First Meet

90 5 0
                                    

Event subah 8 baje shuru hua tha. Chairman 9 baje aakar 9:30 tk chale gaye the. Ab 1 baj rahe the aur unn sab ko recess ke liye chodh diya gaya tha. Wo sab ladkiyaan khana khane ke liye auditorium se bahar nikal gayi thi.

"Rumaisa mujhe toh bahot pyaas lag rahi hai subah se non-stop bol bol kar." Faiza ne gale pr haath pherte hue kaha.

Rumaisa hansti hui boli, "Meri bhi bhook se jaan ja rahi hai... jaldi se line me lag jaate hain".

Dono line me khadi hui khana le rahi thi phr principal waha aayi aur Faiza ko bulaya.

"Yes ma'am?" Faiza boli

"Faiza aap aur Rumaisa 10 minutes mein apna khana khatam karke auditorium mein chali jaana. Wahan chairman sir ne bulaya hai. Aur hr class ki Class Representative ko bhi saath leke jaana aur haan tum apni class ki CR ho toh tum late mat karna." Principal ye sab keh kar chali gayi.

Faiza bhaagti hui Rumaisa ke pass gayi aur usse ye sab bola. Dono ne jaldi se khana khatam kiya aur hr class ki CR ko inform karne chali gayi. Phir sab CRs ko le kar wo auditorium mein chali gayi. Waha ek aurat baithi hui thi. Andhere ki wajah se unki surat samajh nahi aa rahi thi. Wo log unke pass gaye.

"Ma'am, Chairman sir kahan hai? Humein principal ma'am ne yahan aane ko kaha tha." Rumaisa boli.

***************************

Faiza unke saath nahi aayi thi kyunki ek CR mil nahi rahi thi aur wo usse dhundne mein lagi thi. Wo bhaagti hui har jagah uss CR ko dhund rahi thi pr wo kahin mil nahi rahi thi. Bhaagte bhaagte wo kisi ko dhakka dete dete rukk gayi aur khud farsh par girr gayi . Wo jaldi se uthi maafi mangne lagi.

"Tumhein seedhi tarah dekh kar chalna nahi aata?" Wo bole.

Faiza ne roti hui surat bana kar socha uske girne ka khayal nahi kisi ko. Phir apna sar utha kar usko dekha aur bas dekhti reh gayi. Koi itna handsome kaise ho sakta hai? Zarur koi sapna hai ya shayad nahi. Apne mann me bolti uss aadmi ko dekhne lagi aur jaldi se mann me tauba karne lagi.

"Agar mujhe dekhna hogaya ho toh bataogi kaun ho tum aur aise kyun bhaag rahi thi?" Wo chidd me usse puchne laga.

Faiza hosh me aayi aur uthte hue boli, "Main Faiza Amani Hoon, BSc 3rd year, aur mai ek ladki ko dhund rahi thi pr aap kaun hai?"

"Tum pagal ho? Aise hi koi tumse kuch bhi puch le toh sab bata dogi?" Wo haste hue bole.

Faiza ne munh banaya aur boli, "Haan kyunki aap koi sir lagte hain pr mai ne apko yahan kabhi dekha nahi. Shayad ap commerce field ke lecturer honge."

"Main jo bhi hu...tum bahot jald jaan jaogi. Pr agli dafa kisi bhi anjaan ko iss tarah apne baare me mat bataya karo. Ab jao apna kaam karo!" Keh kar ek shaitaani muskaan de kar wahan se wo chala gaya.

Wo bas usse jaata hua dekhti reh gayi. Phir jab wo nazar se ojhal hogaya toh hosh mein aayi aur uss CR ko dhundne chali gayi. Kuch der baad wo ladki paani peete hui baatein karti nazar aayi aur Faiza usse le kar auditorium pahonch gayi.

"Chairman nahi aaye?" Faiza ne Rumaisa se pucha.

"Haan wo aa rahe hain, ye unki behn hai jo iss college ke 25% ki maalkin hai." Rumaisa boli.

"Ma Sha Allah bahot khoobsurat hain. Itni haseen ladki mai ne aaj tk nahi dekhi." Faiza muskurate hue boli.

"Haan sahi kaha. Mai ne bhi nahi dekhi. Lagta hai saari khoobsurat inhi logon ne leli." Rumaisa haste hue boli.

"Kya matlab? Kon log?" Faiza confusion me puchne lagi.

