28.

839 37 178
                                    

Haath mein guldasta liye woh hospital ka corridor paar karke aarahi thein

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Haath mein guldasta liye woh hospital ka corridor paar karke aarahi thein. Jaise hee unko subha saweray khabar mili thi, woh foran hee hospital aagayein. Receptionist se room number poocha aur ab woh corridor paar karti aarahi thein.

Anaya, jo bench par bethi phone par kisi ko message kar rahi thi aur kal se kadray behtar lagrahi thi, unko aata dekh kar foran uth khaari hoi aur chehray par eik muskurahat ubhri.

"Assalam Alaikum, Sehar!", usne purjoshi se kaha aur Sehar ne bhi narmi aur muskuratay hoye jawab diya aur uska haal ahwaal poocha.

"Inshyrah theek hai ab?", unhounne baat ko aagaye barhatay poocha.

"Jee, behtar hai. Raat bhar bukhaar kam zayada hoa hai magar subha se woh behtar lagrahi hai. Aap mileingi?"

"Agar woh jaag rahi hai toh kioun nhin? Salaar kahan hai?", unhounne muskuratay hoye kaha tha aur phir ird gird dekhte poocha.

"Jee, woh bhi andar hee hai.", Anaya ne muskurahat dabaye kaha.

Sehar Inshyrah k kamray ki taraf barhein aur dastak dene k baad darwaza khola. Inshyrah, jo k apnay aap par sufaid chaadar daalay laiti araam kar rahi thi, uthne ki koshish karne lagi.

"Aray, araam se! Itna takaluf mehmaanoun k liye hee acha lagta hai.", Sehar ne guldasta side table par rakh kar uska haath support k liye pakra aur uski peet k peechay takkiya atkaya k woh tayk lagakar beth jaye. Inshyrah ne muskuratay hoye shukriya kiya.

"Tabiyat theek hai?", Sehar ne dheemi awaaz mein poocha aur Inshyrah ne sarr haami mein hilaya.

"Salaar kahan hai? Kal raat yahein rukka tha?", Inshyrah ne unkay sawaal par muskurahat dabayi aur aankhoun se unkay peechay ishaara kiya.

Sehar ne usko confusion k saath dekha aur phir uskay ishaaray k mutabiq murrein aur woh chaunki. Salaar sofay par taangein pehlaye aur tayk lagaye, seenay par haath baandhay soya hoa parra tha. Befikri k saath, ghoray bech ke. Aese jaise kuch haftoun se usko sukoon ki neend hee na naseeb hoi ho.

"Yeh larka wesay toh souta nhin hai, aur agar neend aye toh sarak k konay par bhi tayk lagaye sojaye!", Sehar ne khufgi mein sarr jhatka aur Inshyrah halkay se hassi.

Woh uski taraf barhi aur uska kandha hilaya, "Salaar, uth jao!"

"Abhi class mein time hai... paanch minute.", woh neend mein barr baraya tha aur dosri taraf murrgaya. Inshyrah dobara hassi aur Sehar ne naffi mein sarr hilaya.

"Tumhari class toh mein loungi, uth jao!", Sehar ne uska kandha zorr se hilaya aur ab jaakar usne ahista se apni aankhein kholi. Aaspaas ka andaaza hotay hoye woh eik dam kharra hogaya magar paer itni daer se pehlaye hoye thay toh woh larkharaya aur wapis sofay par dhab se girr gaya.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now