Award Ceremony

66 3 0
                                    

Fardan ne award ceremony ko aage badhate hue kaha, "aap sab se guzarish hai ke issi tarah khamoshi banaye rakhein aur apna naam bulaye jaane pr stage par aayein."

Phir Faiza ko mic badhate hue wo ek side me hogaya. Rumaisa jaldi se dusra mic le kar aagayi aur Faiza ke haath mein wo dediya. Faiza ne Fardan ko uss mic stand ke pass aane ka ishara kiya aur khud Fardan ke picche aagayi.

Faiza aur Rumaisa ne naam bulane shuru kiye, "Aiman Fatima, BSc 1st year, topper of class."

Wo stage pr aayi aur apna medal le kar chali gayi. Issi tarah wo har class aur har semester ke naam bulate rahe aur sab ko award milta gaya. Cleanliness, Boldness, Punctuality, aur Intelligence jaisi aur bhi kayi cheezein thi jin ko dhiyaan mein rakhte hue bahot saare medals aur awards diye the. Almost 70% ladkiyon ko award mila tha.

Ab Faiza ne announce kiya, " Rumaisa Amjad, Bsc 3rd year, Boldness And 3rd Topper of class." Rumaisa jaldi se gayi aur apna certificate aur medal le kar tasweer lene lagi. Phir wapis apni jagah aagayi aur jaldi se naam announce kiya.

"Faiza Amani, BSc 3rd year, Constant Topper of class and 100% scholarship."

Fardan ne muskurate hue usse dekha aur gold medal pehnaya. Wo bahot khush thi. Certificate dene ke baad wo tasweer lene lage toh Fardan ne photographer ko 4-5 tasweer extra lene ko kaha. Faiza ko kuch samajh nahi aaya pr wo wahi khadi rahi. Fardan har kisi ke saath ek serious sa face bana kar tasweer le raha tha pr Faiza ke saath wo bahot muskurate hue tasweer lene laga jo Ayesha aur principal ne bahot ache se note kiya tha.

Tasweer lete hi wo sabse kuch baatein karke apni jagah jaa kar baith gaya. Ab Rumaisa ne anchoring shuru ki thi. Faiza kahin nazar nahi aa rahi thi. Fardan ki aankhein bas usse hi dhundne lagi.

Show shuru hua aur wo sab ek comedy drama karne lage ke kaise mobile phone aur ammi ka 36 ka aakhda hota hai.

"Ammi mujhe bahot sar dard ho raha hai" ek ladki na kaha.

Dusri ladki jo maa ka kirdaar nibha rahi thi, chidhte hue boli, "aur dekho beta phone. Yahi hota...wo phone ku aag lag jaana toh sukoon hota apke sar dard ko."

Sab hasne lage. Pr Fardan sirf Faiza ko dhund raha tha. Usse kisi cheez mein dilchaspi nahi thi. Faiza kahi nazar nahi aa rahi thi shayad wo back stage kuch karne mein busy thi. Achanak se Rumaisa ki awaaz ne Fardan ka dhiyaan apni taraf liya.

"Faiza Amani, Bsc 3rd year. Please give her a big round of applause."

Andhere mein Faiza khadi thi aur achanak se lights on hui. Aur Faiza aage badhi. Wo shayad koi skit karne wali thi. Fardan ka poora dhiyaan ussi par tha.

"Main wo beti hoon jisse baap ne thukraya hai,

Sirf Maa thi jisne seene se lagaya hai,

Tanha thi mai zindagi ke har pal mein,

Ek dost mili hai aaj kal jisne mujhe apnaya hai."

Wo zor se boli aur nicche baith gayi. Achanak se music bajne laga aur wo nachne lagi.

"Bezubaan kabse main rahi, be gunah sehti main rahi......"

Uski aankhon mein aansu the... wo phir boli

"Ek roz tanha khadi thi rote apne qismat pr,

Phir koi ajnabi mila gali ke uss mod pr,

Na jaane kon tha jo aisa ishara de gaya,

Apna sa laga anjaane me sahara de gaya."

"Maa tujhe sab hai pata hai na Maa"

Wo roti hui slow dance kar rahi thi aur uske aansu qaabu mein nahi aa rahe the. Sab bahot emotional hogaye the. Fardan bas usse hi non-stop dekhe jaa raha tha. Uska dil chah raha tha wo stage pr jaaye aur uss performance ko rok kr uske aansu qaabu mein karle. Pr wo aisa kar nahi sakta tha. Wo nachti hui nicche baithi aur roti hui aankhon se sabko dekh kar bolne lagi.

"Duniya Aisi Hai Mere Aas Pass Jo Mujhe Har Pal Bahot Satati Hai,

Ek Maa Tu Hi Hai Jo Mushkil Waqt Mein Sahara De Jaati Hai,

Uss Sagge Baap Ne Bhi Thukraya Baar Baar Mujhe Aaj Tk,

Pr Dost Meri Ek Aisi Saggi Ke Hamesha Rishta Nibhati Hai."

"Yaara Teri Yaaro Ko Maine Sab Maana Hai."

"I love you alot my dearest Rumaisa." Wo keh kar apni performance khatam kar gayi.

Rumaisa ke aankh mein paani aagya tha. Wo bahot emotional ho gayi thi kyunki usse pata nahi tha uski dost ke liye wo itni khaas thi. Wo anchoring bhul kar uske gale lag kar rone lagi. Sab kaafi emotional the. Faiza ne jaldi se apne aur Rumaisa ke aansu saaf kiye aur sabki taaliyon mein muskurati, sabka shukriya adaa karti hui chali gayi.

Kuch aur performances ke baad event khatam hogaya. Fardan Faiza ke performance ke baad waha se nikal chuka tha kyunki usse baar baar calls aa rahe the. Ayesha ko saare performances bahot pasand aaye the. Wo kaafi khush thi. Sab ache se hogaya tha aur Faiza anchoring khatam hote hi wahan se nikal gayi. Usse jaldi ghar pahunchna tha isliye wo bhaagti hui bus stop pr jaa rahi thi.

Wo bus stop pr apni bus ka intezaar karne lagi aur achanak se ek Mercedes Benz uske saamne aa kar ruki. Wo thoda side ho kar ruki thi. Window nicche kar ke andar baithe aadmi ne Faiza ko awaaz di aur Faiza Fardan ko dekh kar hairaan hogayi.

"S...Sir! Aap yahan kya kar rahe hain?" Wo boli.

Wo car se nikla aur car ka door kholte hue usse andar baithne ka ishara karne laga. Wo usse hairaani se dekhte hue boli, "Pr sir mai kaisa...aur mai kyun baithu apki car mein?"

"Faiza mere pass waqt nahi hai jaldi se andar aajao. Mujhe Na sunna pasand nahi," Wo usse warn karte hue kehne laga.

Faiza apne chairman se argue nahi karna chahti thi kyunki wahi ek insaan the jis ki wajah se wo free mein apne studies kar rahi thi. Isliye wo unki baat maan kar car mein baith gayi.

***************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones....Lots Of Love!!!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now