EIGHT

253 17 5
                                    

3RD PERSON POV:

"Mama ye ap kia kah rahi hy?Main us se bachpan se boht zyada mohabbat karta ho iska jawab mere pass nhi hy k mujhe us se mohabbat kab hui?Shaid tab hui jab maine us se pehli bar apni god main uthaya tha aur usne tab hi pehli bar apni pyari grey color ki eyes se mujhe dekha tha.Ya shaid jab usne pehli bar mera hath pakr k chalna seekha ya tab jab usne pehli bar mere hath se khana khaya ya tab jab wo har choti choti baaton pe mere pass ati thi k yan bhai dekhy na azaan bhai ne mujhe unki pencil pakarny pe danta hy ya tab jab wo roty huye mere pass ati thi k yan bhai shayan ne meri chocolate kha li jo apne mujhe di thi ya tab jab abiha usko choti choti baaton pe gussy se apne kamry se nikal deti aur wo phir mere pass akar roya karti thi k us se mere elawa is ghar main koi pasand nhi karta. Main agar saans leta ho to sirf uski wajah se leta ho agar wo meri na hui na to main mar jaoga aur main ye bilkul bhi jhoot nhi bol raha ho.Main uthty,bethty,soty,jagty sirf uske bady main hi sochta ho wo kia kar rahi hy,usne kuch khaya hoga k nhi har min har lamha bas maha k bady main sochta rehta ho.Ap ko pata hy main apne business k elawa bhi ek company kholi hy sirf maha k liye aur uski ek branch Islamabad main open kar raha ho."said rayyan

"Rayyan mere bachy mujhe pata hy k tum maha se pyar karty ho choty hoty se maine tumhari ankhon main wo chamak aur baton main narmi(softness) dekhi hy jab bhi maha tumhare pass ati ya jab bhi wo tumhare ird gird hoti.Lekin mere bachy jo tumne us k sath kia hy wo kahi se bhi theek nhi hy peechle 10 saal se tum U.K thy hum sab se to tum baat kar lety thy lekin maha se tumne kabhi baat nhi ki tumhe pata hy wo 10 saal ki bachi mere pass akar poocha karti thi k uske yan bhai us se q nhi baat karty baki sab se karty hy lekin wo mere se nhi karty maine koi galti ki hy kia yan bhai se kahy k mujhse baat kar ly maine unko batana hy un k jany k baad dadi,dadu,papa,aliya tayi,shayan bhai,huzaifa bhai aur abiha kitna dantty hy aur gussa karty hy.Kia kehti main us 10 saal ki bachi ko k us ka yan bhai bahir jakar us se bhool gaye hy ya ye kehti k shaid wo nafrat karta hy tumse.Acha hi hota k main keh deti usey tab hi taky wo tumhare bady main na sochti aur na hi usey tumse mohabbat hoti.Tumne meri bachi ko har lamhy rulaya hy rayyan main tumhe is cheez k liye maaf nhi karo gi kitni baar tumhe maine kaha tha k rayyan bete maha k sath aisa na karo lekin nahi ab 10 saal baad tumhare dil main us k liye mohabbat jag uthi kia bharosa tumhara k tum meri bachi se nikkah kar k us se idhar chod k chaly jao aur phir tumhari mohabbat khatam hojaye.In sab ghar walo ki baatain to meri bachi ne suni hy na k THE RAYYAN KHAN usko chod k bahir chala gaya hy.Abhi to sab uske weight,uske khany peeny uthty chalny k tareeqe se bolty hy na jab tum nikkah kar k bahir jao gy kia guarantee hy k wo usey aur baatain ya tanain nhi degy k tumhare weight aur tumhari badsurat shakal ki wajah se hamara rayyan chala gaya wapis.Tumhare liye yahi behtar hy k jo bhi tumhari uske liye mohabbat hy usko yahi daffan kardo q k main maha ko phir se tootty huye nhi dekh sakti.Aur apni company ka roub apne pass rakho meri maha koi paisy ya company ki bhooki nhi hy.Aye bady mama maine uske liye company kholi hy"said zoha.

"Mohabbat meri maha mujhse mohabbat karti hy.Aur ap ko kisne kaha k main maha se nikkah kar k us ko yaha chod k chala jao ga aur kisi ki bilkul himmat nhi hogi meri maha ko baatain sunany ki aur ye hoty kon hy meri maha k bady main bolny waly aur kaha wo moti hy usko aur khany ki zaroorat hy aur wo duniya ki sab se khoobsurat ladki hy mama jiske bagair main rehne ka tasawur bhi nhi kar sakta mama.Main apko kasam se bata raha ho main mar jao ga uske bagair aur rahi baat us se baat na karny ki to main usey is liye nhi baat karta tha q k mama main bahir bhi isliye hi gaya tha taky main maha se us waqt shadi na kar lo mama mujhe pata hy maine bahir apne 10 saal kaisy guzary hy har lamha ye dil karta tha k abhi Pakistan aao aur akar us se apna bana lo lekin kia karta wo mere se 8 saal choti hy mama."said rayyan.

Rayyan is talking to his mom when amal knocked at the door.

"Rayyan bachy main andar ajao?"said amal

Jazba(Passion)Where stories live. Discover now