25.

634 36 148
                                    

"Yeh kiya aaj poori duniya mein haseen mausam hoa wa hai?", Shams ne gaari ki passenger seat se nikaltay hoye aasman ki taraf dekhte bola

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Yeh kiya aaj poori duniya mein haseen mausam hoa wa hai?", Shams ne gaari ki passenger seat se nikaltay hoye aasman ki taraf dekhte bola.

Salaar uskay comment par muskuraya. Plane land hee hoa tha k Salaar ka mood acha aur dil halka mehsoos honay laga. Usne kabhi socha nhin tha k woh aiteraaf karayga magar angreizoun k mulk aakay usko sukoon mila tha. Shayad iss liye kioun ke woh uskay kareeb tha.

Dono Brighton mein Inshyrah k ghar k saamne aakay uttray thay. Salaar ne apni gaari airport par chorri thi tabhi unko transport ka masla nhin hoa, aur tabhi waqt zaya kiye binna woh uskay ghar aaya tha.

Salaar eik dou tez qadam k saath aagaye barha aur darwazay tak pohanch gaya. Badal garajna shuru hogaye thay. Salaar ne darwazay par khatkhataya aur phir muskurahat chuppaye binna uske saath seedha kharra hoa. Darwazay par kisi ne jawab nahi diya.

Salaar k chehray par halki si pareshaani ubhri aur muskurahat dhalli. Usne darwazay mein banay mail k liye choti se opening ka patt utha kar dekha magar andar na toh koi nazar na aya aur na kisi ki chehal kadmi ka andaaza hoa. Salaar ne Shams ko phir garage mein jhaankne ka ishaara kiya.

Thakkay andaaz mein chalta Shams garage k darwazay tak pohancha. Barabar mein rakhay eik dabbay par usne paer rakha aur garage k darwazay k uparri hissay par lagaye sheeshay se jhaanka. Andar dou gaariyan mujood thein. Shams haath jhaarta neechay utra aur dou ungliyaan uthakar Salaar ko bataya k andar dono gaariyan mujood hain.

Salaar wapis darwazay ki taraf mutawajjah hoa aur eik ghanti bajayi. Woh lamhay bhar ko rukka aur jab koi jawab nhin mila toh usne dobara ghanti bajayi. Usse pehlay k woh dobara ghanti bajata andar se chalnay ki awaaz ayi. Tez qadmoun ki. Salaar ne eik gehri saans li aur chehray par muskurahat wapis laya.

Aglay hee lamhay darwaza zorr se khulla. Inshyrah ne khola tha. Salaar usko muskuratay dekh raha tha magar phir uski muskurahat pheeki parne lagi. Woh shayad tayyar hoi thi magar ab uski naakh aur aankhein dono laal hogaye thay aur baal mein mujood curls dheelay parne lagaye thay. Salaar ki nazar sab se pehlay uski sooji aur surk aankhoun par parrein, "Tum royi ho?"

Usne apna haath uskay chehray ki taraf barhaya hee tha k Inshyrah ne zorr se maar kar usko door kiya. Inshyrah ne waqt zaya kiye binna poocha, "Do your parents know about me?"

"Huh?", Salaar ne usko confusion k saath dekha tha.

"It's a simple yes or no question. Kiya tumharay waaldein mere baaray mein jaantay hain ya nhin?"

"Meri ammi ne tum se baat ki hai toh --", usse pehlay Salaar haami mein jawab deta Inshyrah ne usko rok diya.

"Phone calls don't count! Unhounne mujhay dekha hai? Kiya woh meri family k baaray mein jaantay hain? Mere abbu ka naam, unka paisha? Meri ammi ka? Kiya unko yeh pata hai k mera taaluq Pakistan se hai magar mein wahan ki cheezoun se aur rasumaat se waaqif nhin houn?", Inshyrah ne zorr se poocha tha.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now