Rediscovering Lost Ties

19 1 0
                                    

Faiza ko Shehri ke likhe lafz padh kar apne papa ki yaad aagayi. Wo aaj jis haal me thi...Usse jo roz khudko maarne ke khayal aate the...wo jisne apni maa ko kho diya tha...Uski zindagi ke har bure pal uske baap ki wajah se the...wo roz sochti kash mai ek ladka hoti toh shayad aaj mere pass mere maa baap hote...aur wo sab ek chota sa khush haal parivar hote. Faiza apne inhi khayalon ki wajah se roti rahi aur pata nahi kab neend ne uski aankhon pr pardah daal diya.

Shehri,
Main ne jab apke alfaaz padhe toh mujhe bahot bura laga. Allah apke maa baap aur meri maa ki maghfirat farmaye..ameen. Mai jaanti hu maa baap ko khone ka dard...bachpan me jab apko sabse zyada zarurat unki hoti hai aur wo nahi hote hain toh kitni takleef hoti mai samajh sakti hoon...pata nahi aap ne bina apne maa baap ke akele kaise apni zindagi guzari hogi. Aur rahi baat mere baap ki toh mera koi baap nahi....yunh samajhlo wo iss duniya me ho kar bhi mere liye nahi hain...Mai toh ye bhi nahi jaanti wo ab iss duniya me hai bhi ya nahi...!! Shehri apko ye diary exchange ka idea kahan se aaya? Aap kyun mujhse dosti karna chahte the? Mera matlab apko toh koi bhi dusre mil sakte the na dosti ke liye.

Apki dost
Fiza

Fiza ne jaise hi likhna khatam kiya uss ke mann me phir se kayi saare sawaal aur aankh me aansoo aagaye. Shehri ne iss baar uss zakhm ko kureda tha jo wo barso se bhulane ki koshish me lagi thi. Uska baap hi toh tha jiske chodh jaane ki wajah se wo pal pal marr rahi thi. Agar uska baap aaj uske saath hota toh shayad uski maa kabhi na marti, usse baar baar apne mami ke taane na sunne padte aur na hi wo kisi ke ehsaano pr jee rahi hoti. Wo bhi aaj kisi ache se college me apne kayi doston ke saath padhai kar rahi hoti. Bs 12 baras ki unar me wo ghar ke kaam na seekhti. Wo bhi baaqi ladkiyon ki tarah apne baap se nakhre karti aur wo uske laad uthate... kashh lekin ye sab toh bas ek kash hi tha...ye kabhi Haqeeqat nahi ban sakta tha. Wo jaanti thi uske rehne se sabko takleef hoti thi. Shayad Shehri bhi bahot jald usse dosti tod kar chala jayega usse iss baat pr poora yaqeen tha. Wo jaanti thi iss duniya me koi bhi nahi hai jo bina matlab usse baat tk karna chahta ho.

****************************

Faiza ko aaj hi apni kitaab Shehri se exchange karne jaana tha lekin ab wo kya bahane wahan jaati yahi sochti hui wo apne kamre ke chakkar laga rahi thi ke mami ke awaaz psr daudti hui unke pass pahonch gayi. Faiza apna dupatta sar pr lena bhool gayi thi aur bas gale me daale bhaagti aayi toh dekha mami kisi anjaan mard ke saath baithi hui thi. Unhe dekhte hi Faiza sar pr dupatta leti hui apne chehre ko chupane lagi. Wo aadmi Faiza se kam az kam 10-12 saal bada tha. Uske saath ek aurat baithi hui thi jo bhi ussi aadmi ke aas pass ki umar ki thi. Wo aurat bahot hi khoobsurat thi. Lagta tha jaise nayi naveli dulhan ho. Mami ne Faiza ko awaaz lagayi toh wo apne khayalon se bahar aati hui unn mehmaano ko salaam karne lagi. Faiza ne ab bhi apna chehra uss dupatte se dhank rakha tha. Wo dono pyaar se uski taraf muskura diye aur uske salaam ka jawab dene lage.

Mami uth kar Faiza ko kitchen me le jaati hui bolne lagi, "Shafiq aur tumhare mamu ghar pr nahi hai aur inke khane ke liye kuch nahi hai toh tum inke pass baitho mai bazaar se kuch samaan le aati hu."

"Pr mami mai inhe jaanti nahi, mai kaise..." Faiza kuch kehti usse pehle mami ne tok diya.

"Dekho Faiza abhi mera ehsaano maano ke mai tumhare rishtedaaro ke liye kuch kar rahi hoon! Jaa kar unke saath baitho!" Mami gusse se boli.

