Dreams And Despair

18 1 0
                                    

Aaj wo zarur apni rumaal lene aayega toh mai uska chehra dekh lungi... Faiza mann me sochti hui bus stop ki taraf chali gayi. Aaj phir Faiza ko mami ne sabzi laane ke liye bahar bheja tha aur Faiza uss bus stop pr baithi uss gumnaam shaqs ka intezaar kar rahi thi. Faiza ki 2 buses miss hogayi thi aur wo jaanti thi ghar jaane ke baad mami uska haal behaal kar dengi tabhi koi uske pass aa kar baithte hue ek kitab usse dene laga. Faiza thodi si shock ho kar uski taraf dekhne lagi. Uss shaqs ne black jeans, black boot, brown leather-jacket, black cap aur turtleneck white t-shirt pehne black shades ke saath ek black mask laga rakha tha jis se Faiza ko poori tarah se criminal vibes de raha tha.

"Aap wo rumaal wale hi ho?" Faiza thodi hichkati hui puchne lagi.

Uss shaqs ke haan ke ishaare pr Faiza muskura kar rumaal uske haath me dene lagti hai aur uss kitaab ko dekhti hui puchti hai, "ye kitaab?"

"Wo kal mai ne socha tha apko ek tohfa dedu...toh bas ye ek diary hai jisme aap apne mann ki baatein likh sakti hain...agar apko kal jaisa kuch ho aur kisi se share na kar sako toh!" Wo sukoon se usse bata raha tha.

"Pr mai ye tohfa.." Faiza kuch kehti hui rukk gayi.

"Asal me mai na bahot akela hoon...mere koi dost nahi..mai chahta hoon aap meri dost banjayein!" Wo kehne laga, "agar apko dosti qubool hai toh tohfa le lijiye aur agar nahi toh koi baat nahi!"

Faiza ko uss pr taras aa raha tha. Bechara bilkul meri tarah tanha hai...mai bhi bina doston ke tanha aur wo bhi...sahi hai mujhe aise hi logon se dosti karni chahiye. Wo sochti hui kitaab lene hi lagi thi ki mami ki ek baat uske dil me aagayi, "tum jiski zindagi mein jaati ho uska nuqsaan karke hi aati ho! Naagin ka toh kaam hi hai sabko dasna!"

Bas phir kya wo kitaab wahin chodh kar bus ki taraf jaane lagi toh wo keh utha, "Agar tumhe mai trustable nahi lagta hu toh hum roz mil sakte hain...tum mujhe janne ke baad hi dosti karna mujhse!"

Wo mann hi mann bahot khush hui thi ke pehli baar koi uske liye kuch efforts kar raha tha pr mami ki baatein kahan kabhi usse chain se jeene deti thi. Wo usse ignore karti hui aage badh gayi.

*****************************

Bahot din beet gaye the pr wo anjaan shaqs Faiza ko phir kabhi uss bus stop pr dikhayi nahi diya tha. Wo roz mami ke kisi na kisi kaam se bahar jaati thi toh wahan ka ek chakkar zarur laga leti pr wo gumnaan shaqs usse kabhi na dikhta. Shayad Faiza ki wajah se usne wahan aana band kar diya tha. Bas yahi socho mein gum wo apne ghar wapis aagayi thi.

"Aj kal tumhara dhiyaan kahan hota hai Faiza? Nikammi kahin ki... Mai ne kaha tha dhaniya chahiye aur aur tum pudina le aayi? Jao isse wapis kar ke sahi le kar aana. Zarur bas phirne ke bahane chahiye...ghar baithegi toh mujhse kahan jaan chudha payegi..!" Mami gusse se pukarti hui sofa pr baith gayi.

"Maa ap bhi na...itni choti choti baaton pr kyu naraz hojati ho?" Shafiq andar aata hua bolne laga.

"Aray beta! Sab khairiyat itni jaldi kaise aagaye tum?" Mami Shafiq se uska bag leti hui puchne lagi.

"Haan mumma aap toh jaante ho na...final year hai toh bas bahot projects hai...bas ussi ki taiyyari karni thi toh socha ghar aa kar karlu." Shafiq bezari sa bolta hua apne kamre ki taraf chala gaya.

"Ab yahan mera munh dekhte baithne se acha hai tum jaa kar khana garam kar do aur table pr laga do. Bechara mera Shafiq pata nahi kabse bhooka hoga!" Mami Faiza se bolne lagi.

