8. نیا آغاز- Last

531 36 34
                                    


Paani ki boondo ko dekhte hue woh khamoshi se khirki ke paas khari thi. Dimaag me hazaaro baate chal rahi thi aur dil humesha se bhi ziyada taizi se dharak raha tha.

"Mujhse shadi ke baad"

Uske woh chaar ilfaaz jese dimaag me atak se gaye the.

"Miraal?"

Miraal ne mur ke apni chachi ko darwaze pe khara dekha.

"Jee chachi?"

Woh andar chalti aayin aur uske saath hi khirki ke saath khari ho gayi.

"Do din se tum khamosh ho"

"Samjh hi nahi aa raha kya kahun"

Usne sar jhuka liya.

"Jis ghar ko jin logon ko bachpan se apna samjha tha wahan pe yeh sunne ko mile ga ke woh mera tha hi nahi...kabhi nahi socha tha"

Woh sach bhi bol rahi thi aur jhoot bhi shayad. Itne saalo pehle jab us shaam ko Shazia ne use jaane ka kaha tha tabhi woh ghar uska nahi raha tha magar use apne mamu ki zubaan se yeh sun ke jese ek akhri keel bhi uske dil pe thoka jaa chuka tha. 

"Jaanti hoon tumhe dukh hua he magar beta kabhi kabhi baro ki ankho pe bhi patti par jaati hai. Unki baato ko itna seriously mat lo. Tumhare paas main hoon chachu hain aur bhai bhi aur wahan bhi Asiya hai Saif hai aur sab se bar ke woh ek shaks hai jiski ankho me bepannaah pyaar hai tumhare liye.."

Apni chachi ki baat pe usne nazre chura lin. Phir use laga shayad yehi waqt tha unhe batane ka.

"Chachi maine aap ko kuch batana tha...woh Kabir ne.."

Woh bolti hui ruk si gayi to uski chachi ne muskura ke sar hilaya.

"Jaanti hoon main"

Miraal kuch heran hui.

"Asiya ka phone aaya tha. Kuch der me woh aa rahe hain"

Miraal ki herani aur bari aur muskurahat chehre pe ubhar aayi.

"Sach me?

Unho ne sar ko kham kiya aur use jaldi se taiyar hone ka keh ke woh bahir chali gayin.

Miraal apni jagah pe khari rahi phir bhaag kar apne phone tak gayi aur utha ke sab se upar nazar aane wale number ko milaya.

Do bell gayin aur call utha li gayi.

"Uf kya ho gaya he larki"

Saif ki awaaz aayi

"Tumne call kyun uthayi he?"

"Bohat hi batameez ho waise banda koi salaam dua kar lega hai"

"Chup karo aur kinza ko do!"

"Kyun?"

"Saif"

Usne jese use dhamkane wale andaaz me kaha.

"Taiyar ho rahi hai meri biwi tang karna hai to apne hone wale shohar ko karo call kar ke"

Usne phone rakh diya to Miraal use jhaarti jhaarti reh gayi. Aur bas dimaag me jese socha ke agli dafa mil ke use kitne thappar maarne the.

Phone ki screen dekh ke woh sochne lagi. Kya use call karni chahiye thi use? Ya shayad nahi.

Call pe yak dam uska naam chamka to woh ek second ko screen dekhti rahi ek second koi 15 second me badla aur phone baj baj ke band ho gaya. Use khud samjh nahi aayi usne call kyun nahi uthayi magar phone phir baja usne dekha to is dafa text message tha.

Kabir: call kyun nahi utha rahi?
Miraal: pata nahi?
Kabir: Miraal?
Miraal: hmm?
Kabir: ab mat bhaagna agar koi masla hai to baat karo. Solve karen ge baat kar ke. We are not kids anymore.
Miraal: bhaag nahi rahi bas dar lag raha hai..

PaasbaanWhere stories live. Discover now