16.

615 42 119
                                    

Flight from London Heathrow airport to Islamabad International airport is now boarding!

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Flight from London Heathrow airport to Islamabad International airport is now boarding!

Woh dono iss teen seat wali row mein bethay thay. Khirki ke barabar wali seat mein Salaar sarr par sufaid sports cap pehn kar, kaali jeans aur kaali sweatshirt mein malboos godh mein kitaab liye betha tha. Barabar mein kaali leggings par sufaid kurti pehne, gardan k gird grey scarf liptay godh mein paray haath ko masaltay hoye Inshyrah behadd nervous lagg rahi thi.

"We're going to Pakistan!"

"What do you mean by we?", Salaar ne confusion k saath usko dekha.

"Zahir hai, mein akelay jaanay se toh rahi nhin. Khaam kha mein khou gayi toh tum toh meri jaidaad ko harrab karjaogay!"

"Kitna star plus dekhti ho tum?", sarr jhatak kar Salaar ne afsoos k andaaz mein kaha, "Aur tum eik baksa nhin hou jo kho jao. You're a jeetta jaagta human being."

"Jo bhi, hum jaarahay hain. Meri bestfriend aur bhai da veya hai. Mein jeans aur shirt pehni sab ki nazaroun mein khatkoun gi. Mere abba toh shaadi mein mujhay aanay se hee mana kardeinge! Itni mushkiloun se toh hamaray beech mein ajeeb si talkheeyan kam hoi hain."

"Toh pehlay jaanay ka sochna chahiye tha na!", table se phone uthata Salaar uspar kuch likhne laga aur Inshyrah ne sarr jhatak kar lava cake ko khatam kiya.

"Iss mushkil waqt ki gharri mein apni kis girlfriend ko text kar rahay ho?"

"Girlfriend ko nhin, Google par search kar raha houn. Kal dou flights hain, subha saweray ki aur eik dupehar mein. Dupehar wali se hum aadhi raat ko pohanchay ge aur din wali se shaam tak."

"Toh phir din wali book karlo! Aese nhin dekho, I'm very serious.", chair se tayk lagatay hoye usne seenay par haath baantay kaha aur jawaban Salaar ne gehri saans lekar coffee ka ghount liya aur phone mein lag gaya. Chand lamhay baad usne phone band karkay wapis table par rakhdiya, "Hogaya, kal subha saaray chay bajay ki flight hai!"

"Great! Spontaneous decisions kitne achay hotay hain! Tum mujhay aese dekhna band karo, yahan lateefa nhin horaha hai!", purjoshi se agaaz kartay hoye woh madham awaaz mein table par jhukti bolrahi thi.

"Mene toh kuch nhin kaha, mein toh sirf saath deraha houn. Agar mazak hota toh flight book nhin karta.", coffee ka aakhri ghount lete aakay jhuka.

"Acha na, theek hai! Dekhte raho, tumhari hee gunnah gaar aankhein hain. Mein toh chali packing karne!", apna saaman samaitay hoye woh kharri hoi.

"Mein bhi chalta houn!", Salaar ne mug ko table par wapis rakha aur wallet se paise nikaalta kharra hogaya. Usne paise mug k neechay dabbaye aur uske saath baahir nikal gaya.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now