MOJZAA (PART 6)

21 6 5
                                    

Assalamuaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Mojzaa or amna dono college nahi jati or mall me ghoomne jati hai, wo dono kafi ghoomti hai or shopping karti hai.
Yaha college me abeer mojzaa ka wait kar raha hota hai kafi der intezar karne ka baad jab mojzaa nahi ati toh wo gusse se apne dost se kehta hai.


Abeer,
Ye college q Nahi ayi mojzaa.

Ammar(abeer ka dost)
Hume kya pata bhai hum se q poch raha hai or Tu react toh aise kar raha hai jaise kitna pyar karta hai toh usse , time pass hi hai tera wo toh thoda calm ho ja.

Abeer,
Mai calm hi ho toh amna ko call kar or poch k wo dono kaha hai or college q nahi aye.

Ammar,
Ok karta ho but wo kuch batane wali nahi hai.

Ammar amna ko call karta hai ammar amna ko pahle se janta hai issi liye abeer usse call karne k liye kehta hai.

Amna,
Hello, ha bolo q call ki tumne.

Ammar,
Are yaar wo tum college nahi ayi is liye q nahi ayi tum college.

Amna,
Wo aj mood nahi tha mera isliye nhi aye hum log college waise tumhe kya zarurat ho gayi jo tum poch rahi ho.

Ammar,
Bas aise hi khair toh mojzaa tum dono sath me ho.

Amna,
Ha or kuch.

Ammar,
Nahi kaha ho wo bhi bata deti toh acha hota.

Amna,
Acha (amna call cut kar deti hai)

Ammar,
Nahi bataya k kaha hai wo dono bas ye kaha k mood nahi yha is liye nahi aye college.
Abaan apni meeting k liye mall me aya hoa hota hai. Tabhi uski nazar restaurant k bahar mojzaa padh padti hai.

Abaan,
Ye yaha.
So i hope ap sab ko meri presentation achi lagi ho waise toh mai janta ho ki apki ha hai but phir bhi ap mujhe jaldi jawab de dijiye ga.
(Client kehte hai thik hai mai apko ek do din me jawab deta ho nice to meet you)

Abaan,
Me to. Okay I have to go mujhe kahi jana hai.

Client,
Yes sure.

Abaan mojzaa ko dhodhta hoa ladies dress ki shop par pohanch jata hai waha amna Or mojzaa dress dekh rahe hote hai.

Abaan,
Allah ka shukar hai mil gayi.
(Abaan mojzaa k pass jata hai)
Hii, a ap yaha.

Mojzaa,
Q mai yaha nahi a sakti.

Abaan,
(Abaan apne sawal par sharminda hota hai or hasta hai)
Nahi mera wo matlab nahi tha. Bas generally pocha.

Mojzaa,
Waise ye mujhe apse poch na chahiye k ap yaha kya kar rahe hai q k yaha sirf ladies dress milte hai.

mojzaaWhere stories live. Discover now