Worst Nightmare - Papa

293 4 1
                                    

Har ladki ko bachpan se hi khwaab dikhaya jaata hai ke uske liye ek shehzaada aayega aur usse pariyon ki duniya mein le jaayega. Usse rani ki tarah rakhega aur jannat dikhayega pr asal zindagi mein toh aisa kuch nahi hota. Shayad kuch ladkiyaan hoti hain jo bahot achi qismat le kar paida hoti hain aur unke khwaabon ke shehzaade unhe sach mein mil jaate hain pr kuch ke naseeb mein aisa kuch nahi hota. Wo toh kabhi inn kahaniyo pr bharosa nahi karti thi pr usse kya pata tha uski qismat mein bhi koi hai pr wo ek shehzaada nahi balke ek jallad tha jo shayad usse jahannam dikhane wala tha. Wo kisi shaitaan se kam na tha, uski ek nigah se sab darr jaate. Usne paisa bahot kamaya tha pr pyaar se hamesha wiran raha. Uske paas sab kuch tha siwaye pyaar aur sukoon ke, phir ek din uski nazar uss pr padi aur sab kuch badal gaya.
_____________________________

"Papa....papa please mujhe chodh ke mat jao please papa....mujhe aur mumma ko apki bahot zarurat hai please papa...nahi papa please mat jao."

"Tum meri nazron se dafa hojao...mujhe tumse nafrat hai...tumhe kabhi mera pyaar nahi mil sakta kyunki tum uske qaabil nahi."

"Pr papa mai har cheez karne ke liye taiyyar hu...apko ek beta chahiye tha na mai beta ban kar dikhaungi papa please humein chodh ke mat jao."

"Ek beti kabhi beta nahi ban sakti aur tumhari maa bhi meri iss khwahish ko kabhi poora nahi kar sakti. Tum dono mere kisi kaam ke nahi ho..."

"Papa aap jaisa chahoge hum rahenge pr please aap uss aurat ke pass mat jao...Mai ladki paida hui isme meri aur maa ki kya galti hai? Ye toh Allah Taala ki marzi thi na...please papa mat jao na.."

"Tum mere pass aane ki koshish bhi mat karna jao yahan se," Uss aadmi ne uska haath jhatka aur wahan se chala gaya.

"Papa....papa please mat jao," chillate hue wo neend se jaagi. Aur jab usse ehsaas hua ke bs ek bura khwaab tha.

Wo jaldi se uthi aur aaine me apna chehra dekha. Aansu se uski aankhein bheegi hui thi. Baal bikhre the. Usne jaldi se apna huliya theek kiya aur ghar ke kaam karne lagi. Jab kaam khatam hogya toh apne college jaane ke liye taiyyar hone chali gayi.

Aaj ka Mausam bahot suhana tha par uska mood nahi. Fajr ke waqt halki halki baarish hone ki wajah se sadkon pr bahot achi khushboo aa rahi thi pr wo subah wale khwaab ke socho mein doobi hui thi. Bs wahi pal toh the zindagi ke jisse uski duniya badal gayi aur sab kuch barbaad hogaya. Har ladki ka baap unhe apni pari maanta hai par uska baap usse ek bojh aur badqismati samajhta tha.

***************************

"Kis khayal mein doobi ho ladki?" Kisi ne picche se usse halka sa dhakka diya jis pr wo shock se palat kar usse dekhne lagi.

"Rumaisa, maine tumhe kitni baar kaha hai ki iss tarah se mat kiya karo. Iss bacchi ko dil ka daura dena chahti ho kya?" Wo muskurati hui boli.

"Acha baba sorry, mai toh bs mazak kar rahi thi. Ab Miss Faiza Amani ko ek mazak bhi bardasht nahi hosakta hai ye pata nahi tha." Rumaisa ne kaan pakde aur usse chidhate hue boli. Wo hans padi aur phir dono apni class ki taraf chal diye.

"Girls, I have an announcement please keep quiet." Ms Farhana andar daakhil hoti hui boli aur sabka dhiyaan apni taraf leliya.

"As you all know this college is one of the top women colleges in India and the 25th anniversary of our college is coming and you all are also preparing for it, so I wanted to inform you all that on this special occasion the chairman of our college will also come here." Ms Farhana ke aisa kehne pr sab chillane lage. Aj tk kisi ne College ke Chairman ko dekha nahi tha pr bahot kuch suna tha. Wo ek bahot nek dil insaan hai jo hamesha sab ki madad karte hain. Wo har saal bahot saari ladkiyon ko Scholarship dete hain aur unke padhai ka saara kharcha bhi wahi uthate hain.

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now