MOJZAA (PART 3)

15 5 3
                                    

Assalamualaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Abaan ki ammi abaan se pochti hai k wo itna khush q hai tabhi Abaan hadbada jata hai or smile band kar k kehta hai, wo actually meeting bahot achi gayi isliye khush ho. Abba ne bataya nahi kya.

Ammi,
Bataya hai par tum aj se pahle kisi deal ko le kar khush nahi hoye toh aj kaise ho gaye.

Abaan,
Ha nahi hoa but ye wali meeting bahot important thi apko toh pata hai ammi.

Ammi,
Acha chalo fresh ho kar a jao khana khate hai sath me.

Abaan,
Ji bas thodi der me aya.

Mojzaa k ghar par Mojzaa Or uski ammi living room me sath baithe coffee pi rahe hote hai

Mojzaa ki ammi,
Acha ladka hai.

Mojzaa,
Kis ki baat kar rahi hai ap ammi.

Ammi,
Abaan Mujhe toh yaad bhi nahi tha k mai usse mile ho wo khud samne se meri help karne aya aj kal kaha aise ladke hote hai jo kisi ki madad kare dekh kar bhi chale jate hai log but help nahi karte.

Mojzaa,
Right, but uske liye humne isse thanks bol diya hai.

Ammi,
Ha janti ho mai bas aise hi keh rahi thi chalo khana khate hai jao abba ko bula kar lao.

Mojzaa,
Ok.

Sab log mil kar khana khate hai dinning table par ammi phir Abaan ki baat ched deti hai shahir sahab ko batane k liye k unke dost k bete ne aj help ki.

Shahir sahab,
Acha Abaan waise wo bahot acha ladka hai apne walid ka saya bane hoye rahta hai business ki knowledge bhi kafi achi hai usse.

Ammi,
Ha sahi kaha apne.

Mojzaa,
Bas bhi kare ammi jab se mili hai ap us Abaan se ussi ki baat kiye ja rahi hai.

Shahir,
(Mojzaa ko pyar se dekhte hai)
Ha bhai humari beti se toh maine ab tak baat hi nahi ki.
Toh kaisa raha college ka aj ka din.
(Tabhi mojzaa ki choti bahen bhi kehti hai ha batao na didi kaisa raha aj ka din.)

Mojzaa,
Bahut acha sab kuch bilkul sapne ki tarah lagta hai sab kuch kitna perfect hai.

Shahir sahab,
Tumhari zindagi me sab kuch perfect hi hoga dekhna tumhare abba kabhi kuch galat hone hi nahi denge.

Mojzaa,
Janti ho mai acha ap bataye apka din kaisa guzra?

Shahir sahab,
Are jab din ki shuruaat apne pyare se baccho ko dekh kar karta ho tab mera din acha hi jata hai.

Mojzaa ki dadi,
Acha mera ho gaya mai aram karne ja rahi ho.

Shahir sahab,
Q ammi tabiyat thik hai na apki.

mojzaaजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें