Confession

68 3 0
                                    

Fardan Faiza ko le kar wahan se nikal gaya. Faiza ki mami ne usse car mein jaata dekha aur wahan se chali gayi.

"Sir hum kahan jaa rahe hain? Ye mere ghar ka raasta nahi hai." Faiza ko bahot tension ho rahi thi.

Fardan Faiza ko ignore karte hue car chala raha tha. Faiza ko bahot ghabrahat hone lagi. Uske haath kaanpne lage. Wo usse kisi jungle ke raaste koi sunsaan galliyon se le kar jaa raha tha. Faiza ke dimaag mein ajeeb ajeeb khayal aane lage.

"Kahin ye mera qatl karke mujhe janwar ko khilane toh nahi le kar jaa rahe? Pr ye mera qatl kyun karenge ? Meri toh inse koi dushmani nahi. Pr inka irada kuch aur raha toh? Mujhe toh inke irade kuch theek nahi lag rahe.Main kya karu ab?" Wo mann hi mann darte hue khudko calm karne ki koshish mein lagi hui thi pr usse bahot bure khayal aa rahe the.

Fardan Faiza ki har harkat ko note kar raha tha. Uske haath kaanpte dekh kr usne car ki speed tez kar di aur gaadi ek bade mansion ke saamne rok di jo jungle ke beech bahot khufiya tareeqe se bana tha ya shayad chupaya gaya tha. Fardan gaadi se utra aur Faiza ko le kar uss haveli mein ghus gaya. Faiza ke mann mein hazaar sawaal the pr uski himmat na hui ke wo kuch puchti.

Fardan usse apne picche aane ka ishara karke chalne laga. Wo ek bade se hall me aaye the jo bahot khoobsurat tha. Wo haveli purani lag rahi thi pr wahan har cheez nayi aur bahot hi zyada well maintained thi. Faiza ne aisa khoobsurat ghar bas filmon mein dekha tha. Fardan hall se hote hue Faiza ko ek kamre me le gaya aur ek kursi pr baithne ka ishara karke wahan se chala gaya. Faiza aas paas dekh rahi thi. Kamra bahot bada aur saaf tha jaise kisi ne abhi wahan ki safai ki ho. Wahan har cheez bahot qeemti lag rahi thi. Wo uss kamre ki khoobsurati mein kho gayi thi. Wo kamra black-red combination mein tha aur wahan rakhi har cheez uss kamre ko ache se suit kar rahi thi. Wo uss kamre ko nihaar hi rahi thi ke achanak Fardan ke darwaza khol kar andar aane pr hosh mein aagayi.

"Ye paani peelo aur kuch khana hai toh bolo mai banwa dunga." Fardan usse paani ka glass dete hue bola.

Faiza ko samajh nahi aa raha tha wo karna kya chahta hai. Wo jhijhakti hui usse puchne lagi, "Sir aap mujhe yahan kyun laaye? Aur mai ghar kaise wapis jaungi?."

Fardan uski jhijhak pr muskurate hue uske sawal ko ignore kar gaya. Fardan ne phr pucha, "Tumhe khane ke liye kuch chahiye? Kya tum biryani khaogi?"

"Nahi mujhe bhook nahi mujhe kuch nahi chahiye sir. Bas aap boliye aap mujhe yahan kyun laaye hain?" Faiza ne gusse ko qaabu karte hue kaha. Faiza ka sabr jawab de raha tha. Usse Fardan ki khamoshi chub rahi thi. Wo bas jald se jald apne ghar jaana chahti thi kyunki agar wo der karti toh mami jaisi aafat ka saamna karna padta. Fardan ne gehri saans li. Phir jo usne kiya wo Faiza ne toh kabhi khwaab mein bhi socha nahi  tha.

"Miss Faiza Amani, main apko Mrs. Fardan Shehriyaar banana chahta hu. Kya aap mujhse shaadi karengi?" Fardan uske saamne baith kar ring dikhate hue pyaar se puchne laga. Wo ek diamond aur platinum se bani ring thi jo bahot nazuk aur bahot khoobsurat thi.

Faiza shock se usse dekhne lagi. Shaadi?? Wo bhi chairman se???? Usse laga wo shayad unki baat ko galat sun rahi thi. Faiza ko jhatka laga tha. Wo chup chap Fardan ko dekh rahi thi.

"Aap ko agar aaj jawab nahi dena hai toh koi baat nahi. Main kal college mein apse jawab sun lunga. Umeed hai tab tak jawab taiyyar hoga apke pass. Aur ye mat samajhna main koi mazak kar raha hu. Main apse shaadi ko lekar bahot serious hu." Fardan hamesha ki tarah sakht lehje mein kehne laga.

