4. 𝗔𝗯𝗲𝘆, 𝗯𝗵𝗲𝗻 𝗸𝗲 𝗽𝗮𝗸𝗼𝗱𝗲!

663 48 367
                                    

'Kuch iss tarah woh apni jagah bana rahi hai mere dil mein,
Dhadkano ko bhi ab unki ijazat leni pad rahi hai.'

~Mehek Syed.

Third Person POV:

"Utho, Mahoor!"

'Nahi yaar.'

"Uth, peede!"

'Ay uparwale mujhe uthale.'

"Uth ja, bhains!"

"Mahoor!" Mahoor woke up with a jolt from her never ending slumber.

"Kiski saas mar gayi joh mujhe aise uthaya jaa raha hai?" Mahoor mumbled groggily.

Aira threw a cushion which hit Mahoor's face, making her irritated.

"Khala ammi!"

"Chillau mat. Peechle aade ghante se tumhe utha rahi hu, par main bhool gayi thi tumhare andar toh kumbhkaran ki aatma hai."

Mahoor rubbed her eyes and looked at the clock. She clicked her tongue in annoyance and looked for her phone on the bed.

"Dikhta toh hai nahi bina chashme ke aur ghadi ko dekh rahi hu time pata karne." She mumbled to herself.

She got her phone and clicked on the screen,"Sirf 9:30 hi hue hai, kyon atyachar kar rahe ho mujh pe? Neend aa rahi hai raat ko der se soyi thi, sone do."

Mahoor laid down on her bed and rolled herself in the blanket.

Aira marched towards the bed and pulled away the comforter. She held Mahoor's arm and jerked her up in a sitting position.

"Chup chap se brush karo aur wo ladko ko nashta de aau."

Mahoor looked up with a scrunched face, "Arey toh Seyran se kahe na woh mushtando ko nashta de aaye. Meri neend haram kar ke usko kyu araam dia jaa raha hai?"

Aira combed her hair, "Woh cafe gayi hai, usne do din aur jana hai fir woh job chod deni hai. Bhool gayi tum?"

Mahoor was still in the state of sleep. She stood up from the bed like a zombie and went to the bathroom.

"Mahoor." Aina knocked.

'Insan ko sukoon dharti ke koi kone mein nahi hai. Washroom mein bhi nahi hai.'

"Haa?"

"Main baba ke ghar jaa rahi hu. Tum woh ladko ko nashta de dena aur chahe toh baba ke ghar ajana nahi toh yaha aa ke wapis sojana, thike munni?"

Mahoor opened the door of the bathroom with a straight face, "Pehli baat toh woh ladke nahi, mushtande hai. Dekhe unhe, aise lambe lambe light ke khambe aur itne chaude pehelwaan, unhe ladke bulana paap keh layega."

Aira slapped Mahoor's forehead,"Aise kisi ke bare mein nahi kehte. Ab brush karo aur woh dono ko khana de aana," Aira turned to leave but swiveled around and narrowed her eyes at Mahoor, "Hasi, mazak nahi karna unke saath. Chup chap se apna kaam kar ke nikal lena. Samjhi?"

Mahoor rubbed her forehead and nodded, "Hanji main samajh gayi, par yeh hinsa ki zarurat nahi thi mere bheje mein yeh baat fit karne."

Aira huffed, "Uff, yeh ladki aur iski yeh bhasha. Kabhi sudhregi nahi," muttering beneath her breath, Aira left the room.

"Suna maine sab."

"Mujhe farq nahi padta."

Mahoor rolled her eyes and shut the bathroom's door.

𝐌𝐈𝐑𝐙𝐀Where stories live. Discover now