2. منتظر

581 45 51
                                    


Haath me pakri tasveer ko usne neechey kiya aur aasmaan ko dekhne laga. Bench pe bethe hue aasmaan ko takta raha. 6 saal guzar chuke the magar har yaad aise dimaag me taazi thi jese 6 din pehle ki baat ho. Peechey se uske sar pe thapki pari to woh apne khayal se nikla aur peechey dekha.

"Oye shayar konsi nakaam muhabbat ka shair bana raha he ab?"

Uske jitne hi kad kaath ka magar usse ziyada saifad rangat ka wardi me malboos larka aa ke betha uske saath.

"Koi shayari nahi kar raha tujhe kya masla hai?"

"Mujhe kya masla hona hai kamre me gaya tu nazar nahi aaya to yahan aa gaya."

Usne koi jawaab nahi diya. Woh badal chuka tha. Kad 6 saal pehle se 4 inch lamba ho chuka tha aur jisamat bhi training ke natije me kafi achi ho chuki thi.

"Pichle 6 saal se dekh rha hoon tujhe Kabir yeh ek tasveer haath me pakre har raat bahir betha rehta hai."

"Har raat to nahi.."

Usne jese apni difaa me kaha jis pe Abbas has para.

"Hafte ki 7 me se 3,4 raaten kaafi hoti hain"

Woh has ke bola to Kabir ne ek nazar use dekha aur sar jhatka.

"Kuch log chahte hue bhi nahi bhoolte."

"Jab itna waqt guzre to bhool bhi jaate hain magar tere case me tu bhoolna hi nahi chahta."

Kabir ne tasveer ko ek aur dafa dekha jazbaat ubhre magar woh jazbaat ko zehen pe foukiyat dena kabhi seekh hi nahi paaya tha.

__________

"Miraal aa bhi jao!"

"Aa rahi hoon ruk jao!"

Woh bolti hui apna bag utha ke bahir bhaagi thi. Darwaze per chachi ko khara dekh ke woh ruki aur muskura ke salaam kiya.

"Assalamu Alaikum chachi"

"Walaikum assalaam beta kahan jaa rahe ho tum dono?"

"Bas movie dekhne jaa rahe hain shayad Shifa ko koi shopping bhi karni thi"

Usne kaha to uski chachi ne sar kham kiya woh aage barne lagi jab unho ne pucha.

"Acha to paise hain na tumhre paas?"

"Chachu aur Arib bhai pehle hi itna khayal karte hain aur aap bhi"

Usne gale lag ke kaha to uski chachi ne uska sar thapka aur kaha.

"Jao Shifa wait kar rahi hai"

Woh khuda hafiz kehti bahir nikal ayi thi. Wahan aye 6 saal beet chuke the aur us ghar ke logon ne use is tarah apna banaya tha jese woh shuru se wahin reh rahi thi. Chachi chachi ne use apni beti banaa liya tha aur Arib uske chachu ka beta jo ke usse 2 saal bara tha use apni choti behen ki tarah pyar karta tha. Woh job ke silsale me pichle ek saal se Manchester shift ho chuka tha uske bawajood woh Miraal ko har mah kuch pese bhijwata rehta aur jab woh mana karti to use yeh keh ke chup karwa deta ke bare bhaiyon ko naa nahi karte. Ya phir yeh kehta ke jab woh parhai mukammal kar le tab use ek bari si treat de de. Miraal chahte hue bhi use kuch na keh paati. Woh use pyaar se kehta to woh uske bhaiyon jese pyaar ko kese thukrati.

Woh to humesha se rishton ko tarsi hui thi use sab rishte wahan mil gaye the. Jo thori bohat talkhiyan thi uski zindagi me shazia mami ki soorat me woh bhi wahan aane ke baad khatam ho chuki thi magar phir bhi ek khalish si thi. Dil ab bhi jese kisi ka muntazir tha...

"Interview ki call ayi tumhe?"

Shifa ne ice cream khaate hue usse pucha to woh apni coffee ka ghoont bharti boli.

PaasbaanWhere stories live. Discover now