Faiza ko toh kuch samajh nahi aa raha tha. Aakhir kya ho raha tha uski zindagi mein? Fardan usse sirf ghanto pehle dekh kr propose kaise karsakta tha? Wo toh usse theek se jaanti bhi nahi thi aur Fardan bhi toh usse nahi jaanta phir wo kyun usse shaadi karna chahta hai? Faiza ke mann mein kayi sawaalon ne ghar kar liya. Wo apne soch mein dubi hui thi. Fardan usse dekh kr mann mein muskurane laga aur phir Faiza ko bahar aane ka keh kar wahan se chala gaya. Fardan usse ghar wapis chodhne jaa raha tha aur raaste bhar dono ne ek bhi baat nahi ki. Faiza bas bahar dekhti hui apni soch mein gum thi. Fardan bhi gaadi chalane par dhiyaan de raha tha. Jald hi wo Faiza ke ghar ke bahar the. Fardan ne Faiza ko awaaz di toh wo hosh mein aayi aur jaldi se car se nikalne ki koshish ki tabhi Fardan ne usse phir awaaz di. Wo usse dekhne lagi.

"Jaanta hu tumhare mann mein meri wajah se 1000 sawaal honge pr mera yaqeen karo jaise jaise waqt guzarega tumhare saare sawaalon ke jawaab tumhe mil jayenge. Zyada mat sochna aur kal mujhe haan mein jawab dena kyunki mujhe na sunna pasand nahi." Fardan ek hi saans mein keh kar wahan se chala gaya. Faiza bas uske car gayeb hone tk usse hi dekhti rahi aur uske jaane ke baad jaldi se ghar mein chali gayi.

******************************

"Kahan thi itni der tk?? Jaanti ho na ghar mein 100 kaam hote hain phir kahan marr gayi thi itni der?" Faiza ki mami ne usse kheench kar ek thappad maara aur puchne lagi.

Faiza ke aansu nikal pade. Wo khud samajh nahi paa rahi thi aaj uske saath hua kya tha. Wo jawab mein kya kehti usse kuch samajh nahi aa raha tha. Wo bas roye jaa rahi thi. Uss waqt ghar mein sirf mami maujud thi aur issi ka fayeda uthate hue mami usse bahot maar rahi thi.

"Sab dekha maine tum kaise kisi awara raeeszaade ke saath kahin gayi thi. Kahan munh kaala karke aayi ho? Bolo kon tha wo? Itna hi shauq hai ghair mardon se milne ka toh chali jao wahin. Mere ghar mein tum jaisi badchalan ladki ki koi jagah nahi hai." Mami Faiza ko maarti hui bolne lagi.

Achanak se mama aur Shafiq wahan aaye aur unhe rok liya. Mama ne wajah janne ki koshish ki. Phir Mami ne unhe sab bata diya.

"Faiza kya tumhari mami sach keh rahi hai?" Mama ne pucha.

"W....wo....mama ji.....wo...main...." Faiza rote hue kuch bolna chahti thi pr uske zubaan pr lafz hi nahi aa rahe the.

"Kya main tumhein jhooti lagti hu? Ye sach mein uss aadmi ki car me baith kar gayi thi. Pata nahi kitne dino se aisi harkatein kar rahi hai ye manhoos. Wo toh aaj main Salma baji ke ghar gayi thi toh raaste mein isse dekh liya warna toh hum sab isse shareef hi samajhte reh jaate." Mami usse gusse se dekhte hue boli.

Mama ko bahot gussa aa raha tha wo kuch nahi bole. Shafiq Faiza ke pass khada saara tamasha dekh raha tha. Usse apni maa ki baat pr yaqeen hi nahi aa raha tha.

"Faiza tumhari mami jo keh rahi hai wo sach hai ya nahi? Bs haa ya na mein jawab do!" Mama ne sakht awaaz mein pucha.

"H...haan mama pr...wo" Faiza rote hue kuch keh hi rahi thi ke usse ek zor ka thappad pada aur wo nicche gir padi. Usse yaqeen nahi aa raha tha uske mama ne uss pr pehli baar haath uthaya tha. Phir wo apna sar pakad kar baith gaye. Shafiq ki aankhein phati ki phati reh gayi. Wo toh kisi khwaab mein bhi nahi soch sakta tha ke Faiza aisa kuch karegi. Mami gusse mein bahot kuch bol rahi thi pr usse kuch sunayi nahi de raha tha. Faiza ne toh jaise aaj sab kho diya ho. Wo zameen pr padi hui thi usse kuch samajh nahi aa raha tha. Usse lag raha tha jaise aaj duniya khatam hogayi ho. Wo sabse kya kehti. Jo log sach sunne ka mauqa tk diye bina usse maar rahe the kya wo log uska sach sun kar uss pr yaqeen karenge? Aise hi sawaal uske mann mein chal rahe the aur sab dhundla hone laga.

"Faiza....Faiza??? Aankhein kholo Faiza."  Sab chilla rahe the wo sab sun rahi thi pr aankhein uska saath nahi de rahi thi. Sab andhera hogaya phir wo behosh hogayi.

***************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now