6. اظہار

413 35 60
                                    


"Assalamu alaikum sir!"

"Walaikum assalaam"

"Haan to kesi rahi aap ki chuttiyan captain Kabir"

Woh wardi me apne senior ke samne seedha khara raha.

"Alhumdurillah achi rahi sir"

"Good ab wapis aa gaye hain to umeed hai dimaag pehle ki tarah hi kaam me lage ga"

"Jee sir"

Commander Naseer Ahmed uske mentor ki tarah the jinho ne uski training ke dino se uske andar ka jazba salahiyat aur mushkilaat dekhi thi. Aaj unhe uske chehre pe kuch ajeeb ai leher si guzarti mehsoos hui thi.

Kuch kaam ki baato ke baad Kabir bahir aaya to samne Abbas nazar aaya.

"Oye majnu sir ne aisa kya keh diya hai jo 12 baj gaye mu pe"

Woh uske saath chalne laga.

"Unho ne mujhe kya kehna hai"

Woh chalta gaya aur betassur chehre ke saath bola.

"Khair yeh to main nahi maanta magar sahi hai chai peeye ga?"

"Khali chai peeyun ga is liye kisi bhi chugli pasand anuty ki tarah kisi masale daar baat ki umeed na rakhna"

Abbas zehre lab muskuraya.

"Woh nikalwana mera kaam hai"

Na chahte hue bhi Kabir muskura para.

__________

Uske kadam ahista ahista us darakht ke kareeb bar rahe the najane kyun use ek baar phir use woh din yaad aaya tha jab woh wahan se gayi thi. Aisa nahi tha ke uski nayi zindagi wahan se jaane ke baad buti thi ya unse koi buri yaad juri thi magar jis tarah usne is ghar se us nayi zindagi ka safar teh kiya tha woh shayad bohat si ranjishon se bhara tha. Is liye shayad use bhoolta bhi nahi tha.

Us darakht pe haath rakhe usne ankho ko band kiya. Dil ko ajeeb sakoon sa mehsoos hua.

Use gaye aaj ek hafta ho gaya tha aur Miraal ki apni flight thi ek din baad. Yeh 6 saal baad ki mulakaat kuch sahi na kar payi thi balke shayad ab jab izhaar labon pr aa gaya tha abki judaai pehle se bohat ziyada lambi aur mushkil hone wali thi. Magar ab to use aadat ho gayi thi apno ko khone ki unse judaa hone ki. Is baar woh khud ko mazeed takleef se bachane ke liye kar rahi thi to phir kyun itne was wase the? Kyun lag raha tha ke woh mazeed takleef se khud bacha nahi rahi thi daal rahi thi takleef me?

"Miraal..Miraal!"

Peechey se use pukaarta hua Saif bhaagta aaya to woh muri.

"Kya hua he Saif?"

Uske chehre ki pareshani dekh ke woh khud ghabra gayi.

"Woh..woh Kabir..."

Miraal ke dil o dimaag me jese khatre ki ghanti baji. Woh aage hui.

"Kya Kabir? Kya hua he use?"

Zubaan larkharayi thi. Jisam kaampne laga tha.

"Operation ke doraan situation kuch kharab ho gayi Kabir akhir tak lara aur uska operation kamiyaab to ho gaya magar uska jahaaz...mil nahi paa raha..keh rahe hain ke shayad kahin.."

Woh ankhe phaare use dekhti rahi phir bamushkil saans leti hui boli.

"K..kuch nahi hua use...kuch nahi hua ho ga use..pata hai mujhe.."

Sar jhatakti kadam peechey karti bolti rahi. Jese woh naa hi kuch sunna chahti thi naa hi maanna.

"Miraal.."

PaasbaanWhere stories live. Discover now