conversation

1.9K 165 44
                                    

Drishti is looking for Rakshit everywhere in garden.... She even checks his car as she thought that he might went out . But the car was parked on its place. Then she heard bells ringing from right side of the shergill house...

Drishti (in mind) - yeh to bholenaath ke mandir se ghanti ki aawaaz aa rahi hai.... Aaj unhone hume bohot badi musibat se mukti dilaai hai....mein unhe shukriya bol kar aati hun.

In mandir,
She reaches mandir and sees Rakshit there.... And sees his upset face.

Drishti- Mr shergill... Kya hua aap yaha ...aur aise bina bataye kyun aagaye.

Rakshit doesn't answer.

Drishti- Mr shergill hua kya hai... Boliye na, ab aap mujhe dara rahe hai... Boliye na plz.

Rakshit- tum yaha kya kar rahi ho, ghar jaao... Mein bhi thodi der mein office jaa raha hun.

Drishti- boliye na kya hua hai.

Rakshit stood up and was going..but drishti blocks his way.

Drishti- kahin nahi jaaungi aur aapko bhi nahi jaane dungi jab tak aap bata nahi dete ki kya chippa rahe hai.

Rakshit- tum ek baar mein sunti kyun nahi ho... Bohot ziddi ho tum.

Drishti- aapse kam.

Rakshit- fine... Pucho kya puchna hai.

Drishti- yahi ki aap aise bina bataye kese aaye... Kya ho gaya aap ko achanak.

Rakshit- wo... Wo mai... mai

Drishti helds his hand.

Drishti- yah aap khud bataye yah phir mein aapka maatha chu ke khud pata laga lungi.
Rakshit smiles listening to her condition.

Rakshit- thik hai batata hu. Jab bhi mein upset hota hun mein yaha aata hun.... Aur aaj mein yaha aaya kyunki mujhe pata chal gaya hai ki....ki...mere dad ab is duniya mein nahi hai.
Drishti was going to utter something when he told her to let him speak.

Rakshit- tum mujse puch rhi thi na ki mein tumhare vision ka matlab kese jaanta hu....mujhe chiranjeev uncle ne pehle hi bata diya tha ki uss pisachini ko marne ke liya trishakti ko jagrit karna hoga.... Trishakti matlab meri aur tum dono behno ki shakti.
Subha jab tum divya ko vision ke baare mein batane gai tab meine apni shaktiyon se chiranjeev uncle ke saath baat ki. Aur unhone kaha ki pisachini ki maut ka samay aa chuka hai aur

Drishti- aur gangajal ke baare mein bhi unhone hi aapko bataya.

Rakshit- haa, tab meine unse pucha ki agar hum pishachini ko maar de to mein apne papa ko kese dhundhunga.

Drishti- aapke papa?

Rakshit nodds positively.

Rakshit- mein jab 5 saal ka tha meine uss pisachini ko apne papa ke saath dekha tha.... Phir agle din woh gayab ho gaye.
Mein kitne saalon se unhe dhund raha tha... Phir ek din mujhe chiranjeev uncle mile,unhone kaha ki papa pisachini ke pass hai aur uska saamna karne ke liye mujhe... Mujhe tum dono ka saath chahiye hoga.
Phir mein tum dono ko dhundne mein lag gaya... (In sad voice) aur aaj.... Aaj mujhe pata chala ki

He kneels down there. Drishti supports him and seeing him in such condition she asks him....

Drishti- jaane dijiye phir kabhi baat karenge

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Drishti- jaane dijiye phir kabhi baat karenge. Chaliye ghar chalte hai.

But now it's late... He has to burst out his feelings, so he continues...

Rakshit- aaj mujhe pata chala ki woh toh kabke is duniya se chale gaye hai.... hum sabko chod ke mom, rashi... Sabko chod ke.

Drishti- Mr shergill aap plz shaant ho jaye...aur chaliye yahan se.

Rakshit- aaj jab meine chiranjeev uncle pucha ki mein papa ko kese dundhunga agar pisachini ko maar diya toh... Toh.. Unhone kaha ki woh ussi din jaa chuke the jis din woh ghar se gaye.
Chiranjeev uncle ne mujse nahi kahan kyunki unhe laga ki mein tut jaaunga aur phir tum dono ki raksha nhi kar paunga.
Aaj mom ko khush dekhne ki meri saari umeed tut gai, mein nahi achaa beta hu, nahi acha bhai, nahi acha pati.

Drishti- yeh sach nahi hai Mr shergill.

Rakshit- nahi agar mein acha beta aur acha bhai hota na toh mein papa ko bacha leta... Agar acha pati hota to tum jail mein nahi hoti.

Drishti(angrily)- stop it Mr shergill.... Kya bole ja rhe hai, aap bohot ache bete hai isliye mom saari zimmedaariyan aapko saupti hai, aap ache bhai hai isliye rashi hamesha hasti muskurati hai... Kyunki usse pata hai uske bhai uski har wish puri karenge.... Aap best husband hai...isliye mein itne saalon baad apni chaachi ka saamna kar payi aur aapka haath tham ke meine unse saare rishte tod diye.
Toh kya hua agar papa nhi hai to maa to hai itna bada parivaar hai... Mein hun.

Rakshit(smiles sadly) - kahan se sikh ke aati ho itni filmy baate.

Drishti(cutley)- jahan se aap apne ghatiyawale  jokes ratt ke aate hai na wahin se. Get up know

They hug each other.

Still in same position

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Still in same position... Without breaking hug.

Rakshit- wese ab tum mera maatha chu ke apni jaasusi nahi kar sakti.... Humari shaktiyon ka maksat pura ho gaya... Humare pass ab powers nhi hai.

Drishti- mujhe pata hai... Lekin agar aapko bhi pata tha ki mein jaasusi... I mean pata nhi laga paaungi..... Phir bhi aapne mujhe sab kuch batadiya. kyun?

So guys...guess his reply
I know today's update was
quite emotional... So don't
cry and be brave😜.
Also let me know ur feedback.
Waiting.......
Happy reading 😄.

Drikshit- Open Up [Completed]Where stories live. Discover now