4. قربت

449 37 60
                                    


Woh kamre me chalti hui aayi aur aas paas chehra ghumaa ke dekhne lagi jese kuch dhoondne me masroof ho. Jab uska chehra na dikha to woh sakonn ka saans le kar andar dakhil hone hi wali thi jab peechey se aati awaaz ne uski saans rouk li.

"Kise dhoond rahi ho?"

"Ah..Allah!"

Woh cheekh ke muri to samne khare Saif ko dekhte hi usne uske kandhe pe zor se do thappar ek saath de maare.

"Meri jaan nikaal di manhoos aadmi!"

"Had ho gayi he bhayi yeh mashkook harkate tumhari hain aur baate mujhe suna rahi ho shabash ha beta"

Woh bola to Miraal ne ankhe ghuma ke use ghoora.

"maine konsi mashkook harkat kar di?"

Woh anjaan bani thi.

"Ab yeh bhi main bbataun? Kise dhoond rahi thi yeh andar?"

Usne kaha to MIraal ne usse nazre churayi aur sar ko nafi me hilaya.

"Kisi ko nahi"

"mujhe dhoond rahi ho gi"

Peechey se aane wali awaaz pe un dono ne mur ke dekha. Kabir black shirt aur grey trauser me uljhe hue balo ke saath unki taraf chalta hua aaya tha.

"Main itni farigh nahi hun"

Woh jawaban boli.

"Acha mujhe laga waise bhi main tumhe aaj kal zeher lagta hoon to mujhse hi bhaag rahi ho gi"

"Zeher to lagte ho magar mujhe tumse bhaagne ki koi zaroorat nahi"

"Waise to bhaagna bohat pasand hai tumhe mujhe isi liye laga"

Miraal ne use ghoora aur bolne hi lagi thi jab beech me Saif aaya.

"Hello?! Guys main yahin hun! Aur aaj meri shadi hai?"

Woh bola to dono ki ek dusre pe garrti nazre us per gayi.

"Haan pata hai ab kya elaan karwa den masjid me?"

Kabir bola to Saif ne use ghoora.

"Tum dono ek kaam karo mujhe choro yahan betho aur laro meri khair he"

Woh haath uthaata wahan se chala gaya aur uske peechey Miraal bhi. WOh raat ke waqiye ke baare me usse us waqt baat nahi karna chahti thi woh uske samne is tarah pighal gayi thi ke ab use dekhna bhi Miraal ko mushkil lag raha tha magar ab jab usne Kabir ko apne samne pehle ki tarah hi pesh aate dekha to jese dil ko sakoon mil gaya tha ke woh use kal raat us tarah dekhne ke baad yak dam nahi badla tha.

Ya shayad woh Miraal Hussain ko jaanta tha. Bohat achey se.

Raat ko paani peene ke bahane jab woh utha aur kitchen me jaane ke liye kamre se bahir nikla to use apne saath wale Miraal ke kamre se one ki awaazen aur darne ki awaazen aayi jis pe usne usne darwaza khatka ke darwaza kholne ki bohat koshish ki thi magar na amiyab hone pe darwaza khola to woh khula tha aur woh andar use dekhne chala aaya. Raat ki Miraal ki haalat ne use ek baat ka yaqeen dilwa diya tha ke uske andaze sab galat the aur Miraal Hussain ko ab bhi Kabir Khan ki utni parwa thi jitni 6 saal pehle. Woh usse nahi bhooli thi. Use farak parta tha.

_________

"Miraal aaj maid nahi aayi tum jaa ke dupeher ka khana bana do"

Kaamo me masroof mami ne use kaha to woh kkuch na keh paayi aur bas sar ko kham kiya aur uthne lagi jab dubara woh boli.

"Khaana banan aata bhi hai ya nahi?"

"Thora bohat aata hai mami"

Shazia ne use ghoora aur use dekh ke sar jhatka.

PaasbaanWhere stories live. Discover now