"Aray inke bhai hi toh hamare chairman hain. Unko mai ne yahan aate hue dekha tha wo bhi apni behn ki tarah bahot zyada khoobsurat hain." Rumaisa kuch sochte hui boli.

"Lagta hai aaj college me event nahi beauty contest ho raha hai, aj yahan ek se ek khoobsurat log aaye hue hain. Maine bhi abhi aate hue ek bahot handsome aadmi ko dekha." Faiza wo haadsa yaad karti hui boli jo kuch der pehle uske saath hua.

Wo dono aise hi kuch baatein kar rahi the ke Chairman aakar apni jagah pr baith gaye. Aur Faiza ko bulaya. Faiza unhe dekh kar hairaan hogayi. Uska munh khula ka khula reh gaya.Ye toh wahi aadmi tha jisse bahar wo takrayi thi.

Wo jaldi se unke saamne jhuki aur dheere se kehne lagi, " I'm sorry sir, mujhe pata nahi tha wo aap hain. Mai agli dafa dhiyaan rakhungi. Please maaf kar dijiye sir."

"Tum anchoring kar rahi thi? Tumhari saathi Rumaisa Amjad kaun hai?" Wo serious sa chehra bana ke puchne laga.

Faiza jaldi se Rumaisa ko saamne bula layi aur phir wo sabke saamne zor se bolne laga. "Aap sab ko notice toh mila hi hoga scholarship aur awards ka? Bas ussi silsile mein aap logon ka bulaya hai. Jo karna hai madam apko samjha degi... bas jo karna ache se karna." Aur jaa kar apni kursi pr baith gaya.

"Hello dear students, mai Ayesha Shahriyar hoon. Apke chairman ki ek akeli behn. Apke principal ki bhatiji aur ap sabki future vice principal." Wo muskurati hui boli aur unhe unka kaam samjhane lagi. Faiza aur Rumaisa isharon isharon me kuch keh rahe the jo Ayesha note kar rahi the pr utna dhiyaan nahi diya.

Chairman ki nazar bas Faiza pr thi aur wo usse kuch kahe bina dekhe ja rahe the. Uski har harkat ko note karte hue muskura rahe the.
Faiza Rumaisa se ishare me kehne lagi Ayesha itni masoom aur pyaari aur uska bhai itna khadoos kitna ajeeb hai na. Chairman ye sab apne mobile par kuch baat karte hue note kar rahe the aur muskura rahe the.

"Aap dono saare naam sahi se announce karna aur har class ke CRs se guzarish hai ke aap log sabko ache se control mein rakhna aur jo absent ho unki class ka CR stage pr aajaye." Ayesha sab samjha kar Fardan ke baazu jaa kar baith gayi.

Lunch khatam hone ke baad sab ladkiyaan wapis aa kar baith gayi. Rumaisa aur Faiza Event continue karte hue apni jagah sambhaal li.

"Ab aap sabke liye special announcement hai. Chairman sir aakar hum sab ko awards and scholarships denge. Sab taiyyar rehna." Rumaisa ne excitement se kaha aur sab shor machane lage. Fardan ko shor bilkul pasand nahi tha isliye hr class ke CR ko khaas kar se takeed kiya gaya tha ke wo sab ko khamosh rakhein. Sab CRs sabko khamosh karwane mein lage the pr koi sunne ko taiyyar nahi tha.

"Agar aap sab chahte hain ke aaj ka function ache se ho aur sab ko maza aaye toh please thoda sa kam awaaz mein baat kijiye taaki dusron tk bhi hamari awaaz ja sake." Faiza ne narmi aur pyaar se kaha aur kuch log chup hogaye pr kuch chup hone ka naam hi na lete the.

Chairman uthe aur sabko ek gusse ki nazar se dekha aur stage pr aagye. Faiza ke haath se mic lete hue kaha, "Mujhe lagta hai ab isse women's college nahi sabzi mandi ke naam se chalana padega."  Sab chup hogaye.

"Kya aap sab ko inn logon ki awaaz nahi aa rahi ya sun kar bhi unsuna kar rahe hain aplog? Chup rehne ka matlab aap sab bhul gaye hain shayad." Fardan ne gusse se mic me kaha.

Principal jagah se uthi aur sabko ek nazar gusse se dekh kar baith gayi. Sab chup hogaye the. Faiza muskurati hui wahan se chali gayi aur ek mic stand laa kar Fardan ko dediya.

***************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones.... Lots of Love!!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now