A Hidden Protector

25 1 0
                                    

***If you can't tolerate violence or If it disturbs you in anyway then kindly skip this chapter or directly read the end part***
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

"K...kya matlab?" Faiza bahot zyada hairath se puchne lagi.

"Matlab wahi jo tum samajh rahi ho!" Fardan toh bas Faiza ko aj shock dene ke mood me tha.

"Main hi Shehri hoon! Shehri ya yunh kehlo Shehriyaar... Fardan Shehriyaar!" Fardan ki baat pr Faiza bas usse dekhti reh gayi.

"Toh wo aap hi the jis ne meri madad ki thi...aap mujhe itne saalon se jaante ho?" Faiza ko yaqeen nahi aa raha tha. Shehri aur Fardan ek kaise ho sakte the?

"Nahi mai toh tumhe usse pehle se jaanta hoon!" Fardan kuch soch kar muskurate hue bola.

"Aap na hote toh mai kabhi padhai nahi kar rahi hoti!" Faiza sab yaad karti hui boli.

********************************

*Flashback*

"Mami ji please mujhe ye shaadi nahi karni...aap toh jaanti hai na wo aadmi mujhse 25 saal umr me bada hai...please mami ji please...pl...please.." Faiza theek se saans nahi le pa rahi thi. Wo hichkichate hue bolne lagi. Wo picchle 1 ghante se royi jaa rahi thi kyunki mami ji uske liye ek rishta le kar aayi thi. Wo bas abhi 10th pass karke nikli thi uski umr toh sirf 15 saal thi aur wo aadmi jiska rishta mami laayi thi wo usse 25 saal umr me bada tha. Faiza jaanti thi mama aisa kuch hone na dete pr wo bhi kisi business tour pr gaye hue the aur wo kab aayenge usse kuch pata nahi tha. Aaj Shafiq bhi ghar pr nahi tha aur mami ji yahi mauqa dekh kr uss ladke..oops uss aadmi ke gharwalo ko Faiza ko dekhne ke liye bulaya tha. Faiza roo roo kar minnatein kar rahi thi pr mami bas apni manmani kar rahi thi aur usse zabardasti saja rahi thi.

"Toh ye hai apki Faiza?" Ek buddhi aurat puch rahi thi.

Ek aadmi jo shayad dulha tha, ek buddhi aurat jo uski maa thi aur unke saath ek Faiza se sirf 3 saal choti bacchi thi jo uss aadmi ki pehli biwi ki beti thi. Pehli biwi ke marne pr unn logon ko ek nayi ladki chahiye thi jo umr me kam ho pr wo log ye nahi jaante the ke Faiza itni choti hogi.

"Hayeee hayee tumhe sharam nahi aayi apni hi bacchi ke saath aisa karte hue...besharam aurat!" Wo buddhi aurat chillate hue boli. Faiza jo abhi bhi sisak kar roo rahi thi achanak se buddhi aurat ki taraf dekhne lagi.

"Ye ladki iss bacchi ki maa banegi? Hayee duniya thukegi hum pr...bs 2-4 saal ka farq hoga .. jawan chori hai sun kar humein laga 20-25 saal ki hogi...ye toh abhi bacchi hai...hayeee tum jaiso ko toh allah puchega!" Wo aurat gusse me bakte hue bahar nikalne lagi. Mami ji unhe bahot rokne ki koshish me lagi thi pr wo log ruke hi nahi.

Unke jaate hi mami ji ke sar pr aisa gussa chadha ke bas Faiza samajh gayi thi ab uski khair nahi. Faiza sab samaan utaar kar wahan rakh kar apne kamre ki taraf jaane hi lagi thi ke mami ne usse baalon se kheencha aur kheench kar 3-4 thappad laga diye. Faiza phir rone lagi aur mami usse zor se dhakka de kar phir apni jali kati baatein sunane lagi.

"Allah na kare tujh jaisi aulaad kisi ko mile...paida hote hi baap chodh kar chala gaya... phr kuch saalon me maa bhi marr gayi aur tu hamari jaan pr saanp ban kar lot rahi hai. Bahot thandak padi hogi na tujhe ye rishta tootne pr... beghairat kahin ki...apne maa ke saath hi marr kyu nahi gayi...kisi kaam ki hai nahi aur sapne dekh rahi hai mere Shafiq se shaadi ke....bhale hi teri maa ne koi waada liya ho lekin mai mere bete ki shaadi sirf apni pasand ki jagah karwaungi....na ki tujh jaisi naagin se jo hamesha sab ka nuqsaan karti hai."

Pukarte pukarte achanak se table pr pade biscuit wagera ke plates dekh kar mami ka gussa aur 10 guna badh gaya aur wo wahan rakhe ek bade se chamach ko Faiza ki taraf zor se phek kar maara...wo bahot mushkilo se khudko sambhaal kar deewar se lag kar baithi thi aur chamcha seedhe aa kar uske chehre pr laga jisse poora chehra laal ho kar soojh gaya... Wo aaj bahot gussa thi.... Faiza ko roz unse maar khane ki aadath thi pr aaj jitna usne kabhi zindagi me nahi khaya tha...wo bas apne aansu qaabu me laane ki koshish kar rahi thi...jaise hi Faiza ke rone ki ek bhi awaaz aati...mami ji usse phir kuch sunati ya cheezein uski taraf phek kar maarti... aur jab apna saara gussa nikal gaya toh wo chillane lagi, "Aap koi mahal ki rani nahi hai jo araam farma rahi hain...jaa kar saara kaam karo...sab samet kar bahar se sabzi le aao aur agar 1 rupaya bhi zyada kharch hua na toh dekhna mujhe ache se nikaalna aata hai...nikammi kahin ki...saara din bas khati rehti hai...kaam toh kuch hai nahi...aur ye nakhli aansu alag seekh liye hain ab!!"

Faiza apni jagah se uth kar aansuon ko qaabu me karte hue sab samet kar rakh rahi thi. Sab kuch karne ke baad table pe rakhe paise le kar wo bahar aagayi. Burqe ki wajah se ek bhi zakhm ka nishaan kisi ko dikhayi nahi de raha tha.

**************************

Wo bus stop pr baithi roo rahi thi. Bus aane me 10 minutes baaqi the aur sabzi yahan aas pass milti na thi. Wo bhi sisakti hui roo rahi thi...tabhi koi uske pass baith kar usse rumaal dene laga. Wo apne gham me itna khoyi thi ke usne bina baazu me dekhe bas rumaal leliya aur apne aankhon pr laga kar rone lagi.

"Main apki kuch madad kar sakta hoon?" Koi aadmi ki awaaz thi...pr ye awaaz toh wo nahi pehchanti thi phir ye kaun tha.

"Maaf kijiye mai ne galti se bekhayali me apka rumaal leliya...aap agar roz yahan aate hain toh mai apka rumaal saaf dhul kar kal wapis kar dungi." Ab Faiza ke aansu tham gaye the kyunki uska dhiyaan bhatak chuka tha. Wo ab tk bas rumaal hi dekhe jaa rahi thi...uski himmat hi na hui ke uss shaqs ka chehra dekhti.

"Main toh roz aata hu yahan issi waqt!" Wo bola.

"Theek hai kal mai wapis kar dungi apka rumaal!" Faiza ki bus aane pr wo jaldi se bolti hui bus me chadhne lagi. Usne socha bus me chadh kar uss aadmi ko dekh lungi pr wahan ab koi nahi tha. Wo wahan se iss tarah gayab hua tha jaise wo wahan kabhi tha hi nahi.

*******************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now