باب٧

137 14 107
                                    


𝐒𝐨𝐳 𝐄 𝐘𝐚𝐪𝐞𝐞𝐧

Chapter:. Seven

میں تو ہوں اک اجڑے شہر کی مثال
تمہاری آنکھوں سے لگتا ہے اداس تم بھی ہو 🥀

.......................................................

Dekho Husam jo tha woh tha ab kuch phele jesa nahi hai tum jao yaha se

Waqt raat ka tha.. Sadey das ho rhe thy.. Safaid shirt pehne jiski astiney fold ki hui thi.. Woh apne ghar ki rooftop Pe khara huwa tha... Asmaan sitaro se dhapa huwa tha.. Aur uske chehra pe takleef ki lehr uthi hui thi..

mai nahi chahti tumse baat karna samjh kyu nahi aata tumhe

Uske har ek ek alfaaz uske kaan mai ghonj rahy thy...

Flashback:.

Woh barra(12) saal ki larki narangi rang ki shalwar kameez ke sth gale mai duppata pehne us bari si Haveli mai kisi ko talash karti nazar arahi thi.. Har ek ek kamre mai jhakne ke baad bhi usse uska naam o nishan nahi mila tha.. Woh faqat har maan kar lounge mai aye beth Chuki thi..

Ke kuch yaad aate foran se uth khari hui kitchen ki taraf Chal Pari.. Samne ek silap pe pari dish mai se usne do char cupcakes uth kar ek plate mai dal liye thi.. Yeh harkat karte huwe uske lab pe gehri shikast wali muskurahat mujood thi... Plate apne hath mai liye ab woh dhabe paon kitchen se nikal ayi thi aur Haveli ke peeche ke bare se darwaze se bahir ko nikal aai.. Jo kay dar asaal unki ootak thi jaha aksar us haveli ke mard kuch zaroori masle masahil ke upar baat chit karne ke waqt mil milaty....

Us larki ne dhabe paon aage aate kisi ko pukar di thi.. Jiski pit Iske bal thi

"Suno"

Iski awaz ko sunne Waha betha nou jawab foran se murra tha..

"kya haii chozi"

"dekho mai kia layi tumhare liye!"
Woh apne peeche se plate ab uske aage Kar chuki thi

"Phir se chori ki?"
Woh hath seeney pe bandhe ab usse tajassu se ghoor raha tha

"hmm.. Woh tum naraz thy.. Tou tumhe mananey ke liye mai.. Yeh"
Woh apne dono hatho ki ugli ek dosere ke sath jorre khabraht se keh rahi thi..

"mai Kab naraz tha?"

"naraz tou thy tabhi tou baat nahi kar rahy thy mujhse tum subha se.."

"aray mai naraz nahi tha"

"phir kyu nhi aake mile mujhse.. Maine suna hai jo naraz hute hain wahi baat nahi karte" woh us larki ki baat pe halka sa muskura diya

"haye meri chuzii.. Mai apse naraz nahi tha bas masroof tha"
Woh usse batata sath ab charpai Pe Beth chuka tha

"kidhr masroof thy"
Apne hath se plate side wale chote se meez pe rakhe usne apne hath seene pe bandhe usse ghora tha..

"bas chuzzi kaam thy kuchh"

"tumhe pata tou hai tumse baat kiye bagair mera din nahi guzarta bestie"
Woh kehti sath ab uske samne wali charpai pe bethi apne dupphatey ke corner se khelne lag gayi thi..

"ohh yeahh yeahhhh sorry.. Khotayi maaf ki jiye"
Woh uski masoom si seerat dekhe ab sharminda huwa tha

"Han maaf kiya bs aaida aese mat karna.. Ab chalo jldi se yeh kha lo agar kisi ne dekhe liya tou shamat paki"
Samne pari plate mai mujood cupcakes dkehe aur foran si usse khane ki tehmid dene lagi..

𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏Unde poveștirile trăiesc. Descoperă acum