Aapko 1 saal se chahta hai (chapter 4)

684 52 8
                                    

(In between lecture)

Aditi (whispering)-: sara mujhe lagta hai usko shayad bura laga

Sara(whispering)-: kon?

Aditi(whispering)-: Ishaan!, tu na sahi mein pagal hai

Sara(whispering)-: tujhe Aisa kyun lagta hai

Aditi(whispering)-: Ishan  ye lecture  kabhi miss nahi karta lekin aaj woh nahi aaya mujhe lagta hai meri baat sunkar usse bura laga

Sara(whispering)-: baat toh sahi hai lekin Hume aur confirm karna padega nahi toh tum dono ke liye awkward ho jayega

Aditi -: hmm

SARA'S HOUSE

(Keart and Anjali are gossiping)

Shubhman -: Mummy mein na thoda bahar ja Raha hoon mere dost se Milne

Keart-: tumhara dost ? Hum toh kal hi mumbai aaye kon dost ban Gaya tumhara

Anjali-: Haan

Shubhman -: Aunty, Mummy mera social media me ek dost bana hai woh bhi paka wala ussise Milne ja Raha hoon aur woh bhi ussi college mein padhta hai Jahan mene admission liya hai

Keart-: achaa thik hai

Anjali -: Tumhe rasta toh malum hai na

Shubhman-: Aunty Google map kab kaam aayega

Anjali-: ok beta jao

Keart-: jyada late mat hona

Shubhman-: okay byee (he left)

Anjali-: aur phir uske baad kya hua

Keart-: Haan  uske baad.......

(They again started gossiping)

IN CAFE

(In call)

Shubhman -: Ishan Kahan baitha hai

Ishan-: pichee dekh

Shubhman(turning)-: Haan Haan got you

(Call end)

Ishan-: Hii Shubhman
Shubhman-: hii
(They hug)

Ishan-: aur kaisa laga Mumbai

Shubhman -: achee se dekha nahi hoon yaar

Ishan-: koi nahi mein dikha dunga kal ka planning kare

Shubhman -: Nahi yaar Aaj Raat hum ja rahe hain wapas Delhi

Ishan-: kyun? Tu toh mumbai Shift ho Gaya na

Shubhman -: Haan honge, abhi huye nahi bas Ghar dekhne aaye the

Ishan-: wese Kahan hai tera Ghar

Shubhman -: Bandra mein,  tu Sara ko janta hai sara tendulkar Unke Neighbour

Ishan-: ye toh tere liye achaa ho gaya sara se studies me help mil jayega

Shubhman-: mera dimag kharab hai me uss nakchadi ke pass jaun help mangne na baba na

Ishan-: tu Sara ko nakchadi kyun bol raha hai achii toh hai

Shubhman -: tujhe pata hai usne mere sath kya Kiya(explain whole story about sara) abb tu bol

Ishan-: dekh mujhe lagta hai tune hi pehle kuch Kiya hoga nahi toh woh aisi ladki nahi hai

Shubhman -: Tu mera Bestfriend hai ya uski

Ishan-: tu toh bura man gaya achaa chod aur bata toh kab karoge shift

Shubhman -: agle hafte
Ishan-: ohh

Enemies to loversWhere stories live. Discover now