Faiza mami ke lafz phir se dimaag me dohrane lagi...mere rishtedaar? Wo nahi jaanti thi mamu mami ke alawa bhi uska koi rishtedaar hai. Usne toh bachpan se kabhi na dekha tha. Faiza khamoshi se apna sar hilate hue unn mehmaano ke pass jaa baithi. Usse inn anjaan logon se kaafi ghabrahat si ho rahi thi lekin wo kya hi kar sakti thi. Wo chup chap unke pass baithi rahi. Uss aurat ne pyaar se usse bulaya apne pass bitha liya aur pyaar se uska sar seh laane lagi tabhi mami kuch der me aane ka keh kar bahar chali gayi. Unn mehmaano ne kayi baar darkhaast ki ke wo koi takleef na kare lekin Faiza ki mami unki baat na maante hue bahar chali gayi. Faiza dil hi dilme dua karti rahi ke mami rukk jaaye lekin mami ke chale jaane pr wo thandi padne lagi.

"Aur batao Faiza beta ab tum kitne saal ki hui ho?" Uss aadmi ne pucha.

"Ma...mai...15 s..saal" Faiza darti hui boli.

"Toh tumhara 10th hogaya?" Iss baar aurat ne sawal kiya. Wo aurat ab bhi Faiza ko apne pass bithaye uska sar sehla rahi thi.

"J..ji!" Faiza ne jawaab diya.

"Phir aage kya padhne ka socha hai? Maths,Arts, Science Ya Commerce?" Uss aurat ne hi dubara sawaal kiya.

"Nahi abhi kuch socha nahi hai." Ye kehte hue... Mai aage padh bhi paungi ya nahi wo bhi nahi jaanti...Faiza mann hi mann sochne lagi.

"Beta jaanti ho tumhari ye bhabhi ya didi jo bhi kaho...ye ek doctor hain!" Uss aadmi ne garv se kaha.

Faiza muskurate hue uss aurat ko dekh rahi thi. Wo ab bhi nahi jaanti thi uska inn dono se kya rishta hai.

"Faiza tum humein nahi jaanti?" Kuch der baad uss aurat ne pucha toh Faiza ne na me sar hila diya. Wo dono uss masoom pr hans pade.

"Main tumhara taya ki beti hoon aur ye mere husband jo tumhara phuppi ke bete hain!" Wo aurat boli.

"Pr papa toh humein chodh kar chale gaye...aur ab wo yahan nahi hai" Faiza apne aansu ko badi mushkil se thaamti hui bolne lagi.

"Haan humein bhi bas ek hafte pehle hi maloon hua hai" Wo aadmi jo uska phuppera bhai lagta tha bade afsoos se keh raha tha.

"Papa yahan nahi hai toh aap log kis se milne aaye ho yahan?" Faiza masoomiyat se puch rahi thi.

"Faizuuu mere bacche hum tumse milne aaye hain" wo aurat usse baazu se gale lagati hui boli.

Faiza ko bahot ajeeb lag raha tha ye sab lekin wo kuch nahi keh rahi thi. Unka achanak yun aana usse samajh nahi aa raha tha. Wo toh apne baap ke alawa har rishte ko bhool gayi thi. Wo nahi jaanti thi uska koi rishtedaar bhi tha. Lekin ab inka pyaar dekh kar pehli baar usse acha lag raha tha.

"Faiza tum yaha khush ho na? Matlab ye log tumhe ache se rakhte hai na?" Wo aurat fikr se puchne lagi kyunki Faiza ke galle lagne pr uske gardan pr kuch gehre zakhm the.

Faiza kuch kehne hi wali thi ke mami wahan aagayi aur Faiza ko kitchen me bula liya. Mami jo samaan laayi thi wo Faiza ke saath plate me sajane lagi aur unhe dene lagi.

"Maafi chahti hoon hum apke muqaable bahot hi chote gharane ke hain isliye mai apke liye kuch khaas nahi le aayi..Wo Faiza ke mamu bhi ghar pr nahi hai na toh mujhe kuch samajh nahi aaraha tha." Mami sharmindagi se keh rahi thi.

"Aray nahi aisi koi baat nahi hai...humein toh bas hamare Faiza ka deedar karna tha. Hum yahan khane ke liye thodi na aaye the ultha humne apko hi itni takleef dedi." Faiza ke Taya ki beti boli.

Faiza bas durr khadi unn sabki baatein sun rahi thi jab uss aadmi ne Faiza ko pass bulaya. Wo thoda hichkichate hue wahan gayi toh unho ne Faiza ko dono ke beech bitha liya aur usse bhi wo khilane lage. Mami ke ghurne pr Faiza ne khane se mana kar diya. Mami ne toh kabhi zindagi me Faiza ko aisi cheezon ko haath lagane nahi diya tha. Wo inn cheezon ka zaiqa bhi nahi jaanti thi. Uske manaa karne pr wo dono chup hogaye.

Kuch hi der me Shafiq aur mamu bhi ghar aa pahonche toh aapas me mil kar unn dono ne mamu mami se guzarish ki ke wo Faiza ko ek din ke liye unke saath bheje. Jis pr mamu thoda jhijhak rahe the phir maan gaye.

Faiza ab apne inn baap ke rishtedaaro ke saath bahar aayi hui thi. Wo nahi jaanti thi ye log kaise hai kya hai lekin mamu ne ijazat di thi toh kuch soch samajh kar hi chodh hoga bas yahi sochti hui wo unke saath aagayi.

************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now