MOjZAA (PART 7)

15 6 14
                                    

Assalamuaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Abaan khushi khushi ghar jata hai khana wagara kha kar aram kar ne lagta hai abaan ko mojzaa k upar bahot jayada gussa a raha hota hai wo gusse me gym kar raha hota hai.

Yaha mojzaa apne bed par leti hoti hai amna apne ghar ja chuki hoti hai, mojzaa abaan k bare me soch rahi hoti hai.
Kitna badtameez ladka hai uski himmat kaise hoyi mujhe hath lagane ki haad se ahe badh raha tha acha kiya maine usse uski haad yaad dila di ab kabhi mere raste me nahi ayega.

Mojzaa,
Kafi raat ho gai hai so jati ho kal college bhi jana hai.
Mojzaa so jati hai subha uski ankhen kafi der se kholti hai.

Are yaar kitni der ho gai kisi ne mujhe jagaya bhi nahi jaldi se ready ho jati ho.mojzaa ready ho kar neeche ati hai sab nashta kar rahe hote hai.

Shahir sahab,
Mojzaa beta tum ab tak college nahi gayi.

Mojzaa,
Late ho gaya aj abba bas nikal hi rahi ho.

Shahir sahab,
Pahle kuch kha lo warna ye juice hi pi lo.

Mojzaa,
Ji abba.
Mojzaa chali jati hai,
Pagal hai bilkul ye ladki or tum dono ko school nahi jana.

Sultanat,
Abba hume 12baje jana hai abhi bahot time hai.

Shahir sahab,
Acha kaisi chal rahi hai tum dono ki study's.

Sultan,
Bahot achi abba mere toh kai dost bhi ban gaye hai. Ap dekhna is baar top karonga mai.

Shahir sahab,
Inshallah acha abba chale mai nikal ta ho office k liye ap bhi chalenge.

Abba,
Tum jao beta mai baad me ek chakkar laga longa.

Shahir sahab,
Thik hai assalamuaikum.
Shahir sahab chale jate hai mojzaa college pohanchti hai uski class pori khali hoti hai koi bhi class me nahi hota hai amna bhi call nahi receive kar rahi hoti hai .

Mojzaa,
Kya hai ab ye phone q nahj utha rahi hai.
(Tabhi class ka darwaza band ho jata hai mojzaa bhag kar darwaze ki taraf jati hai or zor zor se darwaza pitne lagti hai magar koi darwaza nahi kholta or na hi mojzaa ko kisi ki awaz ati hai.)

Koi hai bahar pls open the door Mai mai yaha ander hi rah gayi ho.
Dekho ye ghatya mazak band karo or darwaza kholo mujhe pata hai ye sab tum kar rahe ho abeer.

(Tabhi darwaza kholta hai or abeer ander ata hai mojzaa bahar jane ki koshish karti hai magar abeer darwaza band kar deta hai.)

Abeer,
Wow yaar kam se kam madam mujhe itna toh jan gayi hai. Hmm toh ab bataye madam kya problem hai apko mujhse jo kal thappad ki laga diya wo bhi sab ke samne.

Mojzaa,
Yehi yehi tumhaari harkate nahi pasand hai mujhe jo ye tum college me cool dude bante firte ho kise k bhi sath jo maan ho wo karte ho or sochte ho k sab tumhe acha samjhe, toh suno mai tumhe jan gayi ho or tumhari is harkat k baad toh or bhi ache se jaan gayi ho ek no k awara or badtameez insaan ho tum.

mojzaaWhere stories live. Discover now