باب١٣

297 15 17
                                    

ᰔᩚChapter No 13ᰔᩚ

Siyaah rang ke three piece suit mai malboos wo us sofay pe bethhy na jany kab se uska intazar kar raha tha...

Yakdam se darwaza khulne ki awaz sunayi gayi thi usne foran se apna chehra utha ke samne ka manzar dekha tha.. Aur dekhty hi na jany uski jism mai ajeeb harkat hui thi.. Kya koi itna khoobsoorat ho sakta hai uske dimag ne shyd yeh bat sochi thi.. Mehboob har haal mai khoobsoorat lagta hai, Mehboob dil se lagy tou khoobsoorat hi tassavur huta hai.. Yeh dil ka jawab tha jo usse muskuraanya pe majboor kar betha.

"Chale Shehryaar?" Zarnish ne apni sari ka palu sahi karty usse mukatif kiya tha, wo na jany kabse usse dekhe ja raha tha, wo surkh rang ki sari mai beyad khoobsoorati ki misaal qaim kar rahi thi.

"apka irada kya hai?" yeh ajeeb sa puchne jany wala sawal Shehryaar ka tha, Zarnish ke mutabik

"Matlb?" wo be yaqeeni se usse dkeh rahi thi..

"apka irada meri saansein band karne ka tou nahi?" wo uske qareeb aye, kaan Ke qareeb bola tha, Zarnish usko apne achanak qareeb paye zara khabrayi thi.

"ma.mai. samjhi nahi" wo ba mushkil boli thi..

"Hayee yeh mosoomiyat, yeh nain dil ka le ja rahy hain chain" Shehryaar apna sidha hath dil pe rakhe bol raha tha, Zarnish uski ajeeb hi halat dekhe has pari..

"ap.. Apko ho kya gaya hai" Zarnish ne apni hasi ke bich kaha tha..

"Bhukkar, special bhukkar" Shehryaar ne usske nazdeek aaty, uske chehre pe ati hui zulfo ko hataya tha, wo usse dekhti haste ruki thi..

"ahh i see, hairan karte rehte aap mujhe" Zarnish uski gardan ke gird apni bahy philaye boli thi. Uski bat pe Shehryaar halka sa hasa tha.

"aur Mujhe apka yeh hairan karna pasand hai" wo phir se boli thi.

"aur Mai?" Shehryaar ka masoom andaz mai ek chota sa pyara sa masoom sa sawal tha.

"Aap.. Hmm.." wo sochne ki acting kar rahi thi, halake wo uske is sawal pe lajawab thi.

"mai!?" Shehryaar uske mazeed nazdeek jaty bola tha, aur wo ek ek qadam karti piche hui thi..

Yuhi wo diwar se lagy ruk si gayi thi, Shehryaar ne uske gird diwar pe apna hath rakhe usse khudhi mai qaid kar liya tha.

"jawab ka muntazir hai banda!" uski awaz uske dil mai halchal si macha rahi thi.

Ke achanak hi vase niche girne ki awaz sunayi gayi thi, dono khud se alaida huwe vase ko dekhne mure..

Samne khara Husam ba mushkil muskura raha tha, sharmindagi ke sth
"I.. Iam sorry sorryy"

"mai bs guzar raha tha.. Na maine kuch sunna na dekha.. I promise!"
Wo sharmindagi se nazre idhr udhr ghoma raha tha..

"Acha relax" Shehryaar ne uski sharmindagi dur karte kuch kaha tha.

Wo gehra sans bharte waha se janny ko mura tha "bare galat waqt pe entry mari hai maine hayee Allah g kyu!?

Wo khud se barbarata aage ko chal diya tha.

Shehryaar piche mure Zarnish ko dekhe ruka tha."chalain begum?"

Jawaban Zarnish ne sar asbat mai hila diya

Shehryaar uske nazdeek hute apne hath mai uska hath liye parking porch ki taraf Chal diya..

.........

Wo teeno marriage hall mai punchy chuky thy.. Aur chacha se milte nazar arahy thy..

"Aba phool kidhr hain??? Larke wale aaty honge.. Phoolo ki theliya mujhe jald se Dede" Wo bhagti phuli hui sanso ke sath apne aba se mukatif thi..

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 28 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏Where stories live. Discover now