34.

610 37 77
                                    

Musab ghutnoun k bal matti pe bethay thay aur unkay haath dua maangne walay andaaz mein jurray thay

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Musab ghutnoun k bal matti pe bethay thay aur unkay haath dua maangne walay andaaz mein jurray thay. Aankhein namm thein lekin chehray pe koi khaas tasuraat nhin thay.

Qabaristan iss waqt khamoshi mein dhala hoa tha. Kuch daer pehlay logoun ki mujoodgi ahista ahista kam hogayi thi aur ab wahan sirf Musab mujood thay. Dua e maghfirat maangtay hoye. Qabar pe phooloun ki pattiyan abhi daali gayi thein jiski wajah se aas paas ki matti geeli hogayi thi aur agarbatti ki sohni khushboo charroun taraf pehli hoi thi.

Musab k kandhay pe kisi ne haath rakha toh woh chaunkay aur nazarein uthayein. Wahan Shehryar kharra tha, chehray pe afsos aur udaasi liye. Musab ne chand lamhoun k liye usse nazarein churrayi aur phir jaanay k liye kharray hogaye.

Woh dono qabaristan se khamoshi mein bahar niklay aur gaari mein beth k apni manzil ki taraf chaldiye.

"Mujhay bohat afsos horaha hai, Shehryar.", Musab sahab ne khamoshi torri thi.

"Salaar ka?"

"Behadd. Inshyrah ko kesay sambhaleinge hum?"

"Ammi aur Anaya aagaye hain, hum hain. Sab hain uskay paas."

"Sab hain, lekin Salaar nhin."

"Aur uncle aunty ka kiya? Unpe bhi qayamat guzar rahi hogi."

"Mene daer kardi, Shehryar. Mene bohat daer kardi.", kuch daer ki khamoshi k baad Musab ne madham awaaz mein apnay maatha sehlatay hoye kaha.

Shehryar jawaban chup raha. Musab ne bhi aagaye kuch nhin kaha. Shehryar iss liye kioun ke woh kuch ghalat nhin kehna chahta tha, aur Musab iss liye kioun ke unko pachtawa horaha tha. Behadd pachtawa.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Najaanay kitne ghantay guzar chukay thay. Kamra khamoshi mein dhalla tha. Dhaltay sooraj ki kirnein kamray ki khaali sufaid deewaroun pe sajji thein.

Inshyrah eik kursi pe najaanay kab se bethi thi, aankhein laal aur behadd sooji thein, aur chehray pe koi taasur nhin. Uski aankhein eik hee jagah atki thein. Apnay haath pe, chauhti ungli mein Salaar ki di hoi angoothi dhaltay sooraj ki roshni mein chamakrahi thi. Uska haath jo abhi kisi aur ka thaama hoa tha.

"I'm sorry.", doctor ne madham awaaz mein kaha tha. Inshyrah k kadam thori hee door tham gaye thay aur woh unkay alfaaz pe larrkharayi. Peechay se Shehryar ne aakay usse sambhaala.

"Humne bullets nikaal li thein. Khush kismati se koi vital organ damage nhin hoa. However, accident k doraan unka sarr pe gehri choutein laggayein thein jinka asar unkay dimagh pe para tha. Woh coma mein chalay gaye hain.", doctor k alfaaz suntay hee corridor mein maujood tamaam logoun ki aankhein hairat o khauf mein phattein. Saira ne apna chehra Shaheer k seene mein chupa liya, jo khud kisi barray shock mein chalay gaye thay, aur unki aankhoun se aansoun behne lagaye. Inshyrah ki toh jaise zameen hee phatt gayi thi. Woh ahista ahista zameen pe phisaltay girri.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now