunte hai humari
Sarabjeet : vaise di bachhe kahan hai
Raj : arey sarab vo andar hai pata nhi subah se kya kar rhe hain
Simran : chaliye hum log bhi andar chalte hain
Jogi : sweety ji aap bacchon ko aur bhabhi ko lekar andar jayiye hum log saman lekar aate hain
Sweety : ji chaliye bhabhi
Nimrat: hmm chalo
(Then they comes in sweety's home)
Sweety : aaiye bhabhi baithiye main aapke liye Pani lekar aati hu
Simran : bacho kaisa laga humara patiala
Preet : abhi toh hum aaye hain dekhna toh abhi baaki hai
Nimrat : ye ladki bhi na kuch bhi bolti hai
Sweety : ye lijiye Pani(then they drink water)
Sweety : chalo ab batao mujhe ki kya khana hai
Manav : mujhe aapke hath ke Bane aaloo ke paranthe
Nimrat : arey di aap rehne dijiye
Sweety : arey kyun rehne dijiye itni dur se tum log aaye ho bhuk toh lagi hogi main abhi bana kar lati hu paranthe , hmm
Nimrat : toh main aapki madad kar deti hu
Simran : arey uski madad ke liye main hu na tu aaram kar thak gyi hogi aur baccho tum log upar Aman ke kamre mein chale jao vo log vahin hai
Preet : mumma hum log apne ghar kab jayenge
(Simran looked at her)
Nimrat : arey preet yeh Ghar bhi toh humara hi hai aur jao tum bhi manav ke sath upar chali jao
Preet : nhi mujhe kahin nhi jana (she sits on another sofa and starts using her phone)
Simran : kya hua nimrat ye ajj ukhadi ukhadi si kyun hai preet toh kabhi aise behave nhi karti koi problem hai
Nimrat : aisa kuch nhi hai simran vo bas Safar ke karan thak gyi hai thodi der aaram karegi toh sab theek ho jayega
Simran : hmm
(Manav goes to Aman's room )
Manav : hey guys
(Aman , Vicky , Shaina and Uday get happy after seeing him and they all hug together )
Manav : tum log yahan kya kar rhe ho
Vicky : kuch nhi bas computer par game khel rhe the aur bata kab aaye tum log
Manav : bas abhi 20 min pehle
Aman : preet nhi aayi kahan hai vo
Manav : vo di niche baithi Hain
Shaina : toh chalo hum niche chalte hai
Uday : haan aur chachu aur Chachi ko bhi mil lenge
(Then they all come to the hall and greet them simultaneously sweetly call them for lunch )
Aman to preet : kaisi hai
Preet : achi hu
Aman : tu upar kyun nhi aayi
Preet : tu konsa niche aayi mujhe Milne
Aman : tujhe kuch hua hai kya
Preet : nhi toh
Sweety : Aman ,preet aa jao bete khana lag gya hai tum dono ko ab bahut waqt milega baatein karne ko
Simran : yeh bacche bhi na Jahan bhi milte hain bas shuru ho jate hai
(Then Aman and preet come there )
Manav : arey waah bhua aap ke hathon mein toh jaadu hai (after eating one bite )
Raj : vaise sarab maine school mein manav aur preet ka admission karva diya
hai
Sarabjeet: arey yeh toh bahut achi baat hai hum log soch rhe the ki pata nhi kab hum log vahan jayenge aur admission karvayenge
Nimrat : haan aur isse bachhon ki study bhi kharab nhi hogi
Jogi : arey bhabhi aap toh fikar kariye hi mat vo school patiala ka no.1 school hai
Manav : toh kabse Jana hoga school
Raj : kal se
Preet : par humari uniforms , books sab kuch
Simran : vo sab kuch hum ne leliya hai kal humne tumhari mummy se tumhare aur manav ke kapdon ka size le liya tha
Raj : chalo ab sab ke sab jaldi se khaana khaao aur hum sab log mil kar sarab ke ghar mein samaan set karenge
(Then they helped to put things in the house)
After that
Raj : chalo shukar hai sab saman sahi jagah par rakh diya
Simran : haan saman jyada hone ke karan mehnat bhi utni hi lagi hai
Aman : haan hum log toh thak gye
Vicky : aur nhi toh kya itna saman koi lata
hai bhala
Manav : arey hum yahan rehne aaye hai toh itna saman toh layenge hi
Shaina : aur nhi toh kya Vicky manav sahi keh raha hai vo thodi yahan ghumne aaye hain jo thoda saman laate
Sweety : chalo ab mujhe sab log bataiye ki unhe kya kya khana hai fir main bana kar lati hu
Simran / nimrat : di hum apki madad kar dete hain
Raj : arey aap log thake nhi
Sarab : aap log khana kaise banayenge aap logon ne bhi toh humare jitni mehnat ki hai
Simran : arey koi baat nhi hum bana lenge
Jogi : mere paas ek idea hai main aur Raj bhai sahab bahar se kuch khane ke liye le aate hain kyun
Shaina : yeh shi rhega fufa ji
Uday : ekdum best
Sarab : toh aisa karte hai ki main bhi aap logon ke sath chalta hu issi bahane mujhe bhi thoda iss shahar ke baare mein aur pata chal jayega
Raj : arey Haan haan kyun nhi
Jogi : ok toh fir chalein
(Then they three goes from there )
Nimrat : bachho tab tak tum sab log fresh
ho jao
Nimrat to preet : dekho lag rha hai na yeh ghar bilkul purane ghar ki tarah
Preet : lag hi rha hai na hai toh nhi (in angry tone )
(She left and nimrat stands there sadly )

(Tell me guys how was the chapter ? )

parvarish Where stories live. Discover now