Faiza sar hila kar kitchen ki taraf chali gayi. Faiza Shafiq ke liye roti bana rahi thi aur tab hi uske mann me aaya ke wo bhi aage padh sakti hai. Agar wo college join kar legi toh mami ko saara din usse dekhna nahi padega aur wo baat baat pr usse gussa nahi karengi. Uska bhi dhiyaan bat jayega aur wo acha padh likh kar apne pairon pr khadi ho sakegi. Bas yahi sab sochti hui wo roti ki taraf dhiyaan dena bhool gayi jo thodi jal chuki thi.

"Hayee hayee phir ek nuqsaan kar diya tune...nikammi kahin ki.." Mami jo kitchen me Faiza ko dekhne aa rahi thi jaldi se roti jalti hui dekh kar pukarne lagi. Faiza jaldi se unki awaaz pr chaunk kar roti nikaalne gayi aur apna haath jala liya. Phir Shafiq ko khana dene ke baad wo apne kamre me baithi sonchne lagi ke college join karlene me uski bahot bhalayi hai.

*****************************

"Mama ji mujhe apse kuch baat karni thi." Faiza thoda dheeme awaaz me mama ke pass baithti hui boli jo TV pr news dekhne me masroof the. Faiza ki baat sunte hi mami jo dining table pr baithi sabzi kaat rahi thi jaldi aa kar sofe pr mamu ke pass baith gayi aur sochne lagi kahi wo rishte wali baat na Faiza unhe batade. Faiza ki baat pr TV band krke mamu ne Faiza ki taraf dekha aur usse bolne ka ishara kiya.

"Wo mera 10th ho chuka hai na toh..." Faiza kuch keh rahi thi ke mami ne usse tok diya aur bolne lagi, "kuch nahi isse kuch nahi kehna wo bs aise hi keh rahi hai...jo bhi mai isse baat kar lungi... Faiza tum jo bhi masla hai mujhse kaho...apne mamu ko kyun tang kar rahi ho." Mami ghabra kar usse chup rehne ke ishare karne lagi.

"nahi isse kehne do yahi...bolo Faiza kya kehna chahti ho?" Mama ne Faiza se pucha.

"Mai aage padhna chahti hoon mamu!" Faiza ne jaldi se keh diya toh mami ne ek sukoon ki saans li.

"Toh kya padh lo beta! Tumhe kis ne roka hai?" Mamu haste hue bole.

"Pr iski padhai ke paise kahan se aayenge? Aap toh jaante hai Shafiq ki fees hi hum kitni mushkilon se de rahe hain aur ghar ka kharch bhi toh badi mushkil se nikal raha hai!" Faiza ki mami ne pareshaani se kaha.

"Haa theek keh rahi ho! Tum kuch din rukk jao Faiza..mai phir sochunga kuch na kuch hojayega intezaam Allah ne chaha toh!" Mamu ne Faiza ko aas dilayi.

Faiza muskura kar apne kamre ki taraf chali gayi. Mami picche se aayi aur Faiza ko zor se thappad maar diya jis pr Faiza bahot zyada ghabra gayi. Gusse se mami laal peeli hoti hui boli, " Ek toh manhus teri paidaish pr tere baap ne teri maa ko hamare sar daal diya...uske kharche uthate uthate thak gaye the hum...aur ab tujhe ye padhai ka naya shauq chadha hai. Meri baat yaad rakhna mere zinda rehte tujhe kabhi fuzool kharchi karne nahi dungi. Agar itna hi padhne ka shauq hai toh jaa kar apne baap ko dhund kr ussi se paise le aana!"

Apne baap ka zikr sunn kar Faiza wahin zameen pr baith gayi. Mami ka maara hua thappad usse utna dukh nahi de raha tha jitni ke unki baatein ussi chub gayi thi. Baap...kitni ajeeb baat hai jis baap pr saari ladkiyaan guroor karti hain, jo sab ladkiyon ka first love aur superman hote hain...wo baap Faiza ke liye toh exist hi nahi karta tha. Wo toh ab apne baap ka chehra bhi bhool chuki thi. Kuch purani tasweerein jo uski maa ne unn sab se chupa kar rakhi thi bas ussi me wo apne baap ko dekh kar unka chehra yaad rakh paati thi.

************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonOn viuen les histories. Descobreix ara