MOJZAA (PART 14)

6 3 3
                                    

Assalamuaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Abaan bahot khush hota hai or college se chala jata hai.
Abeer,
Kon aya tha yaar aj college me jo sari ladkiya pagal ho rahi hai.

Sahil,
(abeer ka dost)
Pata nahi but kisi company ka CEO aya tha job de raha hai student ko isliye itna khush ho rahe hai.

Abeer,
Toh ye girls q khush ho rahi hai.

Sahil, 
Q k wo CEO bahot smart n young tha isliye sab ko pasand aya hai.

Abeer,
Ohh acha mojzaa ka kya scene hai.usse toh wo lakda acha nahi lag gaya na.

Sahil,
Humse q pouch raha hai hum thodi na us mojzaa k PA hai. Or kya tu har time uski baat karta rahta hai pagal ho gaya hai kya uske pechee.

Abeer,
Kya bakwas kar raha hai , mai toh bas aise hi poch raha hu.

Sahil,
Pata hai tera hum sab ko jis k peeche pad jata hai uska jeena haram kar deta hai but yaha aisa koi scene nahi hai samjha wo bhi bahot ghamandi ladki hai teri tarah.

Abeer,
(Abeer gusse se uth kar sahil ko dhakka deta hai)
Aukat me rah apni warna

Abeer k baki teeno dost abeer Or sahil ko pakad lete hai.

Sahil,
Warna kya kar lega aukat k alawa hai hi kya tere pass bas ussi ka gamand hai na tujhe.

Abeer,
Dekh mujhe nahi pata k mai ab tak q ruka hua ho ab tak toh mujhe tera muh tod dena chahiye tha but Tu bach gaya hai toh chala ja yaha se yahi tere liye acha hoga.

Abiz,
Sahil Tu chal yaha se.
(Abiz sahil ko le kar chala jata hai or dono college k compound me a jate hai)

Sahil,
Iska bahot hogaya ab toh dekh mai isko kaise iski aukat dekha ta ho.

Abiz,
Kya baat kar raha hai tu pagal ho gaya hai kya jane de ho jata hai dosto k bech me aisa don't take it Sirius.

Sahil,
Nahi iska ghamand hamesha se bahot jayada hai apne aage kisi ko kuch nahi samjhta hai ye or ye baat tu bhi janta hai.

Abiz,
Rahne de yaar.

Sahil,
Toh bas dekh mauka milte hi mai kya karta ho bas ek mauka milne de mujhe dekh tu abeer ko is bare me kuch nahi bataye ga samjha tu.

Abiz,
Ha thik hai.

Sahil,
Matlab tu mere sath hai.

Abiz,
Ha.

Yaha canteen me abeer apne baki do dosto k sath hota hai.

Abeer,
Kya ho gaya hai is sahil ko mai apni dosti ka lihaz rakh raha hu warna jaisi usne baat ki hai aj pet jata wo.

mojzaaWhere stories live. Discover now