3. محبت

459 42 54
                                    


"Miraal bachey idhar aao"

Mehendi ka function shaam ko tha aur us waqt sab ghar me idhar udhar kaamo me masroof the jab Asiya ne Miraal ko apne paas bulaya.

"Jee khala?"

"Beta ek baat batao mujhe"

"Jee khala poochen"

Miraal ko tajjub hua.

"Tumhare aur Kabir ke beech koi jhagra chal raha hai?"

Ehtiyaat se unho ne pucha. Miraal ne bamushkil thook nigla.

"N..nahi khala..humare beech kyun jhagra ho ga.."

"Tum dono ka rawaiyya ajeeb laga mujhe...pehle yaad he kis tarah tum dono ek saath rehte the aur har baat mazaaq larayi sab karte the. Aur ab...bilkul khamoshi si hai.."

Woh bolin to Miraal ko samjh na aayi kya kahe.

"Waqt guzar gaya he khala bare ho gaye hain hum pehle jesa nahi raha kuch"

Usne dheemi muskurahat ke saath kaha to Asiya ne uske chehre ke neeche haath rakh ke uske chehre ko uthaya.

"Tumhe jhoot bolna bhi nahi aa ta."

Unki baat pe woh ankhe jhuka chuki thi.

"6 saal pehle tumhare yahan jaane ke peechey bhi koi wajah thi main jaanti hoon. Pehle tum sab ke samne naa kar chuki thi uske baad aisa kya hua tha ke tumne haan kar di aur chali gayi main nahi jaanti..magar kuch to tha Miraal."

Asiya bolti gayi aur Miraal khamosh bethi rahi.

"Aisa kuch nahi hua tha khala. Bas parhai aur creer ka soch ke..."

"Bas Miraal rehne do."

woh dono to nahi jaante the shayad magar lounge bahir kone me ruka hua woh sab sun raha tha. aur yeh sochne pe majboor ho chuka tha ke usne naa ki thi pehle to aisa kya tha jisne uski naa ko haan me yun badal diya. Woh jaanta tha ke agar uski air force join karne ki zid me usne yeh faisla kiya hota to woh pehle hi yeh teh kar leti magar yun baad e apna faisla badalna uski samjh me nah aaya tha. Kya use usse khud puchna chahiye tha?

Abhi waqt nahi tha shayad.


__________


"Mamu gaari hai ghar pe?"

Miraal ne apne bag samaan pakre hue Safeer se pucha tha.

"Beta meri gari to Saif le kar gaya hai aur Saif ki gaari subha hi kharab ho gayi thi to workshop per hai."

"Oh.. mujhe salon jaana tha.."

"oh ho"

Safeer sochne hi laga tha jab darwaze se Hamza dakhil hua.

"Assalamu alaikum uncle!"

woh andar aaya to Miraal ko dekh ke muskuraya aur salaam kiya jiska usne bhi jawaab narmi se diya.

"Walaikum assalaam beta kaise ho khairiyat to thi na?"

"Jee uncle bas yeh Kinza ka samaan dene aaya tha"

"acha acha bohat acha kiya!"

"aap kahin jaa rahi thi?"

Hamza ne Miraal ko dekh ke pucha.

"Jee bas salon jaana tha"

"Main drop kar dun? agar aap ko munasib lage to"

usne kaha to Miraal kuch taz bazad hui magar apne mamu ke kehne per woh maan gayi aur uske saath bahir aa gayi.

"Waise aap khamosh hain kaafi aaj"

usne kaha to Miraal ne use dekha aur muskurayi.

"Acha? abhi waqt hi kitna hua he hume jo aap yeh andaze laga rahe hain?"

PaasbaanKde žijí příběhy. Začni objevovat