35.

626 27 29
                                    

"Check up poora hochuka hai, aap dono ab andar jaa saktay hain

Oops! Questa immagine non segue le nostre linee guida sui contenuti. Per continuare la pubblicazione, provare a rimuoverlo o caricare un altro.

"Check up poora hochuka hai, aap dono ab andar jaa saktay hain.", eik nurse ne aakay kamray se bahar kharray Inshyrah aur Shams ko aakay bataya tha.

Unn dono k kamray mein ghusne k baad doctor ne unhay bahar intezaar karne ka kaha tha, mukammal check up k liye. Inshyrah toh abhi bhi shock mein hee thi lekin Shams apnay hawaas pe ahista ahista qaabo paa raha tha.

Adhay eik ghantay k baad nurse ne unhay aakay bulaya tha aur khud aagaye barh gayein thein. Shams Inshyrah ko dekh raha tha jo budh jaisi kharri thi. Halkay se usne uskay kandhay pe haath rakha jispe Inshyrah chaunki. Usne nazarein uthayein toh Shams behadd halka sa muskuraya.

"Andar jao, bilkul theek hai woh.", Shams ne madham awaaz mein kaha tha. Inshyrah ne eik dou lamhay k liye kamray k darwazay ki taraf dekha. Aese jaise usse yaqeen hee nhin aaraha ho, woh jaise eik khuaab aur haqeeqat k beech mein farq karne ki koshish karrahi ho.

Inshyrah k aankhoun se aansoun behne lagaye aur usne apnay moun pe haath rakh liya, jaise apni siskioun ko dabba rahi ho. Shams abhi tak hairat mein hee maujood tha.

"Wahein kharray rehne ka iraada hai kiya?", Salaar bistar pe halkay se seedha honay ki koshish karraha tha magar dard k maaray uska moun banna. Doctor ne uski madad ki aur woh thora seedha hokay betha.

Inshyrah bhaagtay kadmoun k saath uskay barabar mein gayi aur usse gallay lagaliya. Zorr se, apni poori kuwat k saath. Aese jaise agar woh chorh degi toh woh usse chorh k chala jayega.

"Aah, araam se.", Salaar dard mein karr karaya tha. Inshyrah ne nhin suna, na maana. Bas woh uskay gallay lagaye rahi, aankhoun se aansoun khud ba khud behtay rahay. Salaar ne bhi aiteraaz nhin kiya. Uska toh dil bhi iss waqt usse aledgi k liye raazi nhin tha.

"We'll give you two some privacy.", sab cheezein check karne k baad doctor ne halkay se kaha tha aur tez qadmoun k saath bahar chalay gaye. Salaar sirf unhay madham awaaz mein thank you keh saka aur phir woh Inshyrah ki bachoun jaisi harkat pe halka sa hassa.

Shams undono ko dekh kar muskuraya raha tha. Aesi muskurahat jis mein khushi toh thi, magar saath saath afsos bhi tha. Woh aagaye barhne se hich kicharaha tha. Salaar ko ab takhleef mein dekh k uska dil mazeed dooba tha. Woh bas khamoshi se bahar ki taraf murr gaya aur bahar nikaltay hoye darwaza band karta aagaye barh gaya.

Salaar ne kankhioun se usse jaatay dekha tha, magar usse pehlay woh usse awaaz dekar bulata darwaza band ho chuka tha. Salaar k chehray pe afsos ubhra, apnay dost ki aesi haalat dekh ke aur dono k beech mein aesi dooriyan dekh ke.

Usne apni tawajjah Inshyrah ki taraf ki jo abhi bhi usse gallay lagi thi. Woh halka sa muskuraya.

"Looks like someone missed me kuch zayada hee.", usne uska kaan k peechay baal atkaatay kaha.

"Acha na, ab utho bhi. I wanna see your chehra. I need to check if I have memory loss or not.", Salaar ne apnay theek haath se usko apnay aap se alag kartay kaha. Bamushkil hee sahi, lekin Inshyrah ne apnay haath uski gardan se hattaye aur woh seedhi hoi.

Qurbat | ✔️Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora