Proposal

60 2 0
                                    

"Ms. Farhana apke class ke Ms. Faiza Amani ko Chairman ne office mein bulaya hai." Peon ne aa kar kaha.

"Faiza Amani aaj nahi aayi hain." Ms. Farhana ne kaha aur peon wahan se chala gaya aur chairman ko inform kiya.

Fardan ko Faiza ka college na aana bahot sata raha tha. Wo usse mil kar uska jawab janna chahta tha. Agar wo usse inkaar bhi kar degi toh koi khaas farq nahi padega kyunki wo toh usse shaadi ke liye asaani se mana sakta hai pr wo hai kahan. Usne socha shayad uske ghar jaana sahi hoga aur apni phuppo aur behn se keh kar Faiza ke ghar rishta bhijwa diya. Wo rishta toh Faiza ke mann ki baat janne ke baad bhejna chahta tha pr usse aur sabr nahi ho raha tha. Wo chahra tha jald se jald uska nikah hojaye aur uska ek kaam khatam hojaye. Shaam ke waqt Ayesha aur principal Faiza ke ghar rishta le kar pahonch gaye.

******************************

"Ji aap kon? Kya hum jaante hain apko?" Faiza ki mami Ayesha aur uski phuppi ko andar bithate hue puchne lagi.

"Mai Faiza ke college ki principal hu aur ye vice principal pr hum yahan college ke kaam se nahi balke kisi zaati mamle ke liye yahan aaye hain." Principal ne kaha.

"Zaati mamla? Faiza ne kuch kiya hai kya?" Mami unki baat samajh nahi paa rahi thi.

"Kya Faiza ne kuch galti ki hai?" Faiza ke mama unse puchne lage.

"Aplog pareshan kyun ho rahe hain? Faiza ne kuch galat nahi kiya. Wo toh bahot nek aur shareef ladki hai. Kya hum Faiza se mil sakte hain? Kya aap usse yahan bula sakti hain?" Principal ne pucha.

Mami ke awaaz dene pr Faiza unke saamne aayi aur Faiza ki halath dekh kr principal aur Ayesha ka munh khula ka khula reh gaya. Wo bahot hi kamzoor aur bemaar lag rahi thi. Uska chehra peela padh chuka tha. Bahot rone ki wajah se uski aankhein surkh aur moti hogayi thi. Kal ke maar jo khaye the wo nishaan bhi achi tarah se nazar aa rahe the. Wo ek kone mein sar jhukaye kaanpti khadi thi. Uski himmat bhi nahi ho rahi thi ke aankh utha kar unhe dekh sake. Wo apni zindagi se thak chuki thi. Baatein toh hamesha se sunte aayi thi, maar bhi wo roz khaati thi pr pehli baar mami ke badkirdaar kehne pr uski jo izzat thi wo khatam hogayi thi. Usne toh kuch galat nahi kiya tha pr kisi ne uska bharosa nahi kiya.

"Faiza? Kya tum bemaar ho?" Principal ne pucha. Faiza ko iss haal mein dekh kar Ayesha ke aankh mein aansu aagaye.

Mami jaldi se bol padi, "haan wo thoda sa padhai ka stress lene ki wajah se usse chakkar aagaye the aur wo stairs pr se gir padi. Ussi wajah se usse maar lagi thi aur wo aise haal mein hai. Mai usse itna kehti hu apna khayal rakhne ko pr wo meri sunti hi kahan hai." Ayesha bahot ache se samajh chuki thi kuch toh galat hai aur issi wajah se Faiza ke liye pareshaan ho rahi thi.

"Darasal hum yahan Faiza ke liye rishta le kar aaye the. Humein apki Faiza bahot zyada pasand hai isliye hum chahte hain uski shaadi mere bhatije Fardan se hojaye. Aplog Fardan ko toh jaante hi honge, Shehriyaar Industries ka maalik hai wo aur hamare college ka chairman bhi." Principal ne ek saath keh diya aur jawab ka intezaar karne lagi.

"Shaadi? Hum toh Faiza ki shaadi hamare bete Shafiq se karana chahte hain." Mama ne kaha.

Mami mama ko ghurti hui bolne lagi, "Nahi nahi ye toh kuch bhi bolte hain. Wo toh bas ek mazak tha bachpan ka. Hamare Shafiq ki shaadi toh Arshiya se tay ho chuki hai. Humein koi aiteraaz nahi iss rishte se. Humne Shehriyaar Industries ke baare mein suna nahi pr aap keh rahi hai toh acha hi hoga. Hum toh Faiza ke liye rishte dekh hi rahe the. Hum bahot khush hai iss rishte se. Aap boliye shaadi kab karna chahte hain aplog?"

"Hamari khwahish hai ki shaadi issi hafte mein hojaye. Pr mai ye shaadi karwane se pehle Faiza ki marzi janna chahti hu." Ayesha Faiza ke pass jaate hue boli. Pata nahi kyun Ayesha ko Faiza se ek purana rishta sa lagta tha. Jab college mein Ayesha ne pehli baar Faiza ko dekha tha tabse hi usse janne aur dosti karne ki khwahish mein thi aur ab toh wo uski bhabi banne wali thi ye baat se wo bahot khush thi pr wo chahti thi har cheez Faiza ke marzi se ho.

Faiza ussi kone mein khadi saari baatein sun rahi thi pr usse samajh nahi aa raha tha wo kya kare. Usse itni jaldi shaadi nahi karni thi. Usse toh shaadi hi nahi karni thi kyunki shaadi karne ka anjaam kya hota hai wo ache se jaanti thi. Uski maa ke tarah zillat aur azeeyath se guzarna usse gawara na tha. Wo toh apna career banana chahti thi aur bahot saara paisa kama kar apne baap ko galat saabit karna chahti thi. Pr koi uski sune tab na.

"Bolo Faiza, kya tumhein ye rishta manzoor hai? Agar tum kuch waqt chahti ho toh lesakti ho. Agar tumhein bhai ke saath kuch waqt guzaar kar apna faisla batana hai toh mai iss baare mein bhai se baat karlungi. Aur agar tumhein ye rishta pasand nahi toh koi baat nahi tum inkaar bhi kar sakti ho." Ayesha Faiza ke pass khadi usse puchne lagi.

Faiza apni soch se bahat aayi aur jab kuch kehne hi wali thi ke mami bolne lagi, "Beta aisa kuch nahi hai. Bhala wo kyun inkaar karegi? Faiza toh kabse shaadi karna chahti thi usse toh shaadi ke itna shauq hai ke tum kisi raah chalte se bhi shaadi karne ko kahogi toh wo raazi hojayegi. Mujhe pata hai uska jawab haan hi hai. Aplog bas shaadi ki taiyyari shuru kar dijiye."

"Faiza agar tumhe koi bhi aiteraaz ho tum mujhe keh sakti ho. Agar tumhari marzi nahi hai toh ye shaadi kabhi nahi hogi." Ayesha uske baazu pakad kar usse pyaar se kehne lagi.

"Usse koi aiteraaz nahi hai bas wo thodi sharma gayi hai. Mai keh rahi hu na aap yaqeen kyun nahi kar rahi ho." Mami apne gusse ko dabate hue boli.

"Mujhe bas Faiza ke zubaan se haan ya na sunna hain." Ayesha mami ko ignore karte hue boli.

Faiza apne mamu ki taraf dekhne lagi jo sar pr haath rakh kar nazarien mami pr jamaye kisi soch mein doobe hue baithe the. Jab mami ko dekhne lagi toh wo aankhon se haan kehne ka ishara karne lagi. Faiza ki aankhein bhar aayi. Wo sochne lagi kya wo sach mein itni buri hai ke har koi usse durr karna chahta hai. Kya koi bhi usse zindagi bhar apne pass nahi rakhta? Pehle papa, phir maa aur ab mama mami bhi. Wo apne aansu ko jhatke se ponchne lagi.

Phir Ayesha ki taraf dekh kar kehne lagi, "Jo mama mami ka jawab hoga wahi mera bhi hai."

Ayesha boli, "mujhe apne bhai ki shaadi tumhare mama mami se nahi karwani. Mai tumhari marzi janna chahti hu."

Mami jaldi se Faiza ke pass aayi aur boli, "Faiza ka har faisla hamesha se humne liya hai isliye iss baar bhi hum karenge."

"Mami ji mai apse mana nahi kar rahi, beshak aap lijiye faisla par mujhe Faiza ki bhi marzi janni hai." Ayesha Faiza ko dekhti hui boli.

Mami Faiza ka haath sakhti se pakad kar puchne lagi, "Tum iss rishte ke liye raazi ho na?"

"W...wo mami ji" Faiza kuch kehne hi jaa rahi thi ke mami ne apne haath ki giraft aur tez kar li jisse Faiza ko takleef hone lagi aur wo samajh gayi ab uske liye iss ghar mein koi jagah nahi.

"Haan mujhe koi aiteraaz nahi." Keh kar Faiza bhaag kar apne kamre mein chali gayi.

Mami mann hi mann muskurane lagi. Ayesha aur principal bhi iss baat se bahot khush hue. Mama ko samajh nahi aa raha tha wo kya kare.

Ayesha aur principal shaadi jald se jald karwana chahte the isliye unse shaadi ki tareekh aur baaqi baatein bhi discuss karne lag gaye.

Faiza apne kamre mein khoob ro rahi thi. Uske haath mein ek chota sa sone ka bracelet tha jo uske maa ne usse bachpan mein banaya tha. Uss bracelet mein uske maa ki tasweer thi. Wo baar baar uss tasweer ko dekh kar seene se lagati hui ro rahi thi. Kal koi usse bina uski marzi ke zabardasti kahi le gaya aur usse propose karne ke baad bina uska jawab jaane chala gaya. Uske mama mami ne khoob maara aur bura bhala kaha. Phir wo hospital mein admit hui. Phr subah ghar wapis aate hi mami ke taane phir se baras pade. Mama bhi usse bura bhala keh rahe the. Shafiq uska akela humdard tha jo har mushkil mein uske saath khada hota tha pr iss baar usne bhi bharosa nahi kiya. Aaj phir uss shaqs ne ek naya tamasha kiya rishta bhej kar. Wo saari baatein yaad kar ke rone lagi.Uske saath 24 ghanto mein kya kuch nahi hua tha aur inn sab ka zimmedar tha ek hi shaqs Fardan Shahriyar.

***************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonHikayelerin yaşadığı yer. Şimdi keşfedin