mojzaa (part 1)

69 10 18
                                    

Assalamualaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Dosto ye meri dosri novel hai mojzaa , meri pahli novel jin ka pyar ap logo ne bahot support kiye hai i hope k ye novel bhi apko pasand ayegi.
Mostly mojzaa ka matlab toh sabko pata hai, or kabhi na kabhi sabki zindagi me koi na koi mojzaa hota hai ya hoa hi hoga warna hum kisi mojze ka intezar kar rahe honge. Toh ye kahani bhi mojzaa naam ki ladki ki hai k uske sath kya hota hai agar apke sath kabhi koi mojza hoa hai toh usse share zarur kare comment kar ke.

Ye kahani hai ek ladki ki jiska naam mojzaa hai uski ane ki wajah uski family me Or uski khud ki zindagi me bahot mojzee hoye kis tarah Or kaise ye dekhte hai.

Ek middle class family hai ,usme ek admi uski biwi maa or baap hai admi ka naam shahir shah, unki biwi ka naam saima shah, saas suleha shah or sasur shamsher shah. Ye log middle class log the lekin kisi wajah se shahir sahab ko job se nikal diya gaya wo apni family me ek lote kamane wale the, kaam na hone ki wajah se unko or unki family ko bahot musibaton ka samna karna padh raha tha, wo roz job ki talash me jate magar mayus wapas ate, shahir saahab or saima ji ki shadi ko 10 saal ho gaye the par unki koi aulaad nahi thi, wo bahut dua kar mannate ki dargahon par gaye dawa li par koi cheez kaam na ayi wo ab bhi beaulad the bache k na hone ki wajah se saima begam ko apni saas se bahot batein sunni padhti thi, wo toh apne bete ko dusri shadi karne k liye bhi kehti the par shahir sahab kabhi bhi is baat par razi nahi hoye wo ane biwi se bahot pyar karte the. Unka kehna tha baccha ho na ho mai apne biwi k sath apni pori zindagi rahonga.
Bahot din kaam ki talash kar ne baad ab shahir sahab ha maan chuke the unhone ne socha k ab unhe khud ka hi koi karobar karna chahiye. Ek roz pata chala k saima begam pregnant hai sab bahot khush hoye, shahir sahab me apne kaam k bare me apni family ko bataya, sab ne kaha jaisa sahi lage wo kare saima begam or suleha begam se apne jewar bech kar paise shahir sahab ko business karne k liye diye unhone ne un paiso se apna khud ki kapdo ki dukan khuli, dukan khol kar utne hi paise ate k guzara ho jata wo sochne lage k kahi maine galti toh nahi kardi apni sari jama pojji laga kar agar mai is kaam me safal na hoa toh kya hoga.
Issi tarah chalta raha or saima begam ne ek beti ko janam diya , unke pass hospital k paise baharne ko bhi pise nahi the shahir sahab ne kisi se udar le kar hospital ki fees bhari pahli baar jab shahir sahab ne apni beti ko gud me liye unki ankhein ansu se bhar ayi, meri beti meri jaan, or usse seene se laga lete hai tabhi unhe ek call ati hai. Call par ek bahot badi company ki taraf se hoti hai company unhe kapde k order deti hai or unhe milne k liye bola ti hai.

Dusre din shahir sahab company me manager se milne jate hai unhe bahot bada order milta hai or advance bhi kafi jayada milta hai saima begam bhi ghar a chuki hoti hai. Sab bahot khush hote hai.
Shahir sahab apni beti ko le kar baithe hote hai sab sath hi hote hai meri beti meri zindagi me mojzee ki tarah ayi hai iske ane se meri zindagi me khushi or asaniya a gayi hai isliye mai iska naam mojzaa rakhonga.
Shahir sahab bahot mahnat karte hai unhe or bhi bahot se order milne lagte hai wo kuch hi mahino me ek successful insan ban jate hai wo naya ghar car yani har cheez kharid lete hai jo wo chahte hai unhe kisi cheez ki kami nahi hoti apni maa or biwi k liye bahot sara zewar bhi lete hai ab unki family bahot khush hoti hai aj mojzaa ko paida hoye ek saal hoga hai shahir sahab ne ek dawat ka intezam kiya hai jis me unhone apne rhishtedar or dosto ko bulaya hai.
Sab dawat me ate hai bahot sari gift ati hai, shahir sahab ne apni beti mojzaa k liye ek zameen kharidi hoti hai jo ussi k naam par kar chuke hote hai .

Shahir sahab,
Aj bahot khush ho Maine socha nahi tha k meri beti meri liye itni ba barkat hai pata hai mai kya chahta ho jo din humne dekhe hai wo meri beti ko kabhi na dekhne pade mai usse duniya ki sari khushi donga ek shahzadi ki tarah rakhonga. (Unki ankh me ansu hote hai) 3 saal baad shahir sahab k waha 2 do jodwa bache hote hai.
Ek ladka Or ek ladki wo bhi bahot khubsurat hote hai, unka naam dadi saltanat Or sultan rakhti hai.
Dekhte hi dekhte aj mojza 18 saal ki ho gayi hai or hamesha ki tarah aj bhi shahir sahab ne ek bahot badi party rakhi hai bahot se logo ko dawat di hai, mojza abhi college me hai wo first year iT me hai. Uski sari dost bhi party me aye hoye hai Sare log mojza k ane ka intezar kar rahe hote hai wo apne kamre me ready ho rahi hoti hai usne white colour ka gaon pahna hota hai, uspar khubsurat sa light pink make our mojza ki khubsurati ko char chand laga raha tha. Tabhi saltanat uske kamre me ati hai, di chale ab sab apka wait kar rahe hai abba kabse apko bula rahe hai mahmano se milane k liye.
Mojza,
Ho gaya bas ayi meri jaan.
Chalo.

mojzaaWhere stories live. Discover now