باب٨

163 14 145
                                    


𝐒𝐨𝐳 𝐄 𝐘𝐚𝐪𝐞𝐞𝐧

Chapter:. Eight

ہم وہاں ہیں جہاں سے ہم کو بھی
کچھ ہماری خبر نہیں آتی

Akhir Kar un ho Ne shehryaar ko is rishte mai bandne ke liye manna hi liya tha par woh ye hobo ho jannte thy ke ye sab uske liye itna asaan nahi hai jitna lagta Hai, phir bhi woh kya karte woh bhi majboor thy ek maroom rishte ki khuwaish apni maroom behn ki khuwaish pora karne ke liye woh kuch bhi Kar sakte thy, woh nahi chahte thy ke is baar woh haar jaye rishto mai har baar ki tarah woh is baar rishte mai harna nahi chahte thy woh chahte thy jo farz woh apni behn ki zindagi mai pora na kar sakay woh ab uski beti ke farz poray kare....

"Assalamualaikum ap sikandar haina"
Woh bazaar mai sabziya Le rahi thi jab unki nazar ek pachas ke darmiyan wale shaks par pari tou usne usko pechan ne ki khoshish ki aur usko pukar di

"walikumassalam jee mai sikandar hun lekin ap kon maine apko pechana nahi"

"kesy pechane ge hum kabhi mile jo nahi aur humare dur ke talukat jo thehry"

"jee mai samjha nahi"

"Ghar chale mere sath mujhe ap se bhot khas baat Karni hai"

"maaf ki jiye mohtarma lekin ap hain kon"

"Zaeemah ko tou jante haina ya bhool gaye usko bhi"

"zaa.. Zaeemah meri beh..."
Woh ghabraye thy kese ajj zaeemah ka kissa shuru ho gaya....

"jee zaeemah apki behn aur Mai uski ek louti nand Ehan ki bari behn"

"kaha hai zaeemah kesi hai woh sab theek haina"
Woh preshan zahir ho rahe thy

"tabhi tou keh rahi hun ghar chale sab tafseel se batati hun"
Aese mai dono ghar aa puche thy...

"jee ab bataye kaha hai zaeemah"
Sikandar ne apni nazar phele idhar udhar dorayi ke shyd zaeemah ayi gi us se milne lekin woh nahi ayi...

"woh Mar chuki hai aur Ehan bhi"
Unho ne kuch dair baad bataya

"kya? Par kese"
Woh heran huwe thy ye sab kese huwa kyu huwa Kab huwa..

"unki mout ka raaz tou abhi tak nahi khola lekin ye wazeh hai ke Qatal huwa tha kisne Kiya kyu Kiya Allah janta hai, Mai tou us din se uski beti ke sath yaha rehti hun"

"beti? Zaeemah ka tou ek beta tha na"
Woh zaeemah ke sath akhiri mulakat ko yaad kiye herangi se bole thy

"beta bhi tha Allah janay woh kaha hai kis haal mai hai bas bachi uski ek beti Zarnish jo bechari reh gayi tanha, choti si thi jab dekha usne apni ankho se apne maa baap ko marte tab se leke aj tak bechari bachi ne duniya se muh mora huwa hai na kabhi zindagi mai koi dost bannaya na apni dil ki baatein kisi ko batai, ab akhir khaar uski nokri lagi Hai bas abhi bhi wahi hai aur maine ye baat ghoor ki hai jab se usne ye nokri shuru ki hai tabse kuch Hadd tak khush rehna sikha hai usne... apka beta shehryaar haina "

" jee shehryaar mera ek louta beta hai, kya waqai Zarnish shehryaar ke sath kaam karti hai"
Woh kuch hadd tak samjh rahe thy

" haan kyu ke jab Maine us se uske boss ka naam pucha tou bataya ke shehryaar sikandar hai us din se mujhe ap se milne ki khuwaish thi
Akhir apko apki maroom behn ke akhiri khuwaish bhi tou batani thi"

"kya? Kya khuwaish hai zaeemah ki"

"woh chahti thi ke Zarnish ka nikkah mai shehryaar ke sath Kar dun lekin mujhe tou ap sabke bare mai zara maloom nahi tha par ab shyd sila nikal chuka hai, aur rahi baat meri tou mai bhi yahi chahti hun ke shehryaar Zarnish se nikkah kar le, kafi sunna hai maine shehryaar ke bare Mai lehaza tab woh chota tha par uski tarbiyat ne dil jeet liya balke ab tou woh yaqeena woh bhot acha hoga"

𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏Where stories live. Discover now