26.

603 34 206
                                    

*TRIGGER WARNING*
Usage of drugs and physical abuse.

Aadhi raat hochuki thi jab Saira apnay taqreeban andheray ghar mein airport se aanay k baad daakhil hoyein

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aadhi raat hochuki thi jab Saira apnay taqreeban andheray ghar mein airport se aanay k baad daakhil hoyein. Ghar mein sannata tha, kuch ghantay pehlay ki ronaqein ab chali gayein thein. Gehri saans lete hoye woh apnay kamray ki taraf chaligayein.

Kamra kam roshan tha. Unhounne thakkan k baiz gehri saans chorri aur apna purse barabar wali chair par daaldiya.

"Aagayein, begum saheba?", kamray k konay se awaaz ayi thi aur Saira chaunki thi. Unhoun ne andheray mein dekhne k liye aankhein sukherein tab unki nazar kamray k konay par rakhi chair par parri jahan kisi ki mujoodgi ka unko andaaza hoa.

Saira ne barabar wali deewar pe banni light switches se kamray ki neem zard lights kholein, "Lights toh kam se kam kholsaktay thay." Unki awaaz mein bhi thakaan thi aur woh seedhi washroom ka darwaza khol kar apna moun dhonay andar chali gayein.

"Salaar wapis chala gaya?", Shaheer Sahab ne unko dekhay bagair poocha tha. Saira tauliya se moun poochti bahar niklein aur tauliya ko jagga par latkaatay hoye apni bistar ki side par khamoshi se jaa bethein.

"Am I getting the silent treatment now?", Shaheer ne apni gardan halkay se morrtay hoye unko dekha magar Saira apnay haath mein lotion laaganay mein mashgool thein toh unhoun ne apni nazarein nhin uthayein.

"Mein yahan dushman nhin houn jo k meri baatoun ka jawab nhin diya jaaraha.", Shaheer apni jagga se uthay.

"Aesa kaam toh dushman bhi shayad na karay!", Saira barr barayi thein.

"Kiya kaha?"

"Kuch nhin, sou jayein.", Saira apni jagga par laitne lagayein thein k Shaheer ne kamray ki tamam lights kholdein, achi tarha jaantay hoye k Saira ko ujaalay mein neend nhin aati.

"Shaheer, hum subha baat karleinge!"

"Nhin, tum Salaar k hissay ki kahani sunn kar ayi ho. Meri nhin sunogi?"

"Aapkay bhi side ki kahani hai?", Saira ne nagawari se unko dekha.

"Saira, agar mere haath mein hota toh mein yeh kabhi nhin karta. Salaar ne baat chupakar acha nhin kiya!"

"Aur badlay mein aapnay kiya kya? Kisi aur ki beti se uska rishta teh kardiya? Yeh kahan ka insaaf hai?"

"Saira, mere bas mein kuch nhin tha."

"Kioun? Aapkay haath baandhay gaye thay kiya? Aapkay upar bandookh taani hoyi thi?", Saira ne ghussay se kaha.

"Mere upar nhin, lekin agar mein inkaar karta toh bandook Salaar par tann jaati!", halanke Shaheer ne madham awaaz mein kaha tha magar Saira ka ghussa hairat aur darr mein badal gaya tha.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now