باب٣

264 15 98
                                    

سوزِ یقین
SOZ E YAQEEN
باب ِ٢

Chapter: Three

Naya din apne sath kuch naya laya tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Naya din apne sath kuch naya laya tha... woh mukamal tayar huwe nashte ke meez pe bethi hoi thi....

"Bibi jaan mujhe lagta Hai ab mujhe chalna chahiye werna dair safveri ki wajha se mera Image kharab hojaye ga"
Woh har barai mai uthi boli
Aur bibi jaan uski ada par halka sa has di

"ap has kyu rahi hain"
Woh unko dekhe sawaliye nazro se puchne lagi

"kuch nahi bas tere baap ki yaad agayi woh bhi apni job ke phele din aese hi tha phr ek din mohabbat Ke wasty barbad hogaya... "
Woh phele tou muskurai thi lekin phir maazi ke talkh yaado ko zehn khashi kr ke udasi mai bahel gyi...

"Bibi jaan mai abhi inki love story pe nhi puchi, abhi tou mama ka bachpan chal raha hai"
Usne muskura kar baat ko badalna chaha

"Mama ka bachpan...
Uff ho larki tum bhi na"
Bibi jaan phele tou uski baat samjh sa saki par phr yaad aane pe usko sar pe halka sa mare uske sath has pari

"Acha Acha ab ja larki werna tera image khrb hojaye ga wese bhi tera boss tou kharoos type haina"

"kharoos ko hum pigla dein ge fikar not bibi jaan"
Woh ankh mare kehne lagi

"besharam larki Sharam Kar le tori si"
Woh usko ghoore boli

"Ye besharam larki Sharam kese Kar sakti hai"

"Zarnish baaz Ajao"

"insaan nhi achi mai... jo baaz ban jaon"

"uff ho khudaya sabar dena us larke ko jis Ke naseeb mai ye hai"
Woh afsos karne lagi

"Ye humare beech is baat ka zikr lana zaroori tha kya"
Woh apni Kamar pe hath rakhe unse eyebrow upar kiye boli

"jese tu lati hai mehmood ko"
Woh sharati muskurahat diye boli

"ap mane na mane lekin woh apki jaan hai"
Is baar woh gehri muskurahat liye boli aur agle hi lamhe uska sar takiya se nawaza gaya

"Ye kya harkat hai bibi jaan"

"Zarnish mere bache abhi ap jao shahbash raat ko hum continue kare ge na"
Woh uske Chehre pe shafqat se hath phire boli

"okiee bibi jaan Allah hafiz"
Woh un se zor se gale lagte kehne lagi

......

"mai is bare Mai koi baat nahi karna chahta Sikandar"
Unki awaz mai ghussa mujood tha

"ap samjh kyu nahi rahe"
Woh ab uthe unke peeche chalta bolne laga

"mai Kya samjhun Haan batao mujhe kya chahte ho tum"
Woh Murray usko ghusse ki shiddat se dekhne lage

"woh mera beta hai mai chahta hun woh bhi humare sath is si ghar mai rahe"
Us shaks ki ankh nam ho chuki thi woh ye judai ye doori bardash nahi Kar sakta tha ab

𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏Where stories live. Discover now