29

404 14 3
                                    

"accha ab mazak bas abbu batayenge yein kya tha?"zehra asks seriously looking at his father and he surrenders.

"Accha accha batata hu Bhai qatal na kar do tum meri mujhe to Shak ho Raha hai tum meri beti ho ya Aslam ki "he says cracking joke

"Acha theeke ghuro mat batata hu Mai apne bachho ko dekhna chahta tha iss liye tum sab ko bulaya"ibraheem says

"Ya Allah abbu , aap hame sidha sidha bhi bula sakte the na hame mini heart attack Dene ki kya zaroorat"zehra says while crying .

"Mat ro meri bacchi kyo ki sidha sidha bula ke thak Gaya tum log kehte ho aaoge aaoge par tum logo ka kaam aa jata hai aur tum nahi aate"ibraheem says

"To Maine apna style aazmaya"ibraheem says

Everyone laughs at ibraheem's antics

"Tum kabhi nahi sudhroge ibraheem pata nahi zeeniya bhabhi kese sehti hai tumhe "Aslam says

"Thike abbu ab apne hame dekh liya hum nikalte hai"zulekha says

"Arey kya tum apne maike do teen din bhi nahi rahogi mujhe apne naatino ki yaad aati hai"ibraheem says

"Dare na sirf hum ja rahe bacche apke saath kuch din rahenge hum sabko Ghar Mai bohot kaam hai abbu agli baar zaroor"zulekha says

"Pehle mujhe tumhara yein kaam nahi samjh aata khair chodo mere naatino ke saath main khush hu"he says huffing

"Accha abbu agli baar zaroor rahenge agar hum yaha reh Gaye to jaffar Junaid Bhai aur jabir Bhai ko bichari raefa akele sambhal nahi payegi upar se unlogo ko hamri bohot aadat lag gayi hai isi liye hamre Ghar me mulazma ke hote hue kaam hum hi karte hai"zulekha says

"Thike jao"

"Baccho tum sab yaha raho aur enjoy karna ise apni small vacation samajhna"she instructs the toli

Wazifa takes Zara near the corner and says

"Dekho yein bilkul sahi vakt hai hasib ko impress karne mai"wazifa says

"Vo kaese?"Zara asks

"Dekho Mai ibraheem uncle ko bohot acche se janti hu vo strict to bilkul nahi hai abbu jaise bachpan se dekha hai Maine unhe tum bas agar unke Dil main apni jagah bana Li toh vo khule aama tumhe kuch bhi Dene ke liye tayaar ho jayenge"wazifa says

"Aur fir?"Zara says

"Aur fir kya bewakoof tumhe abba Jaan ke bare main nahi pata vo apni dost ki koi bhi baat se mukar te nahi isse hamre liye yein cheez bohot aasan ho jayegi aur hum tumhara nikah hasib se karwa denge"wazifa says in her cunning tone

Hamid nodes to it
"Haa Zara bilkul sahi keh Rahi hai tumhari ammi jaise vo bol Rahi hai vaise hi Karo aur khabardar kuch galat karne ki koshish ki"Hamid says strictly and she nods

"To mujhe in shot us buddhe ki khidmat karni hai am i right"she asks and they nod

"Ammi aap serious to ho vo mujhe apni nawasi se bad kar jagah denge it's impossible "Zara says

"Mehak aunki nawasi hai to obviously unke liye uski taraf muhabbat zyada hogi"Zara says

"Uffo tum bewakoof uss pe kyo dhayan de Rahi ho tumhe shayad ek cheez nahi pata mere abbu ne mere bhaiyo se Vada liya hua hai ki Asad aur hafsha ke nikah ke baad vo apni koi bhi aulado ka nikah apas Mai nahi karayenge"she says

"Par fir nanu mere se karwadenge kya"Zara says

"Haa kyoki hum us Ghar ke nahi hai Zara haa hum vaha rehte hai lekin jis vakt ladki ka nikah hota hai usi vakt vo paraiy ho jati hai , isilye abbu ne mujh se vo bada nahi liya aakhir unke bete hi akhri dum Tak ek saath rehne vaale the"wazifa says explaining Zara.

"Khair tum vo sab chodo bas meri baato pe dhyaan do tum he unki ladli nawasi mehak pe nahi unka ladla nawasa hasib pe dhyaan Dena chahiye , tum janti ho tumhe use jeetna hai"wazifa says

Zara nods and smirks thinking the ways she will make hasib hers.

THE NAWAB'S ONE AND ONLY BEGUMWhere stories live. Discover now