Meri baat alag hai(Chapter 23)

621 68 19
                                    

Sneha's Room
Sneha is with her Mother

Sneha-: Mummy aap saaf saaf kyun baat nahi kar leti keart Aunty se

Sunaina-: Beta, kitni baar toh ki hai  baat aur Keart khud Chahti hai jaldi se jaldi Shubman ka Sara se picha chute

Sneha-: Toh fir Shubman aisa kyun kar raha hai

Sunaina -: Mujhe toh lag raha hai Sara usse bhadka rahi hai, pata nahi kya chal Raha hai uske dimaag main

Sneha-: Sara ka toh pata nahi par Mera jaroor dimaag kharab ho chuka hai Shubman ki baatein sun sun kar

Sunaina-: Tum tension mat lo sab sahi ho jaayega
Ranjit enters

Ranjit-: kyun  na le tension hein kyun na le tension?.... Woh Shubman ke irradein kuch sahi nahi lag raha Aaj kal woh filmon ke hero jaise banne ka koshish karta rehta hai

Sunaina-: Aapki kami thi woh bhi puri ho gayi

Ranjit -: Tum Jo bhi bolo jab Tak Shubman Sara ka Divorce ke paper mere haath main nahi aate tab Tak main aapni bachii ka Shaadi nahi karwaunga
[All knows about that Shubsara marriage]

Anjali and Sachin's Room
Anjali-: Mere mana karne ke baad bhi tum kyun gayi thi Shubman ke saath..she said angrily

Sara-: Mummy.....Mummy...She said scared of her mother

Anjali -: kya Mummy, bolo kyun gayi thi Shubman ke saath

Sara-: Mummy Mai Aditi ke Ghar gayi huyi thi

Anjali -: Kya hai Aditi ke ghar main Jo tum wahan humesha jaati rehti ho
Sachin enters. Sara hug Sachin scared of her mother

Sachin-: Anjali kyu Dara Rahi ho meri bachii ko

Anjali -: Kya? Main Dara Rahi hoon aur yeh Jo humara naak katwane pe Tuli hui hai uska kya. Aapko thodi kuch Sunna padta hai sunna toh humesha mujhe padta hai
Hearing these words from Anjali's mouth sara started crying.

Sara-: Sara..he said softly... Ro mat kuch nahi huya thik hai jao tum abhii
Sara left from her parents Room

In Lakhwinder and Keart's Room
Lakhwinder is sitting on a chair, keart is standing and glaring at Shubman who put his head down.

Lakhwinder-: Keart! Kya hai jaldi bolo aur bhi kaam hote hai mujhe

Keart-: yahan beta filmi hero jaise dialog mar Raha hai aur iske piyo(father) ko kaam karna hai wah! Wah!

Shubman-: lekin maine Kiya kya hai yeh toh bataiyein aap

Keart-: Wahan kya filmi dialog chal rahe the Haan. "Main dekhta hoon kon rokta hai mujhe"

Shubman -: Mummy Sach hi toh baataya maine Abhii bhi main aur Sara husband wife hai legally

Keart-: Haan isiliye toh main bol rahi hoon
Kab de Raha hai tu Sara ko Divorce

Shubman -: Woh jiss tarah se maang rahe hai Maine nahi deni divorce

Keart-: Shubman, Sunaina demand kar Rahi hai jab Tak tu Sara ko Divorce nahi de deta tab Tak sneha aur tumhare Shaadi ki baat aage nahi badhegi

Shubman -: Yeh jo unki demand aayi hai unhe jaake bolde agar nahi karna shaadi toh maat karein aapne Ghar chale jaayein mujhe nahi jeena unke hisaab se.......demand aayi hai ...he said the last part walking out of his parents room

Shubman's Room
Shubman is seeing Sara's photos from her Instagram account.
Shubman(in mind) -: Yeh log kitne bure hain, kyun ye sab Sara ko mere zindagi se door le Jana chahte Hain. Kaise chod sakta hoon main usse Mera Dil kyun nahi Maan Raha hai

Enemies to loversWhere stories live. Discover now